Kyon is khamosh rishte ko ek aawaaz doon?
Kyon bhala khamoshi to saaz doon?
Woh kehte hain koi to naam hoga?
Main kyon aapne ehsaashon ko naam doon?
Pyaar hai mujhe ye kabool hai magar
Is pyaar ko pyaar ka bhi naam kyon doon?
Ek ehasaas hai jo mujhe choo ke jaata hai
Ek khwaab hai jo raat bhar jagaata hai
Ek baadal hai jo bin barse bhiga jaata hai
Ek sailaab hai jo mujhe baha le jaata hai
Main khud ko bhi ab bhool jaata hoon
Tum he bolo is jaan ko kyon naya naam doon?
Nazare he jab pardh leti hai nazaro ki zubaan
Isey lafazoon ki zubaan kyon doon?
Dhadakano ki dastak hi itne tezz hai
Inhe baatoon ka shoor kyoon doon?
Khamoshi sun sakti hai jab dil ki baatein
Inhe Ikraar ki aawaaz kyoon doon?
Roz jhaakta hoon uski khidki se
Ek zalak bas dekh leta hoon
Dil ko tasalli mil jaati hai uski ek muskurahat se
Main bebas sa dil tham leta hoon
Har din uske saath ek pyaara sa lamha jee leta hoon
Jindagi bas itna raham karati rahe
Roz saasey milti rahe toh kyo koi aur ilteja karoon?
Is benaam se riste ko kyoon koi naam doon?
Note: I know many of you are wonderful writers and poets here, so friend just feel free to add your lines ...It would be wonderful to know your version too.
Hi...some beautiful additions by...
Kuls...
har Rishta kahan kissi naam ka mautaaz hota .hai..
Benaam se iss rishte main hee kyoon na khushi ke kuch paal dhoodh loon...
Bharti...
Tum hame chaaho ..humne ye kabhi kaha nani..
Hum tumhe bhool jaaye ye hamare bas mei nahi..
Geet261...
from mohan to mehga :
Yun pyar se muj ko dekho na
Kaheen pyar na tum se kar bathon
Main apne aap se darta houn
Koyi dukh na tum ko de bathon
A BIG THANK YOU TO Sen_madhuban for translating it into English...
Why do i lend a voice to this silent bond...