Priya's motherly side - Part 3

TVserialfreak thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
First of all I thank everyone who loved my imagination...very happy to present the third part in my creation...I am posting the second part in order to ensure continuity...hope you don't mind...

Part 2

Next morning

Ram chain ki neend so raha hai...Priya unke paas aati hai

Priya: Good Morning Mr. Kapoor

Ram apni aankhen kholta hai...

Ram: Good Morning Priya...

Priya: Bahut din ke baad kal raat aap ne chain ki neend soya...mujhe bahut khushi hui is baat ko leke...

Ram: Iski wajah tum ho Priya...agar tumne mujhe apne godh mein na liya hota to yeh chain ki neend mere naseeb mein nahi hota...tumhari godh mein mujhe jannat dikhayi di...

Priya: Sach mein?

Ram: Haan...agar tumhe aitraaz na ho to roz mujhe is tarah sula sakti ho kya?

Priya: Kyon nahi...zaroor sula sakti hoon...mere liye isse zyada khushi ki baat kya ho sakti hai ki mere pati mujhe unka maa bhi maante hain...

Ram gets emotional...unke aankhon mein aansoo aa jaata hai...

Priya: Bahut dukh ho raha hai na aapko...agar aapko itna dukh ho raha hai to phir is baat par bhi sochiye ki aapki maa ko kitna dukh ho raha hoga aapko chodke jaane ke waqt...

Ram: Haan...sach hai...

Priya apne haathon se Ram ki aansoo pochti hai...main aapko tootne nahi doongi Mr. Kapoor.. jab main biwi banke aap ki khushiyan share kar sakti hoon to maa banke aap ki gham bhi share karungi...aur mera yeh vaada hai aap se ki aap aur maa ki rishte ko phir se jod dungi...lekin mujhe iske liye aapka saath chahiye...aap mere saath denge na?

Ram: Kya karna padega mujhko?

Priya: Mujhpe bharosa rakhna hoga...aur yeh baat dil ko samjhana hoga ki jo Priya keh rahi hai woh mere bhalai ke liye keh rahi hai...

Ram: Ok Priya...aisa hi karunga...

Priya: Aap jaake taiyaar ho jaayiye...main aapke liye nashta laati hoon...

Ram: Kya tum ready ho gayi ho kya?

Priya: Haan...Aaj mere classes jaldi shuru hone wali hai...

Ram taiyaar ho jata hai...aur Priya ke saath apne hi kamre mein nashta kar raha hai...

Ram: Kya main jaan sakta hoon ki tum mujhe aur maa ko kaise milaogi?

Priya: Yeh kaam itna aasaan nahi hai Mr. Kapoor...mujhe ek aur insaan ki zarurat hogi is kaam karne ke liye...aur waise bhi jo ghaav itne saalon se hai maa ke mann mein woh itna jald kaise bhar sakta hai?...It takes time to heal...

Ram: Haan sach hai...mujhe bhi unhe accept karne mein waqt lagega...lekin main is baat ko accept karta hoon ki meri maa nirdosh hai...

Priya: That's good...

Ram: Mujhe to apne step-family pe itna gussa aa raha hai ki sab ko goli maar doon aur jail chala jaaoon...itne saalon se jo zeher bhara hai unhone mere mann mein maa ke khilaaf...uske liye main unhe kabhi maaf nahi karunga...

Priya: us zeher ko kam karne ke liye hi mera pyaar aur support hamesha aapke saath rahega..

Ram Priya ko gale lagta hai...

Ram: Is support ke liye main hamesha tarasta aaya hoon Priya...thank you so much...

Priya Ram ke gaal ko pyaar se kheenchti hai aur kehti hai ki 'that's like my good boy'

Priya: Time to work Mr. Kapoor...

Dono ek doosre ke haath thaamkar neeche aa jaate hai...Niharika aur Mamaji ko shock lagta hai isse dekh ke...Ram aur Priya dono ko ignore karke gaadi ki taraf chalte hai...


Part 3

Ram returns home from office that evening...he finds Priya in deep thought...he closes the door of their room slowly so that no one hears their conversation...their conversation goes like this

Ram: Good Evening Priya...tumhara din kaisa raha aaj?

Priya: Good Evening Mr.Kapoor...mera din accha raha...aur aapka?

Ram: Mera bhi...lekin poore din maa ki yaad bahut sata rahi thi

Priya: Khush hoon ki aap apne maa ko accept karne ki koshish kar rahe hain..

Ram: Tum itni gehri soch mein?...koi pareshani hai kya?

Priya: Nahi...koi pareshani nahi hai...lekin main to yeh soch rahi hoon ki aap aur Maa ko kaisi milaoon...aur subah maine ek aur insaan ki baat bhi ki jiska madad chahiye...

Ram: Lekin tumne uska naam to nahi liya...

Priya: Main Apeksha ki baare mein soch rahi thi...aur ek woh hi hai jo hum dono ko is maamle mein madad kar sakti hai...

Ram: Apeksha?... tumhe pata hai ki woh kahan rehti hai?

Priya: Woh Maa ke saath Australia mein hai...

Ram: Lekin Jab hum dono wahan gaye the to mujhe sirf Apeksha dikhayi di...maa dikhayi nahi di...haan...yaad aaya...tab woh yahan Mumbai mein thi...maine bhi us waqt tum pe chillaya tha jab tune mujhse unke baare mein poocha...

Priya: Jab maine aap ke past jaanne ki koshish ki maa se to unhone mana kar diya...aur usi waqt mujhe pata chala ki Apeksha kaun hai aur aapko unke saath kya rishta hai...uske baad woh maa ke saath Australia chali gayi thi

Ram: Maa ne Apeksha ko godh liya tha...

Priya: Haan...jaanti hoon...

Ram: Kya tumko lagta hai ki maa mujhe accept karegi?

Priya: zaroor karegi...main unhe accept karaungi...

Ram: To phir ab hum kya karein?

Priya: Hume step by step jaana hoga - Pehle aap Sid aur mama ji ne jo ghotale kiye hai business mein - usse ek ek karke sab ki poori khabar lijiye...kaash Vikram aapke saath hota aapko madad karne ke liye...

Ram: Us Sid ki wajah se mujhe apne dost ko company se nikaalna pada...

Priya: yeh aap ke saath nahi hona chahiye tha...

Ram: Haan...aage kya karne ka iraada hai?

Priya: Pehle main Apeksha se baat karti hoon...aap mera saath denge naa yeh sab karne ke liye?

Ram: Arey yeh kya baat hui?...zaroor doonga...

Priya: teek hai...mujhe aur thoda waqt chahiye...

Ram: Jitna chahe waqt le lo...lekin kuch karo...varna sab kuch haath se nikal jaayega

Priya: Aap chinta mat kijiye...main hoon na..

Ram: Tumko free hand deta hoon...jo tum teek samjho karo...

Priya: Mujhe aap se yehi aasha thi Mr. Kapoor...aap ke sab se bada problem yeh hai ki aap bina proof ke kisi fact ko accept nahi karte...

Ram: Main aisa hi hoon aur aisa hi rahunga...

Priya: Hmmm...mera pehla kadam hai aap ko maa se baat karvana...uske liye Apeksha hi hum dono ki madad kar sakti hai...because she is very close to maa...maa unke koi baat ko nahi taalthi hai...

Ram: Agar tum kaho to sahi baat hai...

Yunhi baatein karte karte bahut dher ho jaata hai...dono khana khaate hain aur roz ki tarah Ram Priya ke godh mein so jaata hai...Priya Ram ke is badlaav ko leke bahut khush hoti hai...

If you like, I would post the next part...😉




Edited by TVserialfreak - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

5

Views

1.1k

Users

6

Likes

15

Frequent Posters

Alaadin thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#2
please continue yaar

its very awesome
SweetEtika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#3
Its awesome .
You are a good writer .
Keep it up.
Continue soon.
salsaly thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 13 years ago
#4
this is an interesting story...
u write really well...
this story is very touching 2...


continue asap...
Siacutie thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 13 years ago
#5
definately yar we want the next prt read both the parts they were very nice
continue sooonnn👏
chitloner thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#6
Do continue Kishore. Ur FF had been a saviour to me in a boring training session

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".