Mohabbat palkon pe kiTne haseen khawaab sajaaTi hai..
Phoolon se mehakT khawaab..
SiTaron se jagmagaaT khawaab..
Shabnam se barasT khawaab..
Phir kabhi yun bhi hoTa hai ki
palko ki daaliyon se Khawaabon
ke saare parinde ud jaaT
hain..aur aankhein veeran si reh jaaTi hain"
Saare sapne kahin kho gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
Saare sapne kahin kho gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
(ek woh bhi waqt tha jab ek doosre ke paas aate hi dil ki dhadkane hi badh jaati thi...bina dekhe hi ek doosre ki aahat sunayi deti thi, par in aankhon mein sulagti hui nafrat dikhayi deti hai sirf nafrat!!)
Dil se tanhaai ka dard jeeta,
Kya kahein hum pe kya kya na beeta.
Tum na aaye, magar jo gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
Saare sapne kahin kho gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
(ek waqt tha jab ek doosre ke aansoon teer ki tarah choobte the, chot ek ko lagti dard doosre ko hota...par ab inke beech sirf nafrat ki hawaa chal rahi hai!!)
Tumne humse kahi thi jo baaten,
Unko dohraati hain gam ki raaten.
Tumse milne ke din toh gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
Saare sapne kahin kho gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
(kisi ne shaadi ke kayi sapne sajaye the, shaadi jiske liye sirf ek rasam nahi par zindagi ki wajah thi...par ab woh saare sapne nafrat ki aag me jal rahe hai!!)
Koi shikva na koi gila hai,
Tumse kab humko yeh gam mila hai.
Haan naseeb apne hi so gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
Saare sapne kahin kho gaye,
Haaye hum kya se kya ho gaye.
(jo shaadi se door bhaagta tha jo shaadi jaisi koi cheez ko nahi manta tha woh aaj shaadi kar betha par...par ussi nafrat ki buniyad par!!)
Haaye hum kya se kya ho gaye...
(pass ho kar bhi kitne door hai...inke beech ab khadi hai ek nafrat ki deewar...par iss nafrat ke peeche kahin chup raha hai pyaar!!)
k guys i knw this is very sad sad post...par kya karu mood hi kuch aisa hai.
I think sirf arhi ke hi nahi hamare sapne bhi kahin kho gaye...
i hope cv's jald hi happy happy track laaye aur hum happy happy post banaye...wats say
Edited by angel_93 - 13 years ago