(Larki walay larke ko dekhne atay hain)
Larki ki maaan: hamari larki to Mashllah lakoon main aik hai hazarooon kamati hai Mashallah appna larki ka business hai...
Larkay ki maaan: haan behan ajj kal nookarioon say kahan guzarara hoota hai khair app yeh samoosay lain na aur chat bhi lain aur yeh batain khana kaisa bana hai,
Yeh sab kuch larkay nain kud banaya hai Mashallah isay saray khanay pakkanay aatay hain aur to aur hamaray larkay ko to chinease bhi banana aata hai...
Larki ki maaan: haan behan ajj kal k larkooon ko to kuch bhi pakkana nahi aata larkoon main to masarqi toor tareeqay to khatam hootay jaa rahay hain
Kahir zara larkay ko to bhulain kahan hai wo
!!!...(Larka sarmatay hua andar aata hai)...!!!
Larki ki maaan: Mashallah larka to waqai khoob soorat hai par hamari larki bhi to lakooon main aik hai khoob joori jamay gi...
Larkay ki maaan: array behan hamaray larkay ko to khanay pakkanay k ilawa silai aur kharhai bhi aati hai
Ghar k saray khapray hamara larka hi seeeta hai aur to aur hamara larka saray ghar ki safai bhi karta hai aur to aur appni bhabi k saray bachoon ko sanbaalta hai un ki neeepi (pamper) bhi change karta hai...
Larki ki maaan : Mashallah app rishta pakka hi samjain hum bhuhat jald Baraat le k ayein ge aur larkay ko rukhsat kar k lay jain gay par pehlay zara jehaiz ki baat clear kar lain
Yeh batain larka jehaiz main kia lay ga...
Larkay ki maaan : Mashallah larka jaheiz main dhairoon samaaan lay ga aur kafi
sona (Gold) bhi lay ga aur gari (car) bhi...
Larki ki maan (kush hoo kar): bas behan app rishta pakka hi samjain aur shadi ki tayyari karain hamari larki bhuhat jaldi Baraat laye gi aur app k larkay ko Biah (Shadi) kar k lay jay gi...