644078 thumbnail
Posted: 13 years ago
#1
Prasad for my bhakts by (+)ve baba
lyrics of ishq sufiyana

Rab ki qawali hai Ishq koi
Dil ki Diwali hai Ishq koi
Mehki si pyaali hai Ishq koi
Subah ki laali hai Ishq...
Girta sa jharna hai Ishq koi
Uthta sa kalma hai Ishq koi
Saanson mein lipta hai ishq koi
Aankhon mein dikhta hai Ishq
Mere dil ko tu jaan se juda kar deYun bas tu mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar aashiqana
Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana (x2)
Rab ki qawali hai Ishq koi
Dil ki Diwali hai Ishq koi
Mehki si pyaali hai Ishq koi
Subah ki laali hai Ishq...
Sochu tujhe toh hai subah
Sochu tujhe toh shaam hai
Ho o manzilon pe ab toh meri ek hi tera naam hai
Tere aag me hi jalte, koyle se heera bante
Khwaabon mein aagey chalte hain tujhe batana
Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana (x2)
Saath-saath chalte-chalte haath chhoot jayenge
Aisi raahon mein milo naa
Baatein-baatein karte-karte raat kat jaayegi
Aisi raaton mein milo naa
Kya hum hain, kya Rab hai
Jahaan tu hai wahin sab hai
Tere lab mile mere lab khile
Ab door kya hai jaana
Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Rab ki qawali hai Ishq koi
Dil ki Diwali hai Ishq koi
Mehki si pyaali hai Ishq koi
Subah ki laali hai Ishq...
Mere dil ko tu jaan se juda kar de
Yun bas tu mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar aashiqana
Tere waaste mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana
Mera Ishq Sufiyana(x2)
Edited by arif4441 - 13 years ago

Created

Last reply

Replies

1

Views

1k

Users

2

Likes

4

Frequent Posters

msb19 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#2
Thanks!!😊

its beautiful song and thanks for posting.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".