I will keep on updating it with time...
But here's some of my favs from HP
Pandit: Aapka humsafar aapki zindagi mein aaj hi aane wala hai
Maan: Chup [First word]
Maan: Logo ki madad karne ka itna shouq hota mujhe, to main shehar chhod ke jungle mein nahi reh raha hota!
Maan: Brake lagao
Geet: brake kahaan hoti hai
Maan: Mujhse takraana tumhara shouq hai, ya tum jaan boojh ke mere peechhe padi ho?
Maan: Ye jo aansu hai na, ye dimag ki sehat ke liye achche nahi hote. Jab ye behte hai na, to dimag ka chalna band ho jaata hai. Aur agar dimag ki madad chahiye, to aansuo ko rokna padta hai
Geet: Aap mujhe jaane bina, mere baare mein kuch zyada hi jaan gaye hain. Par aap ko jaanke, main sirf itna hi samajh paayi hoon, aap jaise insaan se naa to kisi ne pyaar kiya hoga, aur na hi koi kar payega!
Maan: Mere na chahte huye bhi, ye ladki baar baar meri zindagi mein kisi na kisi raaste aa hi jaati hai
Geet: Har aurat ko nasamajh samajhne ki galti hi har aadmi ki haar hoti hai
Maan: main itna bhi kamzor nahi, ke apne se kamzor pe haath uthaoon
Maan [to Brij]: Agli baar mera collar pakadne se pehle do baar soch lena. Nahi to sochne layak nahi chhodunga!!
Maan: ye jo tumhari adaaye hain na, kisi kamzor dil wale ke liye rakhna, kiyunki main pighalne walon mein se nahi hoon!
Maan: Zaahir si baat hai, mujhe koi takleef bhi nahi hoti
Maan: sign karo, nahi to abhi police ko bulata hoon
Geet: Bulalo police ko
Maan [to Brij]: Mujhe maarne ke liye mardo wala seena chahiye!
Geet: Ab to thes nahi pohanch rahi na aapke jhoothe ghamand ko??!!
Geet: Aapme bhale hi takat mujhse zyada hogi, par dimag mujhse kamzor, aur aapki soch, us se bhi chhoti!!
Maan: Aur mujhe naa sun-ne ki aadat nahi hai Geet Handa!
Maan: Aurto pe haath nahi uthaata to iska matlab ye nahi, ke aurte mujhe apni ungliyon pe nachati rahe... Samjhi?
Maan: Aur agar tumne aana-kaani ki, to zaroorat padne par, main tumhare ghar walon ke saamne, tumhe utha kar leke jaaoonga, aur mujhe koi rok bhi nahi payega, ab samjhi?
Geet: Agar aaj aapki zindagi mein sab kuch aapke plan ke hisaab se hota, to aap itne akele, aur itne rookhe nahi hote
Maan: Tumhare bodyguards kahaan hai??
Maan: Mujhse maafi maangna shuru karogi, to tumhari list to kabhi khatam hi nahi hogi! Amritsar tak tum mujhse maafi hi maangti reh jaaogi.
Maan: mujhe galti se bhi dhokha mat dena. Kiyunki main maafi dena nahi jaanta
Maan: tum wohi karogi, jo main kahunga
Maan: koi nazrein kab churaata hai, jab wo sachai se bhaagta hai. Samjhi?
Geet: aapne bilkul sahi kaha, sach ka saamna karna bada mushkil hota hai, kiyunki kuch sach mein zindagi ka rukh badlne ki taakat hoti hai. Sach kafi kadwa hota hai.
Maan: Par sach se door bhaagne se bhi koi fayda nahi hota, kiyunki zindagi bhi sach ko badal nahi sakti. Isliye sach ko zindagi badalne hi dena chahiye, samjhi?
Geet: Aur ye badlaav kabhi kabhi zindagi mein ek bada sa toofaan leke aa jaata hai
Maan: Jeep mein baitho! Ek to main apne saare kaam chhod kar tumhe ghar chhodna chahta hoon, aur tum meri baat nahi sun rahi ho
Maan: Kiyun wo ladki baar baar mere khayaalon mein aa kar mujhe pareshaan kar rahi hai? Kiyun?? Kiyun main jaan-na chahta hoon ke woh ladki aaj apne ghar sahi se pohanchi ya nahi. Kiyun???
Maan: Bhagwan ji jab akal baant rahe honge na, tab bhi ye ladki bina dhyaan diye huye wahaan se chali gayi hogi.
Maan [to Brij]: Shaam ki sair pe nikla tha, to tumhara ghar raaste mein aa gaya.
Maan: Main kabhi apni meeting bhoolta hoon kya munshiji?
Munshiji: Agar bhoolne lagte to shayad insaan ban jaate
Maan: Kya kaha aapne?
Maan: Maan Singh Khurana ne kadam badhaane ke baad, kabhi peechhe hatna nahi seekha
Maan: Jab tak ye ladki mere saath rahegi, tab tak ise koi haath bhi nahi lagaa payega
Thats all for HP dialogues Will update office dialogues in next post pretty soon
423