Gulaal in poetry ONLY

SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
Friends this is a spin-off of Gulaal Mushaira but its only about the Gulaal show. Nothing outside that. You can express any scene, character, event or future prediction about the show in poetry only. You can praise or be sarcastic in your point of view. Needless to say that this post is dedicated to Arti.

Example storyline:
Mein thak gaya hoon, thak gaya hoon mujhey sonay do
Baahut dekh liye Gulaal ke episodes, ab mujhey ronay do

Kahani aisi jaisi chyunti ki chaal chalti hai
Aise hi jaise koi moti aurat treadmill par uchalti hai

Itne hafton baad bhi hum wahin ke wahin hain
hum kahani se khush toh lagtey hain, lekin nahin hain

Pehlay Talli se tang thay, ab Kunaal se tang hain
Aisi sari baatein humarey rang mein bhang hain

Jab bhi hum viewers sukh ka saans laite hain
CV Gulaal ko kisi aur maslay main phaans laite hain

Samjh nahin aata, ye Talsagra ki kaisi haveli hai
yahaan qatil, chor, jawari aur gangoo taili hai

Sarey jurm iss ghar mein ho rahey hain
MotaBha aur Giga Kaka sab so rahey hain

Jamana Kaki chalon pe chaal chalti hai
phir bhi bechari ki daal nahin galti hai

Kesar auraton mein rehta hai, jaise paanch behno ka bhai
Mujhe darr hai kissi din Gulaal ko na keh de tai

Aakhir Talli ko bhi zindagi ki samjh aa gaye hai
Gulaal baaton baaton mein uss ko bata gaye hai

Lekin Gulaal khud sochon mein hi padhi rehti hai
Har waqt woh vasant ki tasveer se kuch kehti hai

Kesar aur ghar waley jo bhi ussay kehtay hain
Lekin Gulaal ke mann mein Vasant ke flashback rehtay hain

Ab Gulaal Kesar ki ho hi jaye, hum kaise samjhaein
Behtar ho ga agar ab hum channel hi switch kar jayen

Bahut dekh liya, muft ki khwari hai
Iss Gulaal ne hum sub ki matt mari hai

if you want to appreciate 👎🏼 Talli:
Her personality:

Talli ke chehre mein woh jadoo hai
jo dekh le woh bachta nahin
woh pehaan ley jitne bhi sona zavor
uss bechari pe kuch jachta nahin

her lovely activities:
Talli, harri thi 2 mun bhari thi
kesar ji ke kamrey mein darwaze ke pechay kadhi thi

or Gulaal's behavior:
Kabhi hunh karti hai kabhi haan karti hai
Gulaal ki samjh nahin aati kab naa karti hai

The Ludo event:
Ludo khelne ke baad kesar bola
gulaal ye to sara sar zyadati tumhari hai
Pehlay tum ne meri goti mari
Mein jeet gaya toh chapaid mari hai

Gulaal daily activities and achievements:
Pehlay Gulaal jahan chalti thi wahan paani nikalta tha
ab jo chalti hai toh aag nikalti hai
chahey jitni tarah ki sabzian daal ley handi mein
jab chamach maro toh sirf saag nikalti hai

about chota Vasant:
Gulaal ke aangan mein chota Vasant kheley ga
Kesar ab daal bigharey ga, rotian bailey ga
Ghar ke sarey kaam jab karne padhen ge ussey
Ab agar Gulaal ne di Talaq, toh woh foren lay lay ga

Future.. Kesar and Gulaal
unison
Jis din Gulaal ko huwa pyaar Kesar se
uss din Gulaal serial badi mast ho gi
Lekin dekh lena, dil na totay tumhara
woh aakhri show hoga aur 19 august ho gi

Now your turn...





Created

Last reply

Replies

8

Views

1.7k

Users

6

Likes

13

Frequent Posters

Geeshu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#2

Originally posted by: SlingShooter



Future.. Kesar and Gulaal
unison
Jis din Gulaal ko huwa pyaar Kesar se
uss din Gulaal serial badi mast ho gi
Lekin dekh lena, dil na totay tumhara
woh aakhri show hoga aur 19 august ho gi


I agree with u...
SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3
Kuch irshaad bhi farmaiya hota. ☺️
Incense thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#4
res...will farmaao some sher 😛
kreas thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#5

@Slingshoother
Gaur fermayiga
Ye kya kar dala apne
Wah wah wah wah
Ye kya kar dala apne
Gulaal ko hi poem me fherma dala...!!!!
Btw nic poem...!!!!!😃
kreas thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#6

Mat yaad dilao uss din ka
Warna aa jayega mujhe gussa
Aur de dongi Sp walo ko 2-4 mukka...!!!!
Katyayani_devi thumbnail
IPL 2024 Participants Thumbnail IPL 2023 Participants Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
#7
gulaal cvs ne master piece banake me kya kya nahi dala
sab ingredients dala
superpowers dala
gulaal-vasanth love story dala
social issues(like gay issues,women empowerment etc..) dala
crime,murder mystery daala
family politics dala
kitchen politics dala
unconventional love story dala
high confrontations,melodrama dala
kesar/thalli turba dala
haunting of talsgra haveli dala ha it's not less than a ghost track 😃
leap period dala
kya kya cvs ne nahi dala in this 8 month period me
tho cvs ne itna capable itna dalneka in this 8 month period me
tho kya bacha hai in this 2 or 3 weeks or watever period me daalneka
in kesar isthtyle
hum mantey hai hum gulaal show se pyaar hai ir shayad hamesha rahyega😭
jyada meeta bhi jeher banjantey hai 😉 😆


minidixit thumbnail
Posted: 14 years ago
#8
That was a super cool collection... (although on second thoughts, we cud skip tht one--- chahe jitni bhi sabjiyan daale handi mein, chamach maaro to saag nikalti hai..) tht was a bit forced one...(and a deliberate attempt to copy Kunaal, i know) 😆 Anyways on a serious note, it was really really gud, u definitely have some knack at poetry... 👍🏼
SlingShooter thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#9

Originally posted by: minidixit

That was a super cool collection... (although on second thoughts, we cud skip tht one--- chahe jitni bhi sabjiyan daale handi mein, chamach maaro to saag nikalti hai..) tht was a bit forced one...(and a deliberate attempt to copy Kunaal, i know) 😆 Anyways on a serious note, it was really really gud, u definitely have some knack at poetry... 👍🏼

Thanks for appreciation, its very heartening to be linked to the greatest poet of stone age time Kunaal.
Saag is a metaphor for same.. going around in circles. No matter what Kesar does Gulaals response is same. (aaj kal, she is changing)
BTW nothing is more painful for a poet to explain his poetry. 😃
if Gulaal continues I might start painting too.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".