Maaneet- Hope Shall Win!
Maaneet are sleeping together! It night and both of hands are entangled. Geet sleeping in Maan's arms! Maan gets flashbacks of mummy telling him everything and he giving her his property on her own. He then remembers Geet's dialogue.
Geet: "Jeevan sangini hoon aapki; aapki humraaz hoon. Geet ki zindagi aapki zindagi. Jis raah par Maan chalenge; Geet aapke saath chalegi."
Yes this is what she had said! She didn't even once question me; without uttering a word; left everything and came with me. She didn't even once let her belief in me shake her loyalty towards me. She is truly my life partner.
Maan: "Aaj tumne saabit kar diya geet ki tum har roop main meri Ardhangini ho! Main bahut kismet waala hoon geet ki aaj tum meri zindagi ho. Main waada karta hoon; ki aaj ke baad main tumhe jeevan ki har khushi doonga."
But how Geet? Can I pull it of? Will I be able to be that Maan Singh Khurana; the heir to the Khurana constructions. Can I build up another Khurana constructions? Can I Geet? With these thoughts eating up his mind; he shuddered and this woke up Geet.
Geet: "Maan kya hua? Aap achanak se jag gaye? Sab theek hai na?"
Maan didn't want to let her know what was troubling him. He didn't want to see her sad; in pain because of him. But he knew she will catch me if I lie to her. And infact he didn't want to lie. She appreciated me for my honesty. Why should I lie?
Geet got up; pulled him in a close hug; his head fitting in her hands. Her one hand was gently wrapped around his face; while the other hand's fingers were playing with his hair; reliving of his pain; the emotional turmoil in his mind. She held him closer; and gently took his lips in a sweet kiss.
He responded with equal passion. He parted to breathe. He looked deep into her eyes. Eyes that showed the love she had for him; the trust that she had in him. She believed that they will be together whatever happens.
Geet: "Maan aap pareshan mat hoyiye. Sab theek hoga. Main hoon na aapke saath. Aapko mujhpar bharosa hai na? To bas aap apna yakin banaye rakhna aur phir dekhna aapki yeh sherni kya karti hai?"
Maan: "Geet mujhe tum par poora bharosa hai; par kya tumhe lagta hai ki main phir se Khurana constructions ko khada kar paoonga? Mujhe darr lag raha hai Geet. main nahin jaanta ki mujhe kya karna chahiye. Mujhe ghabrahat ho rahi hai."
"Geet tum mujhse itna pyaar kyun karti ho? Kyun mere sabkuch Mummyjee ke den eke baad; woh bhi khushi khushi; tumne mujhse sawaal nahi kiye? Kyun nahi pooncha ki Maan aapne aisa kyun kiya? Kyun Geet? Kyun? Kyun karti ho mujhpar itna yakin. Main is yakin aur pyaar ke laayak hi nahin hoon. Tumhe dard ke siva maine kuch nahin diya hai. Kya main khood ke pairon pe phirse khada ho sakta hoon? Mujhe bataao Geet."
Maan Geet whispered silently; tears forming in her eyes.. She couldn't see this Man in pain. She pulled him closer and gently left a kiss on his forehead. She hugged him closer and he let himself snuggle up close to her; feeling the warmth and love of his wife.
Geet: "Maan maine aapse pehle bhi kaha hai; ki main aapki jeevan sangini hoon; jo aap karenge main use sweekar karoongi. Bas aap royiyega nahin. Aur aap keh rahe hai ki aap mere pyaar ke layak nahin. Yeh kya keh rahe hai aap. Aur Maan mujhe aap par rab se jyaada yakin hai; khud se jyaada main aap par yakin karti hoon."
"Maan aapne hi kaha tha na ki Khurana constructions ki neev isi ghar main rakhi gayi thi; to bas; ab hum bhi hamari nayi zindagi ki shuruat isi ghar se karenge. Hum is ghar ko naya kar denge; ise makaan se ghar banayenge; aur dher saari khushiyon ke saath ismain khushi se rahenge."
"Maan aapne hi kaha than a; is ghar main dadi ma dadaji ke saath rehti thi; jab unhone apna pehla contract sign kiya tha; yahi ghar hame taakad dega Maan. Isi ghar se hum nayi dooniya basayenge Maan."
"Maan mere liye ye maine nahi rakhta ki aap Maan Singh Khurana Hai; mere liye ye maine rakhta hai ki aap mere Maan ho. Woh Dusht Danav nahi; mere humsafar; mere pati Maan. Aur dekhna Maan; hum in haalatom se ladhenge; aur jeetenge bhi. Bas Babaji par vishwas rakhe. Who bas hamari pariksha le rahe hai. Aur agar unhon hamari rah main kaante boye hai to; un kaaton par chalne ki himmat bhi denge ."
"Maan aap ab so jayiye. Bahut raat ho chuki hai. Kal ek naya savera hoga; ek naya din aur ek nayi umeed! Kal se ham sirf aage ki sochnge. Jo ho gaya so ho gaya. Ab baaki sab kuch bhool ker; apni Mishty ki ankhen main kho jaayiye aur so jaana Maan."
Geet said with tears in her eyes. Maan slowly wiped them; and he slept in her arms; snuggling more to feel her love!
Love
Mayuuu
139