Guys don't know if this has been posted before or not but I seem to have missed it.
In case was posted Veena can close the topic😊
Anyway TV9 interview on the 300 episode celebration.
Cute😊
Also has set celebration moments and KT saying the famous KKHH dialogue: 'Hum ek baar marte hain...' with a twist of his own😡
Anyway Yasharan were cuteness defined as usual!
Enjoy😃
Written Update(Am just writing down the interview parts!)
KT: Jee aaj basically Shantanu Khanak ko surprise ker rahay hain aur unhay yeh batanay ki koshish ker rahay hain ke unhon ne inn 300 dinon ka hisaab rakha hai, har pal har lamhe ka hisaab rakha hai aur kis tarah Khanak ne uss har ek pal mein Shantanu ko support kiya hai, Shantanu ko pyaar diya hai, Shantanu ko khushi di hai tou yehi baat hum aaj bahut serious note per discuss ker rahay hain ke aagay aur kitna pyaar badhana hai aur kitna aur pyaar kerna hai (Gosh this guy talks alot!Phew.😆)
---------------------------------------------------
YM: Umm yaadgaar mein nahi bananay wali, yaadgaar tou Shantanu ne bana diya hai, unhon ne mujhe bahut acha surprise diya hai, unhon ne room decorate kiya, meray liye cake laaya tou mein unko Thank You kehna chaahoon gi aur yeh safar aisay hee jaari rahay ga...
---------------------------------------------------
KT: Hum tou bilkul shuruat mein pahunch gaye hain jab Khanak aur meri pehli mulaqat hui thi Dhulwadi mein aur mujhe aaj bhi yaad hai woh pal jab yeh ghoongat mein se jhaank jhaank ker woh maang rahi thi..kya kehtay hain ussay..
YM: Mithai maang rahi thi, gulab paak
KT: Mithai maang rahi thi, aye haye, sab yaad hai inhe, sirf mein akela nahi hoon!
---------------------------------------------------
KT: Hum ek baar jeetay hain, ek baar marte hain, pyaar bhi ek baar hota hai aur shaadi bhi ek hee baar hoti hai Khanak aur mein tum se ek hee baar shaadi kerna chahta hoon, do baar ker ke mein ghalati nahi kerna chahta, ek baar ker ke mein phuss chuka hoon, yeh safar bada suffering raha hai!
Edited by -SYS- - 14 years ago