pleaseee parts:203-205 pade bina koi bhi mere liye jutte chappal mat uthaana, its my request, hee hee, jayda pareshan bhi nahi karungi, ek saath 3 parts update kar rahi hun, wait bhi nahi karni padegi aap logo ko, to padkar aaram se react karna, okk😃
I'll send you pms tomorrow.. :)
Part-203
when he stopped reacting, armaan who's just sitting outside the door, opened the door, and seeing someone appearing to him, ankit holds his legs mumbling "mai tumhare aage haath jodta hun, please mujhe bacha lo, mujhe bacha lo…", armaan had slight tears thinking "kaash tumhare haath jodne se mere bete ka darr dur ho sakta.." & gestured siddharth to open lights..
as soon as lights got opened, ankit whose BP dropped down a minute before started opening his eyes and was shocked to see an empty room, it's the same store room though but after aarish's incident, armaan asked some people to clear the room, now only 2-3 skeletons were hanging in room, rest there's no mouse & no snake, only one snake toy's there in room, seeing this ankit was shocked, and on other side rishab came running..
Ri: dr. ankit aap yaha kya kar rahein hai??? Maine apko saari jagah dhund liya par aap nahi mile, patient ko kab ka admit bhi karwa diya hai, aur ye aap armaab bhaiya ke paer kyu pakad kar baithe hai???? (ankit left armaan's feet and got up, cleared his face, he again looked at room thoroughly & was confused, then looked at armaan & somehow with banging heart goes out)
Armaan smiled and thought "chahe tune kuch bhi kiya ho ankit, par tere jitna mai kabhi niche nahi gir sakta, mai tere itne gunaaho ke baad bhi patthar dil nahi ban paunga, nahi chod paunga marne ke liye tujhe….. pata nahi tera dil kiss se bana hai, he took aarish from siddharth and caressed him with love and hugs him..
Ankit came back to normal and was resting on his bed, thinking "kaise iss hospital mai ruka jaaye", after sometime he felt an urge to go to bathroom, but as soon as he touched the door he felt his hand sticked to it, then his other hand also got sticked, he cried in pain as he felt current all over the body,
after sometime vedic comes & acted to switch off something but in actual armaan pulled wire out & he's relieved from current, when he's on bed armaan while checking him asked " kaisa laga aapko current ko mehsus karke??? Auron ko current dene ka bahut shownk hai na tumhe, khud ko lene ka bhi phir to shownk rakhte hi honge..
Ankit kept on looking at him & realized that armaan deliberately did it, he's
kind of shocked & thought to himself "armaan tujhe ye khel bahut bhaari padega…"
**************************
R: armaan ne uss din bhi current ka effect bahut kam rakha tha, armaan ankit ko ussi ki language mai saja de raha tha chahe par phir bhi armaan ne kabhi bhi insaniyat ki had nahi paar ki, wo ankit ko itna hi dard de raha tha jo ki insaan aaram se jhel sake, jiss waqt dard milta hai wo waqt bahut mushkil hota hai chahe dard bearable bhi ho,
par baad mai insaan bhul jaata hai uss dard ko, aisa hi ankit ke saath armaan ne kiya, usse dard mila par wo agle din uss dard ko bhul gaya, par jo dard ankit ne hume diya tha wo hum kabhi bhi nahi bhula paayenge, ankit uss din ke baad aur jayda paagal ho gaya, ek aur gunaah karne challa tha aarish ki ek baar fir jaan lene ka…
Va: bas kar riddhima… bassss…
R: (smiled) ye uska aakhri gunaah tha, uske baad usse aur kuch karne ka mauka nahi mila…
Flashback…
Ankit became mad when his father called him that he's not a man, he can't even do such a simple thing of separation AR, what else he can do, he can't even take the small revenge for his father's self-respect, ankit holds his hair and was walking in hospital when he saw aarish running here & there with his toy & was clapping, laughing,
his laugh was disturbing him more, he in anger picked up aarish and goes on terrace, as he picked up aarish from corridor, ram saw ankit picking up aarish, he quickly pressed alarm tightly, armaan came rushing, ram quickly told armaan about aarish being carried away by ankit, armaan's shocked, 10 minutes ago atul took aarish with himself as he wants to play with him, armaan didn't mind…
armaan quickly turned towards terrace and somehow dragged his wheelchair from a slope, his wheel chair kept on moving down but he maintained balance, as his will power was very high so his wheel chair too followed him like a puppet, after struggling for 10 minutes armaan reached on terrace, he's literally bathing in sweat, armaan while entering in terrace loudly called "ardhaan ardhaan ardhaannnnnn"..
on other side ankit who's on the verge of throwing aarish down from terrace, heard armaan's voice and got scared thinking "mai saamne nahi aa sakta, saare kiye karaye par paani fir jaayega" he left aarish hand on fence thinking that aarish will fall on ground, now AR relationship will definitely suffer and he hides himself on the back of door..
armaan entered in terrace and again called "ardhaan's name" then heard his screams, he moved towards fence and saw him standing on the little space little down from fence, trying to hold wall, one more forward step of him would definitely make him fall, armaan reached near fence and he knew he couldn't bring aarish back while sitting on wheel chair, he placed his hands on legs and placed his both legs on ground,
then himself placed his hands on fence and using his upper body with all the force he stood up, his upper body was standing with the support of railing, then he bends forward and tried to hold aarish, his body was literally hanging on railing, he closed his eyes tightly & somehow catches aarish's hand, and somehow moved his body up holding aarish and straightway falls on ground with his head started bleeding a bit and his back too got hurt but aarish's saved properly, not a single scratch touched him, he's scared totally…
siddharth who's the proof of how armaan saved his child quickly cleared his tears and rushed to his bhai, holds him and made him sit on chair, then he saw ankit quietly moving down, his anger raised totally and was on the verge of going to hit him, when armaan holds his hand & shaked his head..
******************
Va: (clearing her tears) armaan paagal hai, ab bhi wo siddharth ko mana kar raha tha ankit ko maarne se, kyuuu?????? Are wahi se ankit ko niche gaer dete, maar daalte usse, darinda… (riddhima just smiled, shaking her head, same question came from siddharth)
Flashback…
Si: kyu aapne roka mujhe bhaiya, kyu nahi maarne diya, bahut maja aa raha hai apne bete ko baar baar dard mai dekhte hue, kaisa pyaar hai aapka ye, ek taraf aap aarish ko dard mai nahi dekh sakte aur ek taraf aap usse dukh dene waale ko khulla chod rahe ho bilkul, aapka ye roop samajh nahi aa raha, aap pathar dil ban chukke ho ya ab aapko dard sehne ki aur apne bache ko dard mai dekhne ki itni aadat pad gayi hai ki ab aapko farak hi nahi padta koi aarish ke uppar jitni marji baar jaan lewa hamla karta rahe…..
(siddharth finally settled near armaan after bandaging him, still looking disappointed with armaan, he tried to caress aarish who's in deep slumber but in sleep too he turned to armaan, engulfed himself in his father's arm, he's very insecurred) kitna vishwas hai bhai aapke uppar aarish ko, phir aapne kuch nahi kiya, kyu saja nahi di ankit ko??? Kyuuuu???? (he said this with pain)
A: (smiled and hugged aarish) bahut jaldi samajh aa jaayega siddharth..
Si: nahiii mujhe abhi samajhna hai, bilkul abhi..
A: mai apne bache ke pyaar mai ussko aur uski ijjat ko nahi bhul sakta jisne mujhe pyaar ka matlab sikhaya, jiski wajah se aaj mai apne aap ko iss hadd tak patience rakhkar baithna seekh gaya hun ki mere bache ki mere saamne jaan lene ki koshish ki gayi par maine uss insaan ko itni assani se nikalne diya jaise kuch hua hi na ho,
pata hai sid tum meri 3-4 saal pehle ki parchayi ho, 3-4 saal pehle shayad agar aisa kuch hota to shayad ankit bachta hi na, par aaj mai soch sakta hun ki agar maine ankit ko gusse mai aakar maar diya hota to aarish ka insaf ho jaata par riddhima ki ijaat ke saath jaise ankit ne khella hai wo kabhi na laut kar aa paati,
mai aaj baap hone ka hak to shayad ada kar sakta tha lekin phir ek premi hone ka, ek pati hone ka hak na ada kar paata, riddhima mujhe apna sab kuch maanti hai, maa-baap,bhai-bahen,dost,premi,pati, khud socho jara itne sab rishton ki ijjat ko kaise daav par laga sakta tha??? Mujhe meri riddhima aur mere ardhaan dono ka badla lena hai, aadha adhura badla mai lekar kya karunga???? (siddharth was still furious) jiss din tumhari jindagi mai koi riddhima aayegi to ye armaan(placing hand on siddharth's shoulder) bhi badal jaayega…
Si: agar pyaar chup chap baithkar apne aur apno ke uppar julm hote dekhna sikha deta hai to bahut acha hai ki mujhe pyaar nahi hua, naa ho aisi hi dua karunga..
A: pyaar julm sehna nahi, pyaar uss julm se nipatne ki taakat jarur de deta hai, pyaar apne baare mai nahi apno ke baare mai sochna sikhata hai, selfish se selfless ban na sikhata hai..
Si: to aap kehna chahte hai ki mai agar ankit ko maarta to wo apne liye maarta, aarish ke liye nahi…
A: beshak siddharth, ankit ko maarkar tum sirf apna gussa aur apni frustration nikalna chahte the, par uss se aarish ko lagi chot theek na ho jaati, uski insecurity khatam na ho jaati, bas tumhara gussa nikalta, solution kuch na nikal paata, aur baad mai tumhe jail ho jaati, kon suffer karta??? Tum aur tumhare apne, jo ho gaya siddharth wo ho gaya, ankit ko maarkar saja nahi di jaa sakti, usse uss dard ka ehsaas dilwakar hi saja di jaa sakti hai jo usne sabko diye hai, jab tak usse apne gunaaho ka ehsas nahi hoga tab tak usse di gayi koi bhi saja bahut kam hogi..
Si: bhai apne logics apne paas hi rakho.. (he left in anger, armaan smiled fakely while shaking his head…)
*********************
R: (cleared her tear with a smile) kitni ajeeb baat hoti hai na vaishali, hume jab dukh hota hai aur hamara apna uss dukh dene waale ko kuch nahi kehta to hum ye iljaam laga dete hai ki wo humse pyaar nahi karta, agar karta hota to hume dukh dene waale ki jaan le chukka hota aur agar hamara apna uss dukh dene waale ko maarta hai, saja deta hai tab bhi hum ussi ko jungli hone ka iljaam de dete hai ye kehkar ki kyu tumne aisa kiya,
tumse ye kabhi expect nahi kiya tha, tumhara pyaar badal gaya hai, mai tumhe nahi jaanti, tum wo nahi ho jiss se maine pyaar kiya tha, kahi par bhi hume shaanti nahi milti, agar hamara apna hamare julm ke liye badla lega to hum mahaan ban ne ki koshish karienge ki nahi aisa mat karo, aur agar hamara apna badla nahi lega humpar julm karne waalo se to hamare andar ka bacha chillayega "ki koi humse pyaar nahi karta, kissi ko koi parwah nahi hai hamari…"Aise mai hamare apne jaayein to kaha jaayein??? Kya karein?? (she reminded when she said these kind of harsh words to armaan)
Flashback….
Along with siddharth, patient ram also knew about all the accidents that took place with aarish, so armaan who's thinking about his next move included siddharth & ram with him, armaan told him that how's aarish first & second accidents were done…
Ram: to ab aap kya soch rahein hai dr. armaan????
A: history ko repeat karna hai, same incident par ab planner honge aur ankit victim…
Si: haan hum uss ankit ko 6th floor se niche phenkenge…
A: kaash hum aisa kar sakte…
Si: aisa hi karienge bhai..
A: siddharth… (he made face & put fingers on his lips) that's luking more gud, kal 13th feb hai, kal shaam 7 baje sid tum kissi bhi tarah ankit ko emergency ka bahana karwakar 4th floor ki back side par lekar aaoge jo area under construction hai waha par, mai marker se floor par cross ka nishan banakar rakhunga, itna dhyan rakhna ki ankit wahi par khada hona chahiye, walkman kab aur kaise challana hai mai sambhalunga, maine 3rd floor par dry grass dalwa di hai, taaki ankit jaha bhi gire usse jayda chot na lage..
Si: aap ye bhi kyu kar rahein hai bhai, aisa kariye mai gangajal laakar deta hun, aap ankit ke charan dhoiye, sir par taj pehanaiye,itna mahaan bankar aap kya karenge, aapki ek galti par phir logon ne aapko gaaliyan hi deni hai.. (armaan glared him) waise aap kaise sure hai ki wo 3rd floor par hi girega??? 1st floor par bhi to gir sakta hai na??
A: nahi, 3rd floor par aaj hi tiles set hui hai balcony ke liye aur wo flooring 4th floor se width wise jayda extended hai, to definitelyankit 3rd floor par hi girega, 15th ko ek chotta sa fire accident hoga ankit ke room mai…
Ram: aur ussi mai uss ankit ko jalakar rakh kar denge…
A: tum apni plannings baad mai karna pehle meri baat suno…
Si: haan hum apni plannings baad mai karenge… (he looked at Ram, who smiled and nodded, armaan explained little more things to them and left) kya aap bhi wohi soch rahein hai jo mai soch raha hun???
Ram: haan, ankit jaise logo ko jeene ka koi hak nahi hai…
Si: bilkul sahi, maine socha hai agar tiles aaj hi lagi hai to wo to aaram se alag bhi ho sakti hai, ankit jaise logo ko aaram se nahi unhi ki language mai handle kiya jaata hai, jab tak uski 3-4 haddiyan ni tutegi tab tak usse akal nahi aayegi….
Ram: tiles remove karna aasaan hoga, seddha jameen par girega, marega to nahi par challo 1-2 haddiyaan hi tut jaayegi, kuch to sukoon hoga sabki aatmayon ko…. (siddharth nodded & they removed tiles from third floor, only 6 tiles, mud & bricks they had to remove , their job was done, now only iron rods were left)
Armaan was unknown to these new developments, next day when riddhima left from hospital, armaan moved on 5th floor & from its balcony hanged one walkman with the help of strings, ankit came to the marked point as ram asked him to meet at that point, as soon as he reached that point armaan switched on the walkman, due to sudden horror tune that's played near ankit's ear, ankit got horrified, for a minute he couldn't understand where he's and in horror he moved forward and fell down, first he got bumped on 3rd floor where he got hit by iron rods, then after getting hit by the end of 2nd floor, he got hanged on 1st floor on rods with one rod entered in his lower abdomen…
After sometime he's OT, armaan was shocked when dr. keerti told him that he's founded on first floor, armaan did his treatment and after that he met ram & siddharth, they were scared if armaan would come to know that they had done this, then he'll never talk to them, but armaan was very calm…
Si: (little anxious) bhai aap pareshan nahi hai ki aapne jo socha sab uss se ulta hua???
A: kyu mai kyu pareshan hoyunga???
Si: aapke andar kissi aur ki aatma to nahi ghus gayi na bhai, aapko bukhaar
to nahi hai na??? aap kal tak to pravachan de rahe the ki aisa kuch nahi karna, ankit ko jayda chot nahi pahunchani, wagarah wagarah…
A: dekho sid, ankit mera koi rishtedaar nahi lag raha jiske jeene ya marne se mujhe farak padega, usse chot nahi pahunchani thi kyunki mai ankit nahi hun, insaan hun jo abhi insaaniyat ka matlab nahi bhulla aur shayad bhul bhi nahi sakta, aaj jo ankit ke saath hua wo bhagwan ki marji se hua, ussne apne gunaahon ki chotti si kimmat chukayi hai, to mai kyu pareshan hoyunga, mujhe usse dukh mai dekhne se dikkat nahi hai par khud ka insaniyat ke bhul jaane se dikkat hai jo mai kabhi nahi karunga…. (saying so he left)
Ram & siddharth didn't bother about telling him the truth as armaan's fine with the accident and he's not enquiring about anything, after a day ram & siddharth lightened fire around ankit's bed when he's sleeping, when fire was off armaan tried to treat ankit but ankit shrug off his hand thinking that it's all armaan's plan, he infact called police too but gurpreet who knew everything came and cross-questioned ankit,
ankit didn't answer anything thinking his true face will come in front of everyone, in between dr. keerti told ankit "tum kabhi baap nahi ban sakte", armaan's kind of shocked but mumbled "apne hi paapo ki saja bughat raha hai", his words left riddhima with surprise thinking "armaan itna feelingless bhi ho sakta hai", after that gurpreet met with armaan personally..
Gu: dr. armaan aaj to ankit chup ho gaya taaki uski sachayi na saamne aa jaaye, par jiss din ankit ki sachayi saamne aa jaayegi uss din uske saath saath aapko bhi saja ho sakti hai kyunki adalat ye kabhi nahi dekhegi ki aapne jo kiya wo ankit ko sahi raaste par lane ke liye kiya, usse aage gunaah karne se rokne ke liye kiya, wo bas yehi dekhegi ki aapne bhi ankit ki jaan lene ki koshish ki…
A: gurpreet tum to sab jaante ho, pehla case sirf ek accident tha…
Gu: par aaj??? Aaj agar aag jayda phel jaati to kuch bhi ho sakta tha, maine tumhe kaha tha na ki ye dono accidents mai tumhe dhyaan rakhna padega, ankit ko sirf daraana hai, baaki ka kaam police ka hai..
A: gurpreet par aaj bhi jo kuch bhi hua accidental hua hai, maine pehle accident ke baad hi soch liya tha ki aag waala accident ab hum nahi karenge…
Gu: to phir aaj ankit ke kamre mai aag lagi kaise???
A: accident..
Gu: (cutting him) accident nahi ho sakta, kyunki ankit ke bed ke aas paas kerosene oil pada hua tha… (armaan's little shocked) challo filhaal mai chalta hun, agar kuch pata challe to jarur batana… (armaan nodded and goes to check his patient Ram, as soon as he entered in his room ,he found him excitedly giving hi-fives to siddharth, both were laughing, seeing armaan, they stopped for a moment, then asked armaan to join them, both were making fun of ankit and armaan's uietly listening to them, on other side riddhima thought "mujhe armaan se aise baat nahi karni chahiye thi, mai usse sorry kehti hun", she came in ram's room in search of armaan where ram's saying..
Ram: chehra dekhne lyke tha uss ankit ka, bahut acha kiya aapne dr. armaan, wo insaan issi ke kaabil hai, kissi ko pata bhi nahi challa ki ankit ke terrace se girne ke piche aur uss aag ke piche aapka hi plan tha, aur ankit ki baton par koi vishwas nahi karega, ab aage ka kya plan hai??? (armaan was little surprised as he didn't know anything, but before he could clear, he found shocked riddhima standing on door…)
*******************************
R: aadhi adhuri baatein sunkar maine armaan ko saja dene ki koshish ki, ek baar phir aisi puraani galti dohraane ki koshish ki jiss galti ki wajah se armaan aur mera rishta ek baar pehle bhi tut chukka tha, maine armaan ko bolne ka mauka hi nahi diya… armaan ka har step gurpreet ko pata tha, gurpreet ne hi armaan ko sambhala tha jab ankit ne aarish ko band kar diya tha store room mai, armaan uss waqt bahut gusse mai tha, usne gurpreet ko phone kiya aur kaha ki wo ankit ko maar daalega, tab gurpreet ne kaha theek hai maar daalo aur jail mai saja kaato umar bhar…
Flashback..
Armaan stayed quiet hearing his words..
Gu: dekho armaan tumhare paas 2 raaste hai ya iss waqt gusse par kabu rakhkar ankit ko aage bhadne se rokne ka tareeka dhundo, ya phir ab gusse mai aakar tum ankit ko maar daalo aur phir jindagi bhar jail mai chakki pisso, aise abhi ke liye sukun to mil jaayega, par baad mai jail mai apne pariwaar ke bina aaram se reh sakoge to jaao kardo khun uska aur nikal lo dil ki bhadaas…
***********************
R: tab jaakar armaan kissi tarah shaant hua tha, har kadam par apne gusse ko piya, kabhi ankit ke gunaah karne par usse saja na de paane ki wajah se to kabhi apno ke bachpane ke kaaran..
Va: matlab???
R: armaan ne ankit ko theek karne ke liye research karni shuru kar di thi..
Va: par kyu??? Ab armaan ankit ko theek kyu karna chahta tha???
R: mere liye shayad, mera uske liye behavior badal gaya tha, armaan ne bhi mujhe sachayi batane ki jagah ankit ko theek karna jayda behtar samjha, kyunki mera rude behavior usse hurt kar raha tha, usse acha nahi lag raha tha ki wo jiss ladki se paaglo ki tarah pyaar karta hai usne usse ek mauka bhi nahi diya bolne ka aur usse jungli bolkar bhaag gayi, to usne meri galat fehmi dur karne ki jagah ankit ko theek karna behtar samjha, iss baat se ram aur siddharth bahut pareshan the, aur ek din..
Flashback…
Si: bhaiya aap ye sab kyu kar rahe ho??? Kya saabit karna chahte ho ankit ko theek karke????itni mushkil se hum usse jara si saja dene mai kaamyaab hue aur aap uss se uski saja waapis lena chahte ho??? Kyuu.. kyu aap itna guilty hai??? Jabki aap jaante ho ki aapki wajah se ankit ko kuch nahi hua hai??
A: plan to mera hi tha na..
Si: par usse modify to humne hi kiya tha na, hamari wajah se hi ankit ki ye haalat hai, par hum khush hai usse iss haalat mai dekh kar to aap kyu pareshan ho rahein hai??? (armaan looked at him with surprise and siddharth told him how they modified his plan, now armaan was shocked)
A: matlab aag lagna accident nahi tha??? Tumne???
Si: (casually) haan, hume laga ki aap iss plan ke baare mai bhul gaye ho iss liye humne khud hi sab kar diya… (he smiled) aur hum bahut khush hai iss chotte si achievement ke baad, bas ab intejaar hai ki kab uss darinde ko saja millegi badi waali, aur aap please ye mahan ban na band kijiye, band kijiye ankit ke liye itna possessive hona…. (armaan looked him and didn't utter a word to him, simply left from there)
**************************
R: armaan ko uss waqt samajh hi nahi aa raha tha, waqt hi aisa chal raha tha, uljha pada tha buri tarah wo, gussa bhara pada tha andar par nikaale kisspar usse nahi samajh aa raha tha, siddharth aur ram ko kuch keh bhi nahi sakta tha, bas andar hi andar khud se ladta rehta tha, apna gussa ankit ka ilaaj karke nikaalna chahta tha aur mai apni hi galatfehmi mai jii rahi thi..
Va: tumhe sachayi kaise pata challi…
R: (thought about the day when aarish got scared and hugged riddhima tightly after seeing ankit & ram warned her not to send her child near that ankit again) maine armaan se pucha tha iska reason par usne kuch ulta kehkar baat ko taalne ki koshish ki, mujhe pata chal gaya tha ki armaan kuch chuppa raha hai to mai ram ke paas gayi aur unse pucha ki aarish ko kya hua tha, tab unhone mujhe thoda sa hint diya, tabhi siddharth aaya aur…
Flashback…
Si: bhabhi armaan bhai ko kya ho gaya hai??? Wo itna mahaan kyu ban ne ki koshish kar rahe hai??? Ankit n kya kuch nahi kiya unke saath, aarish ke saath, aapke saath aur phir bhi armaan bhai uss ankit ko theek karne ki koshish kar rahein hai, unki koi galti bhi nahi hai, phir bhi wo aise guilty hai jaise unhone koi paap kar diya ho, wo jaante hai ki aaj uss ankit ki wajah se wo thek nahi hai, phir bhi….
R: sid tum kya keh rahe ho, theek se bolo.. (she said ths with horror, sid told her the truth, and for 5 minutes she remained in shock,then after registering sid words she picked up knife, when armaan holds her hand….)
************************
To be continued…
Precap : just wait n read..
Stay tunned..
Lots of love
Ankita…
43