Geet Ki Nukkud
Geet Ke Funde
Funda No. 1
Dil pe haat rakho aur kaan kholo'kya sunaai de raha hain? Dil ki dhadkan na? dil ka dhadakna matlab tum tum jee rahein ho... aur jab zindagi tumhare saath hain toh problem kya hain ??
Funda No. 2
Dil ka zoron se dhadkna matlab tum zindagi zoron se jee rahein ho...
Funda No. 3
Zindagi bhi ek scooter ki tarah hain'jiska handle apne haath mein ho toh chalaane mein mazaa aata hain'nahi toh koi matlab nahin'jab chaha handle right mod liya , jab man kiya left mein mod liya...
Funda No. 4
Usse farq nahin padta ki log mere baare mein kya sochte hain balqi usse ki main unke baare mein kya sochti hoon!
Funda No. 5
Aam raaste se jaane mein kya mazaa hai? Mazaa to usmein hain, ki aap apna raasta khud banayein aur who aam ban jaye!
Funda No. 6
Safar ko khatam karne ki jaldi mein log us safar ka mazaa uthana hi bhool jaate hain!
Funda No. 7
Kehte hain shiqayat sirf usse karni chahiye jo aapki madad kar sakta hai, is liye main sirf khud se hi shiqayat karti hoon!
Funda No. 8
Pyaar woh nahin hai jab aap kisi ke saath reh sakte hain balki who hai jab aap unke bina reh na paayein!
Funda No. 9
Bhagwaan ki Pooja karne ka kya fayeda jab unki di zindagi ki kadar na karo'is liye khush raho and love life!
Funda No. 10
Zindagi mein kuch banna ho, Kuch hasil karna ho, Kuch jeetna ho, To hamesha apne dil ki suno, Aur ager dil se bhi koi jawaab na aaye ... To apni aankhein band karke mujhe yaad karo ... Phir dekhna tum her manzil mil jayegi'Har mushkil ka hal mil jayega!
Funda No. 11
Karam karo aur phal ki chinta bhi karo
Funda No. 12
Jeene ke liye kaam karo, kaam karne ke liye jiyo mat
Funda No. 13
Agar tum Hrithik jaisa dance karoge to Hrithik kya karega? Is liye be original!
Funda No. 14
Dil bole to kar daal!
Funda No. 15
Colleagues ko dost bana lo to kaam kaam nahin lagega!
Funda No. 16
Jo tum chahoge who sab hoga'sirf tumhare kaam karne ki deri hai!
Funda No. 17
Usse farak nahin padta ki tum kis cheez se guzar rahe ho, balki usse ki tumhara nazariya kya hai
Funda No. 18
Hasi ka saamna is duniya mein koi museebat nahin kar sakti!
Funda No. 19
Main exercise karne mein vishwas rakhti hoon. Meri favourite exercises hain sona aur aaram karna!
Funda No. 20
Agar ghar ki murgi daal barabar hai to main roz daal khane ko tayaar hoon.
Funda No. 21
Kehte hain aap bhala to jag bhala'tabhi to I Love U Zindagi :*
Funda No. 22
Ek haath se taali nahin bajti hai par seeti to bajti hai!
Edited by AyeshaVeer - 14 years ago