isse bada aur koi lafz ho sakhta hai jiss se hum uss par haq jeeta sakhe, use apna keh sakhe aur hamesha uske liye kuch kurbaan kar ke kahe, Tere Liye?
isse hi kehte hai sachchi mohabbat, woh ek chotta sa pal jiss me itni mohabbat hoti hai ke hum yehi dua karte reh jate hai ke yeh pal kabhi khatam na ho
lekin
jab woh pal khatam hota hai aur dukh hi dukh hota hai
to hum yeh dua karte hai ke yeh waqat phir kabhi na aye
lekin
jo sachchi chahat karte hai unke liye yeh dard bhi dawa ban jaa tha hai,
aur dawa zakham ban jate hai aur tab dil ka dard kam karne
ke liye ankhon mein ansoo aur logon se ansoo chuppa ne ke liye
hothon pe muskuraat
akhir yeh zindagi humse chahti kiya hai, jab hum zindagi chahte hai to woh maut se bhi battar hoti hai aur jab hum maut chahte hai to pal mein hi zindagi apna leti hai
waise hi jaise Anurag aur Taani ke pyar mein keyi mushkilein ayee hai aur ayein gi lekin Taani ke dil se Anurag ka naam koi nahi mitha sakhe ga aur Anurag ke dil se Taani ka
shayad tab hi to dard ke liye bhi koi chikh nahi aur has kar keh diya ke tumhari har dua mein hum honge aur agar iss duniya se mar kar uss duniya mein challe gaye to us duniya mein hum honge
tu aur main hamesha hum honge
....
Pyar ki rahon mein chalne wale, hamesha dard hasil karte hai lekin woh dard hi to pyar hota hai, dar aur dard se chahat ya mohabbat ya pyar khatam nahi hota
yehi to sachche mayne hain jin mein hum sab kuch kurbaan kar ke keh sakhte hai, Tere Liye....
Mohabbat karne wale kabhi marte nahi kyon ki unki mohabbat hamesha zinda rehti hai
kabhi hum bhi isse azma kar dekhe ge, dard ko apne dil mein chuppa lein ge kabhi samne nahi ane dege aur hamesha sab kuch tere liye hi karein ge, aur agar hamari mohabbat sachchi huwi to har dua mein tujhe mang lein ge aur hum bhi muskurah kar keh denge ke yeh sab Tere Liye
TERE LIYE YEH MOHABBAT KABHI KAM NAHI HOGI KYON KI TU TO DIL MEIN HAI AUR DIL MEIN REHNE WALE KABHI ANKHON SE GAYAB NAHI HOTE, UNKE KADMON KI AWAAZ SUN KAR DIL KO BECHAIN KAR LEIN GE, UNKI SANSON KO MEHSOOS KAR KE APNI SANSON MEIN SHAMIL KAR LEIN GE AUR UNKI AWAAZ SUNN KAR DIL AUR BAATEIN KHUD HI UNKO APNE AAP MEIN SHAAMIL KAR LEIN GE
hamare Anurag aur Taani ko aab millne se koi nahi rokh sakhta, chahe woh zindagi hi ho ya maut
phir se pyar karne wale millein ge sirf woh do lafz kehne ke liye jise Anurag aur Taani ne apni zindagi banayee
TERE LIYE
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
~Amira~