Dharmesh, the new villain in ArMan's life
It's karanjkars' house. Point of discussion is Archana. Dharemsh is kind of chair person in the group discussion.
Satish- aaj mujhe behad khushi hai ki hum log fir se ikattha hue hain
Sulochana-chup karo satish. Koi khushi ki baat nahi aur Dharmesh ko bolne do.
Dharmesh-thik kaha aai ne. aaj main bolunga aur baki sab sunenge
Satish- dharmesh tumhari baat sunte sunte mujhe neend aa jaye to gussa mat karna
Dharmesh-suno meri baat. Manav ne archana ke sath jo kiya achha nahi kiya. Bechari ko shaadi ke mandap se bhaga liya aur hum dekhte reh gaye
Satish- haan ek doodh peeti bachhi ko utha liya 😆
Dharmesh-is baat se hum inkaar nahi kar sakte ki manav ne hi aarchana ko behlaya fuslaya hai
Satish- chalo bhagane se behlane fuslane pe aa gaye. Main thoda aur insist karun to tum yeh kehne lagoge ki archana ne manav ko bhagaya hai 😆
Sulochana- yeh mazak ka waqt nahi hai satish. Dharmesh thik keh raha hai. Bolo tum dharmesh
Dharmesh –thanks aai. Humen yeh sochna chahiye kaise manav ki chungul se archana ko azad kiya jaye
Satish- arcchana ko bus ka number bata do. Dombivili khud chali aayegi 😆
Dharmesh- bus ho ya local ho wo aa sakti hai par kyun nahi aa rahi yeh hamen sochana chahiye. Manav ne usse fasa liya
Satish- bilkul. Pyar ke bandhan mein bandh rakha hai manav ne usko. Kaun bhala pyar ko thukrana chahega.
Manohar- (adjusts lenses)
Dharmesh- satish tum bhul rahe ho ki archu ek seedhi saadi ladki hai. Dil ki achhi hai aur is liye manav usko...
Satish- achha ab archu achhi ho gayi. Chand roz pehle woh ek nihayati swarthi ladki thi, aur badnaam rishta rakha tha usne manav ke sath. Uske character ke upar tum ne ungli uthayi thi aur usne jo thappad tumhe mara tha uski gunj aaj tak is kamre mein hai 😆
Dharmesh- satish ki baat pe gaur na karke main sab se yeh kehna chaunaga ki hamen ab sochna chahiye archana ko kaise wapas ghar bulaya jaye. Mera suggestion hai ki manav ko kidnap kar liya jaye, aur archu apne aap ghar chali aayegi. Kya kehte hain aap log
Vaishali- sahi idea hai
Satish- dharmesh tum ladkon mein interested ho mujhe pehle pata nahi tha. Khair manav ko chhod do main tumhare liye ek se ek handsome model la dunga jinke sath tum raatein gujar sako. Manav ko kidnap karoge to tumhe nani yaad dila dega wo
Sulochana- chup karo satish. Aage bolo Dharemsh
Satish- waise main ek idea dun dharmesh.. manav jab bathroom ke andar naha raha hoga usko bahar se lock kar do
Dharmesh-good idea satish aur andar zahrili gas inject kar dunga..right?
Satish- par agar manav darwaja tod ke bina kapdon ke bahar aa gaya, usse dekhke tum inferiority complex se mar jaoge 😆
Dharmesh-chup karo satish. Sirf vaishu bata payegi main kisi se inferior hun ya nahi
Vaishali-chup karo dharmesh. Maine thodi na tum ko kisi ke sath compare karke dekha hai
Sulochana-yeh kaisi baatein kar rahe ho tum log. Mudde se hato mat tum log.
Dharmesh- main aisa karunga manav jahan jahan pe naukri keliye jayega udhar usko dhakke maar ke nikal dunga
Satish- haan mumbai bahut hi chhoti jagah hai and moreoever tum ko kaun nahi janta 😆
Vinod- dharmesh tumhare saare ideas bekaar hain. Tum kuch samajh nahi rahe ya samjhna nahin chahte
Dharmesh- ek aur idea. Hum ek behad khubsoorat ladki ko manav ke bajoo wali kholi mein rakhenge. Wo manav ko apni aur attarct karti rahegi aur archana ko shak ho jayega fir dono mein break up
Satish- idea mein dum hai. Waise aisi ladki milegi kahan. Kahin tum khud ladki ke bhesh mein jake yeh kaam karne ka soch to nahin rahe ho na?
Dharmesh- ab aai aap hi bataiye main kya karun? Mujhe kisi bhi kimat mein manav jail ke andar chahiye
Satish-bas ab aayi na sachhai jubaan pe..bada aaya tha archu ki bhalai karne
The End..