Now the scene begins:
Gunjan, Samrat, Dia, Mayank and Nupur were having lunch together at Mayank's house. As it was a Sunday, Mayank invited Samrat to join them also, coz, Mayank knew that in all these three years, he has been very unfair an unreasonable towards Samrat..and they all left him at a time, where he needed them the most. So, he wanted to make up for the most, in whatever way he could.
There was almost silence in the room, despite being the likes of Samrat, Nupur and Dia sitting there. The one time best friends, were now short of words, and were lost in their own thoughts, while the only noise was of the spoons and folks touching the plates.
Mayank looked at everyone and then dropped his spoon in his plate.
"Guys, ab bus bhi kero. Ab sub kuch theek ho gya hai. hum sub aisey khamosh bethey hein jaise ke akeley baithey huey hun. Kuch toh bolo…ab to hasney, bolney ka time dobara se a gya hai."
Everyone looked at him and then towards each other. Very brief smiles were shared, but were still silent.
Mayank didn't give up, "Janti ho Nupur, in teen saalon mein tumhari behen bohat confident ho gayi hai."
Nupur looked at Gunjan, who was also looking at her and both the sisters shared a brief smile and a nod.
When none of them spoke, Mayank contnued, "Haan bhai..ab ye wo wali Gunjan nahin rahi, jissey tum her waqt……"
And before he could complete, Gunjan got up from the table, excused herself and went to the lounge.
Samrat instantly got up, "Mein dekhta hun guys".
But Nupur interrupted him, "Nahin Samrat. Mein Gunjan se baat kerun gi. Tum log khana khao"…but after a while, "tum log bhi merey saath ao..ye sirf hum behenon ka issue nahin hai, is mein hum sub involved hein."
Nupur walked towards the lounge and others followed her.
Gunjan was sitting on the sofa, with her face buried in her hands. Anyone could guess that she was crying over the game, fate had played with her and her loved ones.
Nupur went near her and sat on the sofa next to her "Gunjan…"
Hearing her name, Gunjan lifted her face, tears still shining in her eyes, and got up.
"Please Di, mujhey koi baat nahin kerni hai", she replied.
"Tumhein meri baat sunni ho gi Gunjan", and Nupur also got up from the sofa and stood in front of Gunjan.
Mayank, Samrat and Dia were standing in one corner of the room.
"Please Di, mujhey janey do."
"Nahin Gunjan. Akhir tu mujh se baat kyon nahin ker rahi hai. Naraz toh mujhey tum se hona chahiye. Tum logon ne, (and looking towards the other 3 now), tum sub ne mujhey jeetey ji mar dia. Mujhey bilkul akela chod dia."
Gunjan was listening to her quietly. She knew that she should let Nupur speak her heart out, because, she needed to vent her emotions. So, she was standing there, looking down, and tears rolling down her cheeks.
Nupur's painful voice was piercing everyone's heart, but no one stopped her, coz they all wanted to take out everything…every single thing that was in her heart.
She continued.
"Janti hai Gunjan, us din jub mujhey hosh aya, toh mein ne sab se pehley terey baarey mein pocha. Aur mujhey pata chala ke tum sub, mujhey chod ker chaley gaye ho. Tum ne socha hai ke us waqt mujh per kya beeti ho gi. Meri behen, jissey mainey duniya mein sub se zyada pyar kiya, jis ne mujhey sab se zyada pyar kiya…jo meri ek choti si takleef pe pareshan ho jati thi…wo…wo hi mujhey marney ke liye chod gayi. Kisi ne ek baar bhi nahin pocha, ke mein zinda hun ya nahin, kis haal mein hun. Her din, umeed hoti thi ke aj shayad tum mein se koi aye…per koi nahin aya. Her waqt zubaan pe ek hi baat hoti thi ke meri Gunjan, mera Mayank ayengey aur mujhey le jayein ge.. Apnon ke hotey huey mein ghairon mein jeeti rahi…Tum sub ne mujhey dhoka diya hai…tum sub ne meri zindagi….."
"Kaunsi zindagi, di?"…Gunjan couldn't control herself further. Tears were falling from their eyes, as they both looked at each other.
"Kis zindagi ki baat ker rahi ho tum Di? Us zindagi ki, jo her pal maut se bhi bad-tar (buri) thi? Tum ne ye soch bhi kaisey liya ke tumharey baghair humari zindagi mein kuch baaqi ho ga? Us ek hadsey ne tumhein hum se dur ker dia, aur humein khud se. Tum ye soch ker apni zindagi mein agey badh gayi, ke hum tumhein bhul gaye hein..tumhein chod gaye hein..per humhara kya, Di? Mayank aur mein aj bhi wahein khadey hein jis modh pe, jis jagah pe tum humein chod ke gayi thi. Hum ne khud ko her pal saza di…aur tum ne bhi humein hi sazaa di. Tumne ek baar bhi apni behen ke barey mein nahin socha. Wo behen jo tumhari ungli thaam ker badi hui hai..jis ko her modh pe, her waqt tumhari zaroorat hoti thi…tum ne ye soch liys, ke wo tumhari maut ki khabar sun ke agey badh gayi ho go…Di tum ne ye soch…"
Mayank had to interrupt them both now, before things went out of control. He stepped forward and came closer to Nupur and Gunjan.
"Bus kero Nupur…bus Gunjan. Arey, tum dono ko toh khush hona chahiye ke tumehin zindagi ne ek mauka aur dia hai. tum toh bohat khush kismet ho. Tum beheno ka pyar hi is waqt mein bhi tumhari taqat bana. Hum sub ko isse bhula ke life me move on kerna ho ga. Kyon Samrat?"
And Mayank looked back to where Samrat was standing.
Samrat was leaning against the wall. His eyes were wet. Dia was standing next to him..who, on hearing Mayank moved towards the girls and her Jiju.
"Guys, tum sub apni apni jagah shayad theek ho. Jo bhi hua, wo bohat bura hua. Magar is sub mein jis insaan ne sub se zyada suffer kiya, wo Sammy hai."
And a sudden wave struck Gunjan. With eyes wide-open, she looked towards him, who was trying to avoid everyone's eyes, but when he caught her's they couldn't avoid them and move further.
Dia continued, "Tumsub apney apney dukh ki baat ker rahey ho. Kisi ne ye socha hai ke tum sub ne, in teen saalon mein Sammy ko jo sazaa di hai, kya wo us ke laik tha? Usko aisey gunah ki saza mili jo usney kiya hi nahin tha".
Gunjan, suddenly started walking towards Samrat, "Jis ne her pal sirf hum se pyar kiya tha. Jis ke jeney ka maqsad hum they. Hum ne ussi ko tanha chod dia. Di, hum shayad tumhari dhun mein itna kho gaye ke hum ne apney dilon ko nafrat ke derwazon se bandh ker dia. Mein tumhari terha banney mein lag gayi..Mayank tumhein apni yadon mein zinda rakhney mein lag gya..aur is sub mein, ek insaan, her paul, maut se ladhta raha….."
Gunjan's voice was breaking now. She was walking closer and closer to Samrat, who was totally numb. He couldn't believe what his ears were hearing and eyes were seeing. All he could see was the pain in those two eyes that were looking at him, in his eyes…and not even for a second, were breaking the gaze.
Nor did Gunjan's weak voice stop her from saying further, neither did her feet stopped from stepping towards Samrat.
"Hum ne apni nafrat ki deewar itni unchi bana li, ke us ke bahir dekh hi na payey ke ye her lamha kaisey tadap tadap ke guzaar raha hai. Iski ankhon mein aanso they, jo hum ne diye they…mein ne diya they…phir bhi ye sirf humarey aanso ponchta raha…merey aanso ponchta raha. Ashwini ne mujhey bataya hai ke kaisey ye her raat maut ko dawat deta tha, apney dukh mein ghul gya tha. Wo Samrat jiski hansi pe duniya merti thi, uski hansi ko hi mein ne mar dia. Wo Samrta, jo jab bolta tha, toh duniya chup ho ke sunti thi..mein ne uski awaz ko hi khatam ker dia. Usney mujhey apney pyar ka waasta dia, aur mein ne us se kaha ko wo pyar hi mar gya hai, toh uska wasta kaisa. Wo Samrat, jo sub ki jaan hua kerta tha, ussey hum ne..mein ne..zindagi bhar ke guilt mein chod diya…aur her waqt, her pal us ko ehsaas dilaya ke us ne meri behen ko maara hai."
She was now standing right in front of him, just inches away…her body was shaking, her voice was not coming out..cheeks were filled with tears..as she went down the realization trip.
Samrat stood still, and completely numb.
"Di…hum ne apni zindagi ko jeena chod dia..phir bhi tum yehi kehti ho ke hum ne tumehin dhoka dia, tumhein bhul gaye?"
And she couldn't utter a word further.
Silence again ruled the room. There were tears in everyone's eyes. All of them were completely speechless. Samrat's pain struck everyone like a high voltage wire falling on them. Did he really deserve what he got from his friends, was the though crowding their minds.
Samrat was shattered from within, but he never wanted himself to be the cause of any disagreement between the sisters. He gathered, whatever courage he had, and spoke up.
"Chashmish…ye sub tum kya keh rahi ho? Ghalti bhi to meri hi thi…aur us ki sazaa bhi mujhey hi milni chahiye thi".
"Nahin Samrat!!! Ghalti tumhari nahin thi"..and Nupur walked towards him.
"Wo ek accident tha, jo kisi se bhi ho sakta tha. Mayank bhi us waqt car drive ker raha ho sakta tha. Aur phir, mein aur Mayank hi toh tumehin tez drive kerney ko keh rahey they. Wo sub humari destiny mein likha hua tha. Per mujhey is baat ka bilkul andaza nahin tha, ke is sub ka guilt tum pe a jaye ga. Tum ne hamsehs hum sub ka bhalla chaha…hum se pyar kiya…aur hum sub ne tumhein kasoorwar samjha…mein ne bhi…kyonki mujhey bh yehi laga ke tum ne bhi kabhi mera nahin pocha. Mujhey Mayank ne bataya hai ke tumhari kya haalat rahi hai. Hum toh tum se nazrein bhi nahein mila saktey".
Nupur's words seemed so apt to Gunjan, and she, who was till now looking towards Samrat, lowered her eyes. She thought, "baki sub toh phir bhi..per mein kaise Samrat se nazrein mila sakti hun. Mein ne jo uske saath kiya hai, us ki wajah se mein ne khud hi sub kuch kho dia hai".
"Nupur, ye tum kaisi baatein ker rahi ho? Hum naraaz bhi toh apnon se hi hotey hein na. Aur ab us sub ke barey mein sochney ka koi faida nahin hai. Wo ek bura time tha, jo guzar gya. Aur is se badi khushi kya ho sakti hai ke tum bilkul theek ho, aur apnon ke paas wapis a gayi ho"…Samrat placed his hands on Nupur's shoulder and they both shared a smile.
"Bilkul theek kaha tum ne Samrat. Purani baatein bhol jana hi behtar hai. Aur ab jab sub kuch theek ho gya hai…toh hum sab ko agey badhna ho ga". Mayank joined Samrat and Nupur.
"Gunjan, yahan aao"…Mayank called Gunjan.
Gunjan walked towards them. "I'm sorry Di. Mujhey maaf ker do…jo bhi hua, jaisey bhi hua, jiski bhi ghalti thi..per mujhey tum se aisey baat nahin kerni chahiye thi. Mujhey maaf ker do Di"
"Chal pagli…teen saal mujh se dur rahi toh itni badi ho gayi aur itni badal gayi ke mujh se maafi mangney lagi"
And Gunjan rushed towards Nupur and hugged her tightly. Nupur protected her little sis in her arms, with all the force she had. All said and done, this hug made all the emotions that were boiling inside them to calm down. The turmoil, the pain, the anger saw the exit door and peace surrounded their hearts and minds. Gunjan got her sister, her mother back..and Nupur had her baby back in her arms.
Mayank interrupted the sisters, "Kyon bhai…ab behenein mil gayi ho, toh humari koi value hi nahin rahi?"
Nupur and Gunjan looked at him, and seeing his open arms, they both hugged him.
Samrat and Dia were so delighted. The family had re-united, and what else could they want.
They all sat down and shared some gossips. Primarily, Mayank and Nupur were having their nok jhoks and the other three mostly, shared smiles.
After a while Samrat got up.
"Chalo guys, mein ab chalta hun."
There was some change in his voice, which everyone noticed.
"Aur haan, ye toh mein bhu hi gya."..he picked up a file from the table.
"Ye kya hai Samrat?"..Mayank asked him.
"Wo…mein…asal mein, aj tum logon ko yehi bataney aya tha…per yahan pe sub kuch aisey ho jayega mujhey pata nahin tha.."
Before he could complete, Nupur interrupted him, "Samrat, pahelian kyon bhujwa rahey ho? Saaf saaf batao, ye kya hai?"
Gunjan's heart beat was becoming abnormal. She looked at Samrat, who was trying not to look at her. She knew that there was something wrong.
"Wo…actually guys…mein India chod ke ja raha hun.."
And Gunjan's heart sank. She became totally lifeless, as if someone had taken out every drop of blood from her body. Her wide eyes were staring at him, as he spoke:
"Mera aney ka maqsad yehi tha. Jis din Mayank, Nupur ko wapis laya tha, ussi din mein ne ye faisla ker liya tha, ke mein ab tum logon ki zindagi se bohat dur chala jaon ga".
Every eye was on Samrat now.
"Samrat, ye tum kya keh rahey ho?" Like everyone else, Mayank was also in shock, but he wanted answers from Samrat.
"Haan Mayank. Ye sach hai. Meri wajah se pehley hi tum logon ko bohat pareshani hui hai, takleef hui hai. aur ab jub kismet ne tum sub ko ek doosrey se milwa dia hai, toh mera maqsad pura ho gya hai. Yaad hai Mayank, mein ne tum se kaha tha ke tum log mujhey hospital mein akela kyon chod ke chaley gaye.. mujhsey kuch kehtey, mujhey sazaa detey. Mein ne bohat koshish ki, her pal khud ko sazaa deney ki…kabhi successful hua, kabhi nahin. Per ab, jab Nupur bilkul theek hai, aur tumhari family ek saath a gayi hai..toh bhi meri sazaa khatam nahin hoti. Duniya mein her koi khush kismet nahin hota, aur mein un mein se ek hun. Tum log hamseha khush rehna…aur mujhey maaf ker dena, please".
"Humari family…Samrat, tum humari family ka hissa ho", Nupur was assertive this time.
"Hun nahin…tha, Nupur"…He replied, with tears making way and gathering in his eyes.
Gunjan's heart was being stabbed by every word of his. She knew that she had given him all this pain. She was drowning in the sea of self-guilt.
"Please, guys..mera jaana aur mushkil mut kero. Mujhey jaaney do"..he requested Mayank and Nupur.
"Samrat, per……"
"Please, Mayank…tum toh sub kuch jantey ho. Mujhey please, mut roko"
He took Mayank's hand in his and then took Nupur's hand, and made them hold each other's hands. Then taking out his hand, he said, "Meri wajah se tum dono ek dosrey se alag huey they. Aj tum dono ko ek saath la ker, dekh ker, meri zindagi ka sub se bada gham dur ho gya. Hamesha khush rehna tum dono…ek dosrey se issi terha hi pyar kertey rehna, kyonke her kisi ko us ka pyar milna zarrori nahin hai. Apney haath issi terha thamey rakhna. Tum donon ko zindagi mein her khushi miley, yehi meri dua hai."
Gunjan was just staring at him and despite making sooo much efforts, his eyes were catching her's time n again..but he just couldn't look there, at her, in her eyes.
Samrat the walked towards Dia and took her hands in his (the file was still in his one hand).
"Candy, tum apna khyal rakhna. Aur haan…mujhey bhulney ki ghalti to kabhi ghalti se bhi mut kerna", and somehow, with the pain in his eyes, he managed to smile.
Dia, smiled back, "kabh nahin Sammy"…and she hugged him.
"Thanks Candy"..and he broke the hug.
"Aur haan, tum mujhey apna address aur contact numbers email ker dena. Akhir mujhey bhi toh life mein apnon ki zarorat padh sakti hai. Jab bhi dil chahey ga, tum logon ke paas chala aaon ga. Waisey bhi, Uday aur Benji se miley huey ek zamana ho gya hai."
"Phir toh tum her waqy humarey paas hi ho ge…kyonki tumhein toh hamesha hi apnon ki zaroorat hoti hai."
Samrat knew that Dia was absolutely correct, but hiding his pain and emotions, he smiled at her.
"Sammy, auntie tumharey saath nahin..mera matlab hai tum akeley ja rahey ho?"
"Akela hi toh hun hamesh se Dia..toh ab bhi akela hi jaon ga. Apnon ki her kisi ko zarorat hoti hai…per meri kismat mein koi apna nahin hai..ya phir, shayad, mein kisi apney ke laiq nahin hun. Mom se mera college ke play se pehley argument ho gya tha, aur wo wapis london chali gayin thein. Mein ne tumhein bataya toh tha"
"Oh, yeah…mein bilkul bhul gayi thi. I'm sorry", Dia smile and felt really bad for asking such a wrong question.
He took a deep breath as he took the two steps towards Gunjan, who was standing next to Dia.
With every passing second, with every word that was spoken in the room, Gunjan's condition was becoming more n more worse. She wanted to stop him, hug him, touch him, feel him… She wanted to tell him, that she was there for him, with him, as his friend, as his family…forever n ever….but how could she tell him, say anything to him…she was in a terrible state.
He stood in front of her eyes. There was a moment of silence. He wanted to capture her face in the camera of his eyes forever..and same was her emotions and feelings.
And then he gathered himself to speak, "Chashmish….."
If there was anything left in her, that also vanished. CHASHMISH…Samrat ki Chashmish…this was her identity now, her name now. The love with which this word came from him, made all the dried up tears to find the moisture back and they started flowing from her eyes…in his words, "from the world's most beautiful eyes".
He wanted to touch her, once, for the last time..but he controlled himself.
Taking the file in his other hand now, he brought it forward, for giving it to Gunjan.
"Gunjan….ye….ye file…ye tumharey liye hai."
She looked at him utterly confused.
"Jab se mein ne pyar ka matlab jana tha, meri life ka ek hi aim tha, ke mein duniya bhar ki khushiyan tumharey kadmon mein la ke rakh dun. Tumharey face pe hamesha smile rahey, koi dukh, koi pareshani tum tuk pohanchney na paye aur tumharu taraf ati hui ker mushkil ko main apni taraf modh lun. Per main ne jo socha, waisa destiny mein hani tha. Tumehin yahan rehtey huey, tumharey paas hotey huey, toh kuch nahin de paya…gham ke siwa..per jatey jatey, tumhein Excel ki Trustee-ship de ke ja raha hun".
Gunjan's eyes were now as if they would tear apart. Her heart beat had almost stopped..breaths were difficult to take..and Samrat doing and saying all this.. she wanted the earth to break, so that she can go under it.
He continued,
"Jab mein Excel ka Trustee bana tha, tab jo terms and condition decide hui thein, un mein main ne Mom aur baki Board of Trustees ke saath bohat fights, arguments aur disagreements ke baad, atumhein apney saath aur apney baad Excel ka Trustee nominate kiya tha. Main janta tha, tum se behter is college ko koi nahin chala sakta. (Giving the file to her), issey meri taraf se ek akhri gift samajh ke accept ker lo."
She was too numb to react, but in this state also, she didn't want to disappoint him and break his heart even more. She took the file from him.
"Thank you Chashmish. Mein ab chalta hun. Aur haan, meri ek baat ho sakey toh please yaad rakhna…Memories wo hoti hein, jo tumharey face pe smile layein..wo nahin, jin se tumhein sirf takleef pohanchey aur tumhari ankhon mein aanson ayein. Ho sakey toh mujhey achi yadon ki terha yaad rakhna, aur chaho toh bhul jana. Magar ye hamesha yaad rakhna, duniya ke kisi koney mein, koi hai, jis ka dil sirf tumhari smile ki wajah se dhadakta hai, jo khush hai, kyonkey tum khush ho..aur jo sad hai, jab tum sad ho.. Jab wo tumharey paas hai, tab bhi aur jab wo tum se dur ho ga, tub bhi. Is liye, ek akhri baar, meri khatir, apni aankhon se aanso ponch do…"
His husky and torn voice couldn't let him speak further, and he closed his eyes for a few seconds, to shut the doors for the tears to escape, and then, with moist eyes, just kept on looking at her.
If he was expecting him to say anything, he was soo wrong. She had nothing in her which could make her speak. She slowly lifted her hand and wiped the tears that were on her cheeks, but couldn't control the ones that were constantly dropping from her eyes.
He gave her the weakest smile and then looked towards the other's to just nod a bye to them.
He turned around to leave, with torn emotions and broken heart.
Gunjan's lost heart beat gained momentum. She knew that this was the time to stop him..otherwise, everything would be finished.
She could hear Mayank, Nupur and Dia, constantly almost yelling at her, "Gunjan, rok lo ussey. Mut janey do Samrat ko..Gunjan, rok lo..wo jaa raha hi Gunjan"
"Samrat……" and with the speed of light, Gunjan rushed to the door, where Samrat was, and had almost opened it.
Mayank, Nupur and Dia, went to the other room, and gave the much-needed privacy to Samrat and Gunjan.
When Gunjan took his name, he turned around and looked at her. And then, he saw her rushing towards him, and before, he could don anything, she was standing in front of his eyes.
A brief eye-lock was shared, with tears falling from his eyes also now. And the next moment, she hugged him, with all the force she had.
A minute before, she was completely breathless, but as soon as she fell in his arms, her heart started beating again, his arms and hands were still straight…but that doesn't seem to bother her. She was there, where she was dying to be.
With her arms tightly holding onto him, around him, words that had refused to come out, till some time back, started forming phrases and became the voice of the heart.
"Please, Samrat…mujhey yun chod ke mut jao. Mein tumharey bina nahin ji paon gi. Mujhey yun khud se alag mut kero. Mein tumharey bina nahin ji paon gi Samrat."
And breaking the hug, she looked in his eyes and continued,
"Tum mujh se itna pyar kyon kertey ho Samrat, Mein itney pyar ke, itney bharosey ke laik nahin hun. Mein ne tumhein sirf dukh dia hai, tumhein kosa hai, tumsey nafrat kerney ki koshish ki hai. Per sach toh yeh hai ke jab bhi mein ne aisa kiya, her dafa, mein ne apney ap ko kosa, apney ap se nafrat ki hai. Tum ne mera itna sath dia. Apney dukh ko, dard ko bhul ker, her pal, tum ne sirf meri khushi ka khyal rakha. Tum ne mujhey bar bar sorry kahan…kaabhi lafzon se…kabhi apni ankhon se…aur her baar main ne tumharey zakhmon ko aur gehra kya. Mein maafi ke laiq nahin hun Samrat, per mujhey maaf ker do..please…" and she fell on the ground.
It was extremely painful for both of them. Samrat bent down and placed his hands on her shoulder and made her stand up.
His hands were still holding her shoulders, when he said, "Gunjan….."
She hated her name at this very moment, "Samrat…Gunjan..mein Gunjan kab se?? Mein tumhari Chashmish hun Samrat.. Mujhey yun apney se alag mut kero. Tumhein yaad hai..tumhein yaad hai na Samrat, tum ne mujh se promise kiya tha ke tum kabhi mujhey Gunjan nahin bulao ge..to ab?"
"Unhi vadon ki kasam kahi thi mein ne us din college mein, ke mein ab tumharey kareeb kabhi nahin aon ga"..refering to their convo after the Devdas play, Samrat reminded Gunjan.
"Janti hun Samrat. Per wo meri bhul thi, meri ghalti thi. Mein jab jab, jitna tum se dur gayi, utna hi tumhein miss kerti rahi. Tumhein mein ne bohat hurt kiya hai. Magar Samrat, tum mujh sey dur ja ke mujhey hi nahin, khud ko bhi sazaa de rahey ho. Meri khatir apney ap ko sazaa mut do. Mein is qabil nahin hun."
"Chashmish…." He had nothing to say.
"Samrat, tum hi meri hassi ho, aur tum hi meri khushi. Mein ab aur tumharey bina hani ji sakti. Mein mur jaon gi Samrant, mein mur….."
"Shhhh…." He kept hi hand on her mouth.
"Nahin Chashmish, aisa kabhi bolna to dur, sochna bhi mut".
She took his hand in her's, "To phir Samrat mujhey chod ke mut jao. Aur agar jana hi hai, toh mujhey bhi apney saath le chalo. Tum hi mera rasta ho, aur tum hi meri mazil ho Samrat. Mujhey bhi apney saath le chalo. Mein kyon, kahan, kab..kuch nahin pochun gi…bus tumharey her qadam ke saath apna qadam uthaon gi…" and she stopped.
"Chashmish, tum….." and he also stopped, coz he knew what he had to do now.
He opened his arms…and life ran back in Gunjan. She dropped herself in his arms and he wrapped her tightly in his arms….the moment froze….all said n done…it was their moment…they were just a few steps away from each other for sooo many days now, if not for the 3 long years..and that loneliness finally found the companion it was longing for. The storm was evaded and everything became so calm and peaceful. No words were needed now. They were in the heaven of their love and the world that was so dull, became all the more beautiful again for them. The hearts were talking and the hearts were listening, while they both, were just relieving the pain of every second of seperation in this moment of togetherness, and in each other's arms.