Archana calls Manav to her chamber in the office. Manav comes and Archu starts.
Archana- Manav aap ko pata hai maine aap ko yahan kyun bulaya?
Manav- nahin tum hi bata do
Archana- maine aap ke aur mere beech ek naya rishta banane ka soch liya
Manav- kaun sa rishta? Ab koi rishta nahin banana. Ek rishta bana tha jo toot gaya aur duniya bhar ka dukh mila.
Archana- are nahi baba. Ab yeh jis rishte ki baat main kar rahi hun na is mein bas khushi aur khushi hai..koi gham ya tension wali baat hi nahi
Manav-(aankhen badi badi ho jati hain. He feels archana is interested in live in relationship with him) u mean masti wala rishta?
Archana- exactly..hum bas masti karenge..enjoy karenge..koi tension nahi..samjhe na
Manav- (khushi se pagal ho jata hai) great..main bhi kai dino se yehi soch raha tha ki yeh rishta hamare beech hota to kitna maza aata
Archana- to aap ne pehle kyun nahin kaha..main to iskeliye hamesha se tayaar thi
Manav-wow! maine kai baar kehna chaha par hamesha darr lagta tha kahin tum naraz na ho jao
Archana-ab is mein narazgi wali baat kahan hai..apni life hai hum khud jeeyenge..thodi na hum kisi aur ko pareshan kar rahe hain
Manav- haan bas enjoyment aur koi expectation nahin..koi daayra nahi..hai na
Archana- bilkul..
Manav-par duniya walon ko pata chalega to
Archana- pata chalega to chalne do..main parwah nahi karti
Manav-thik kaha tum ne. hum pata chalne nahin denge. Jo hoga raat ko hoga aur sab ki nazar se door hoga
Archana- koi zaroori nahi ki raat ko ho. Is rishte mein koi pawandi nahi
Manav- tumhare muh mein ghee shakkar Archana. Wow kitni masti hogi na. Aur yeh rishta hum jab tak ho sake tab tak rakhenge.
Archana- what do u mean by jab tak ho sake. Zindegi bhar keliye..samjhe?
Manav- great.khair budhape mein sochenge par ab se kam se kam 20 saal to aram se guzar jayenge.
Archana- jao main tum se baat nahin karti. Budhape mein to iski sab se jyada zaroorat hai
Manav- really..are bura mat mano..main wada karta hun budhape mein bhi maze karenge
Archana- pata hai..Ekta ji ke composer na hamare is naye rishte keliye naya gaana bhi compose kar liya. Keka ghoshal kal hi record karne wali hai yeh gaana. Main ga ke sunaun?
Manav- bilkul ..sunao na
Archana- bargat mein jab tak kawe gaayenge (2)
Hum ek dusre ke liye roya karenge
mandir ho ya ho local
Aankh micholi rahegi har pal
Baarish mein nahi paani ka daar
ek hi chhata do sar ke upar
Pavitra dosti (2)
Tere mere maan ki
Pavitra dosti (2)
Tere mere maan ki
Manav- aai la..pavitra dosti
Archana- haan yehi to hamre naye rishte ka naam hai
Manav- sirf naam hi hai na? But sab kuch allowed hai na
Archana- (gusse mein) kya allowed hai
Manav- kam se kam puppy jhappi etc?
Archana- chhi gande..handshake kar sakte ho bas..wo bhi din mein ek baar..samjhe?
Manav- nahiiiiiiiiiiiiiiiii..mujhe yeh manzoor nahi
Archana- to ab to bada khush ho rahe the..
Manav- maine kuch aur socha tha (crying)
Archana-kya socha tha gande? khair chhodo. Haath dikhao
Manav- handshake karne keliye?
Archana- nahi. Friendhsip ka dhaga bandhne keliye
Manav-oh nahiiiiiiiiiiiiii
(Archana Manav ki kalai pe 'pavitra dosti' likha hua dhaga bandti hai aur kawa wala gaana fir se gaane lagti hai)