Shanky : Aaj bhi inn nazaron se nazar 😳nahi hatati. Aisa lagata hai ki kaid hai meri zindagi.
Pratz : Aapki nazaron me aaj bhi vahi pyar😳 hai...jo tab tha. Par maine uss pyar ko...uss gujare huye kal ko...apane aap se bohot dur kar diya hai. Ab inn nazaron☺️ se mat dekhiye mujhe.
Shanky : Kya karu? Tum samane ho aur main na dekhu... ye to khuli hawa me rehkar saans na lene jaisa hoga.
Pratz : Janati hoon aap mujhe dekhana chahate hai. Nazare nahi hata pa rahe hai...😳ek pal ke liye bhi. Kya kahu? Kasoor aap ka nahi hai. Kasoor...unn bite huye lamhon ka hai...uss pyar😆 ka.
Shanky : Tumhe dekhe bina mera dil nahi manata. To iss me mere dil ka kya kasoor.
Pratz : Main aapko koi elzaam bhi nahi de sakati. Kyun ki aaj jo hal aapka hai...vahi hal kahi na kahi...😳mera bhi hai.
Shanky : Janata hoon tum mujhe dekhkar bhi nahi dekhati aur na dekhkar bhi dekhati ho. Jaise aapne aap se hi jhoot bolana chahati ho.
Pratz : Sach to ye sir ki...ab main aap ko unn nazaron se nahi dekh sakati...aur nahi aapko mujhe dekhane de sakati hoon. Mujhe😭 maaf kijiyega. Par ye hak ab main aap ko nahi de sakati.
Shanky : Tum chahe lakh chhupalo...par tumhari aankhon me maine apane liye pyar dekh liya hai. Aisa laga jaise ek jine ki vajah mil gayi. Vo Saanse mil gayi hai...jinhe ZINDAGI😆 kehate hai.