My Diaries ...
ARMAAN - Dil Hai Ki Maanta Nahi ...
(aanhke khuli ho yaa baand, chahera sirf tumhara hai)
Pyaar kya hai, kyu hai, kaun hai ... saare sawal ek hi naam pe aake ruk jaate hai - RIDDHIMA. Meri jaan, mera pyaar, meri zindagi. Woh meri zindagi mein pyaar ki ek boond ki tarah aaye ... aur mein usme doobta chala gaya ...
Uski honto ki muskurahat, uski aankho is chamak ... meri zindagi kaa maqsad huwa karta tha, hai aur shayad hamesha rahega. Uski yehi khushi ke liye mera usse door hojana ... ek failsa, ek galti ... sabse badi galti. Sab kahete hai ki maaine galat kiya ... kissi ko khud se bhi zaada pyaar karna galti hai ... Bhagwan tak ko bhi ek galti maaf hai ... toh mujhe kyu nahi ???
Sab kahete hai ki maaine kyu usse bataaya nahi ... kaise kahe dehta mein alvida ... kaise dekhta unh aanhkon mein aanso ... uss maathe par shikan ... kahe dene se kya woh mujhe jaane dehti ...
Yeh dooriya ... kyu, kaise ... nahi kabhi nahi ... ek pal ki bhi dooriya mere se bardarst nahi ... usse haar ek pal ki khushi dene ke liye mein wapas aagaya ... lekin ab dekho naa mein uski khushi hi nahi ...
Meri zindagi toh kahi kho gayi hai ... ab kya hai khushi ... meri khushi yaa ussi khushi ... meri khushi toh hai ussi khushi ... aur usne kaha uski khushi kissi aur ke saath kai ... kya yeh saach hai ... kya aaisa bhi ho sakta hai ... kuch bhi ho mein uski khushi se uski dosti zaroor karwanga ...
Dil ke paanhe paalatne se dil ke rishte toote toh nahi jaate ... mera dil ek khuli khitaab ki tarah hai ... jisme sirf ek hi dil hai ... ek hi dhadkan hai ... joh ruk si gayi hai ... mere aankhe khuli ho yaa baand ... chahera toh sirf ek hi hai ... aaj bhi kyu aaj bhi .. mere dil mein khayal aata hai ... mein jaanta hoon ki tu ghair hai magar kabhi kabhi mere dil kayal aata hai ... ki jaaise tu mujhe chaahegi umar bhar yuhi ... aaj bhi mera dil ... dil hai ki maanta hi nahi...