1. " Ab ye rishta hi meri zindagi ka sacch hai aur tum hi meri sacchai ho." 😳
2. " Tum jaise molester ko khula chhod diya to pata nahiin kya kya kar baithoge.Molester!" 😡
3. " Aaj tumne bhi mujhe akela chhod diya. Tumne bhi mera dil todh diya." 😭
4. " Tum sab nahiin ho."😳
5. " Jab maine Armaan ko Poona mein dekha to sabse pehle mujhe sirf tumhara khayaal aaya Siddhanth , ki maine tumse kya kahungi."😭
6. " Main tumhaari biwi hoon Siddhanth aur tumhe jahaan bhi jaana hai , main tumhaare saath chalungi." 😉
7. " Is tarah alag karna chaahte ho mujhe khud se , Siddhanth?"
8. " Kise kisko paraaya kiya hai , ye tum saabit kar chuke ho." 😡
9. " Agar main tumhaare paas aane se peechhe na hatoon , tab tumhe yakeen aayega Siddhanth ki ye shaadi mere liye kya hai." 😭
10. " Agar tum mujhe dobaara haath lagaaoge to main tumhe phir thappad maarungi." 😡
11. " Jitna dard tumne aaj mujhe diya hai , utna dukh to mujhe Armaan ke lautne par bhi nahiin hua tha."😭
12. " Main tumhaare saath ghar chalungi, Siddhanth." 😃
13. " Dekh rahi hoon , Sid. Ki ye chehra kitne jazbaat chhupa sakta hai." 😲
14. " Tum kaise pati ho Siddhanth jo apni hi biwi ko kisi aur ki biwi hone ka naatak karne ke liye keh rahe ho."
15. " Aankhein kholo, Siddhanth. Kucch nahiin hoga tumhe , kucch nahiin." 😭
16. " Main apne cute doctor ke saath chaai peena zyada pasand karungi." 😳
17. " Main jab se tumhaari zindagi mein aayi hoon , maine tumhe taqleefon ke ilaawa diya ho kya." 😭
18. " Kyun Siddhanth? Kyun kiya aisa? Kya tum sacch mein mujhe apni zindagi se aise nikaal dena chaahte ho?" 😭
19. " Please Siddhanth. Ye shaadi mat todho. Please. " 😭
20. " Jeena bhool chuki thi main Siddhanth lekin tumne mujhe zinda rakha ..... tumne sirf meri jaan nahiin bachaayi , mujhe phir se jeena sikhaaya , jeene ki wajah di , ek nayi ummeed di." 😳