here guys.... rajeev's interview...... translation
rajeev sai ek mulakaat (meeting)
aaj kal aap humayon saeed kai drama sun leyna mai ek aham (important) kirdaar (role) ada(play) ker rahai hain yeh sab kuch kaisa lag raha hai
bohot acha lag raha hai. mujhai toh kaam ker kai maza aa raha hai.
Humayon Saeed & deegar(other) logon (ppl) ko kaisa paya(find)
bohot acha. humayon saeed director nahi balkai producer hain laikin inn mai director ki bhi salahiatain(abilities) hain. inn kai saath kaam ker kai bohot acha laga & deegar (other) saathi (companions) bhi bohot achai hain.
kabhi socha tha kai aap kisi paki drama mai kam kerain gai
nahi jee, aisa kabhi nahi socha tha kiunki (bcoz) pak-hind talukaat(relations) kabhi itnai achai huai hee nahi thay kai icc baarai mai socha jaata.
ab kaisa lag raha hai yeh sab kuch?
bohot acha lag raha hai, bohot khushi mehsus(feel) ker raha hoon & apnai aap ko khush kismat (lucky) samajh raha hoon kai mujhai paki drama mai kaam kernai ka moka mila & ab jab kai dosti bhi ho gai hai toh mazeed (more) kaam bhi kerain gai.
mazeed (more) offers bhi hain aap ko?
jee han , offers toh hain laikin kaam toh soch samajh ker hee keroon ga kai jo image ban chuka hai icc mai fark (difference) na aaye & naazreen(viewers) mujhai hamesha achai kirdaaron(roles) mai daikhain.
aap kai yahan (in india) mai toh soup serials bantai hain jabkai(while) pakistan mai yeh rujhaan(inclination) aam(common) nahi hua toh humayon saeed ka serial toh aap ko bohot chota laga hoga
jee han , bilkul theek kaha ap nai. hamarai yahan(in india) toh har (every) serial soup hee hota hai ic liai mujhai wakai humayon saeed ka serial mukhtasir(short) laga
ap kai khayal mai mukhtasar (short) serial achai hotai hain ya soup
behtar (good) toh dono (both) hee hotai hain laikin mukhtasar(short) serials mujhai ic liai pasand(like) hain kai inn mai naazreen (viewers) ki tawajo(attention) ziaada hotee hai & kahani idhar udhar bhatakti(Go astray) bhi nahi. soups ko bhi log(ppl) enjoy kerati hain laikin inn mai fankaaron(actors) kai radobadal (changing) sai kahani per bura asar (effect) parta hai.
jis tarha aap kai janai sai kth per bura asar (effect) para
jee han, yeh nazreen (viewers) ki mohabbat hai kai wo mujhai pasand (like) kertai hai & mairi ghair haazri (absence) ko mehsoos (feel) kertai hain, haalankai(though) mai nai icc kirdaar(role) ko khud chora tha.
acha..... magar kiun?
icc liai kai mai aik jaisi performance sai n aik jaisai role sai tang aa gia tha.mai kuch naya pan(something new) chahta(wants) tha or ek jaisi performance dai dai ker mai bour ho gia tha ic liai mai nai serial kai director sai kaha kai mairai kirdaar(rol0) mai tabdeelee(change) laain laikin ekta kapoor toh actors ki koi bat suntee hee nahi lihaaza (therefore) mai nai sujal ka role chor diya.
yeh kiya guys..... aik taraf yeh intrview kernai walee keh rahee hai kai aap sun laina mai kaam ker rahai ho... ek taraf sujal ko chornai ka bhi puch rahee hai...... jahan tak mujhai yaad parta hai.... Rajeev nai toh kth may mai chora tha jabkai sunleyna ki shooting feb-march mai hui thee.......... isnt it.............. phir yeh kiya chakar hai......
serial ko apnai urooj(exaltation) per khatam ho jaana chahiai... kiya khayal hai aap ka?
jee han bilkul(exactly) theek khayal hai ap ka.mai bhi yahee kehta hoon kai aisa hee hona chahai. kiunki ic sai kahani ka asar(effect) logon kai minds per dair tak rehta hai warna log kehtai hain kai shukar hai drama khatam hua.
aap ki jaga sujal ka role kis nai kiya or isai kiya response mila?
meri jaga yeh role gurpreet nai kiya laikin viewers nai isai acha response nahi diya bcoz viewers ki aankhon mai mai bas gia tha, inhain aadat ho gai thee mujhai daikhnai ki. haalankai mairai khayal sai gurpreet nai kaafi zabardast kaam kiya tha.
chalo... aik or bongee..... yani kai raj nai aik hee time mai sunleyna bhi kiya, kth bhi chora n gury ka bhi bataya..... strange na................ mujhai toh yeh interviwe hee artigicial lag raha hai............... aap logon ko kia lagta hai..... phir ye nxt question bhi kuch aisa hee hai............... kuch samajh nahi aa rahaidhar udhar ki news sai pata chalta hai kai aap ki kth mai waapsi hone ko hai?
yeh khabrain(news) toh khair kab sai garam hainkai mairi waapsi hone wali hai laikin balaji wale abhi tak soch rahai hain kai or viewers ki demand ki waja sai shayad(maybe) mai chala bhi jaun laikin aisa na bhi ho toh mujhai koi farak nahi parta kiunki(bcoz) mai nai yeh serial khud chora hai na kai kisi kai kenai per.
aap nai role chora kai ic mai yaksaaniat bohot ziaada ho gai hai toh agar aap wapis jaatai bhi hain toh kiya sujal kai role mai koi fark aaye ga?
zaahir hai role toh waisa hee rahai ga.
aap ko pasand kernai walon mai sailarkion ki taadaad(quantity) ziaada hai ya larkon ki?
zaahir see baat hai, lorkon ko larkiaan achi lagteen hain or larkion ko larkai ......icc liai larkion ki taadad ziada hai.
star pareewar award mai ap ki adam mojudgee(absence) ki kiya waja(reason) thee.
jab mai inn kai serials mai kaam hee nahi ker raha tha toh woh mujhai kiun bulaatai. waisai ic baat ka mujhai khud bhi afsos hua kai unhon nai mujhai kiun nahi bulaya.
laikin mera khayal hai kai star pareewar award mai toh rajeev nai khud aanai sai mana kiya tha...... ya phir pata nahi.............. shayaed aisa hua ho...................kiya ekta ek magroor(proudy) director hai
ek had tak..... shayad wo pehlai aisi nahi thee laikin ek kai bad ek kaamyabi(success) nai usai aisa bana diya hai. or ab woh apnai fankaaron(actors) ko khaatir mai nahi laati, ic kai nazdeek jo wo kertee hai usai theek lagta hai. wo kehtee hai kai mujhai actors kai chalai jaanai sai koi farak nahi perta. mairi dramas ki story hee aisi hotee hai kai log majboor ho jaatai hain.
kudrat toh aap per bhi meherbaan(affable) hai kai log aap ko rajeev kai bajai sujal kai nam sai ziada jantai hain?
jee bilkul.... sujal kai saath mujhai ziaada makbooliat(popularity) hui hai haalaankai mai nai deegar(other) dramas mai bhi kaam kiya hai. aaj kal mairi serial time bomb bhi kaafi popularity haasil ker raha hai... icc mai maira role bohot thrilling hai. mairai icc kirdaar ko bohot pasand kiya jaa raha hai.
kth ko chortai wakt aap ko yeh ehsaas(feelings) toh hoga kai na jaanai ab maira future kiya hoga?
nahi.... mai nai har pehloo(point) sai soch ker icc programme sai kinaara kashi(keep aloof) ikhtiaar(choice) ki. mai or logon sai bhi kehna chahoon ga kai wo soch samajh ker balaji sai alehda(separate) hon wo bhi apnai upar etmaad(self-confidence) kai saath.. or phir sab ko bata dain kai inn mai kitni salahioat(ability) hai. mai nai kaamyaab ho ker bata diya hai kai insaan apni salahiaton(abilities) sai kamyab hota hai.
abhi baat ker rahai thay aap time bomb serial ki kai icc mai aap ka role thrilling hai... toh kuch wizaahat(explanation) kerain gai...
wizaahat(explanation) sirf itni hai kai mai ic mai sipahi(soldier) ka role ada(perform) ker raha hoon & sipaahi ka role kis tarha ka hota hai yah sab jaantain(understand) hee hain. yeh aik sanjeeda(serious) rple bhi hai or ab tak kiai huai saarai roles sai alag bhi hai.
kirdaar(role) kai liai koi khaas demand toh hogee..
koi khaas demand nahi hai.. bas har woh role keroon ga jo pehlai sai mukhtalif(diffrent) ho kiunki mai yaksaniat ka shikaar ho kar logon ki nazron sai utarna nahi chahta.or mai apnai image ko barkarar rakhtai huai har wo kirdaar keroon ga jis mai kuch ker dikhaanai ki gunjaaish(capacity) ho.
kabhi naakaami sai dar lagta hai?
bohot dar lagta hai kiunki kamyaabi aagai ka raasta(way) hamwaar(smooth) kertee hai or naakaami raastai ko block ker daitee hai icc liai har wakt apni kaamyabion ki hee dua(pray) kerta hoon.
time bomb ki kaamyabi ki kitnee umeed hai?
bohot ziaada or yeh serial mairai baarai mai bohot kuch saabit kerai gee or yeh serial mairi zindagee ki sangemeel(path of success) saabit ho gi mairai khayal sai ic serial ki waja sai mujhai kaafi(enough) pazeerai mil rahee hai or yeh serial indian tv mai inklaab(change, revolution) barpa ker dai gee.
aap nai ekta kapoor kai sath kaam kiya or ab ketan mehta kai saath bhi kaam ker rahai hain... aap nai dono ko kaisa paaya..
mairai liai dono(both) hee mohtaram(respectfull) hain kiunki inhee kai sath kaam ker kai mai nai izzat(respect) or shuhrat(fame) paayee(achieve) hai. baishak (no doubt) mairi salahiaton(abilities) mai dono ka haath hai. Ekta kapoor bohot ziaada zaheen(intelligent) n akalmand(wise) khaatoon(woman) hai. inn ki soch ka daaira kaafi wasee(wide) hai. isi tarha ketan mehta bhi ek acha insaan haior in sai mai nai bohot kuch seeekha(to learn) hai... inn kai saath kaam ker kai mujhai bohot achai tajarbat(experiences) huai hain.
confusion.... confusion.................... yani raj nai ek wakt mai sunlaina ko shoot bhi kerwaya, kth ko chora bhi n time bomb bhi...................... mind blowing................ek naye bandai kai saath kam ker kai ghabraha(hesitation) toh hotee hogee.....
kiun nahi(why not) .... actor kitna hee manjha hua (experienced) kiun na ho woh jab naye bandai kai sath kaam kerta hai toh zarur nervous hota hai... phir jab kisi mashhoor(famous) director kai sath kaam kerain toh confusion bhi hotee hai.... mera bhi yahee haal tha... laikin ketan mehta nai mujhai hosla diya or mujhai bohot kuch sikhaya. inn ka kehna hai kai dialogue icc tarha bolo kai hakeekat(turh) ka gumaan(notion) ho.... na kai aisa lagai kai kai tum rata hua sabak parh rahai ho.....
yeh line toh mai nai star style interview mai parhee thee......................
kuch apni family kai baarai mai batao....
OH GOD.... mai toh tang aa gia hoon type ker ker kai..... or abhi bhi acha khaasa para hua hai.... Alllllllaaahhhhh........ kab khatam hoga.....................hamari family koi bari family nahi balkai 5 afraad(ppl) per mushtamil(consisting) hai..... jisai allah
yeh kiya.... rajeev toh bhagwan kehta hai na apnai interviews mai.......... yeh dijest walon ko nakal bhi akal sai nahi kernai aayee... nai bohot izzat dai rakhee hai...or mai apni family mai bohot khush hoon.... hamari family jaypur mai hai jo hindustaan kai soobai (province) raajhastaan mai hai....icc lihaaz sai mai jaypuri hoon...aap nai kaha kai ap ki family 5 afraad per mushtamil hai... aap kitnai behen bhai hain or ap kab paida huai(born) thay
5 afraad sai muraad(meaning) mairai parents or mairai 3 bros hain. one is in army, one is in banking.... n me too.... mairai ilaawa ic field mai koi nahib or mai 1976 mai paidaa hua or mairi date of birth 16 oct hai..... maira star libra hai.....
taaaleemi(educational) kaabliat kiya hai or kiya aap nai baakaaida adakaari ki tarbiat(training) lee hai ya aap paidaaisheee fankaar(actor) hain
mai nai mumbai kai college cent zaiviar
sorry spelling nahi aatai mujhai.... college sai graduation kiya hua hai. fankaar toh paidaaishee hota hai sirf icc ko mazeed nikhaarnai(polish) ki zarurat hotee hai. agar acha director mil jae toh phit acha fankaar bannai mai koi mushkil (difficulty) nahi aatee. jahan tak shok ki baat hai toh bachpan(childhood) sai hee keh lain kiunki ic shok ki khaatir mai nai adakari ki tarbiat(acting training) laina shuru ki laikin tarbiat kai doran(during) hee kth ki offer aa gai or yun tarbiat darmiaan mai reh gai.....darmian mai toh na kaheeai....
han yeh baat bhi hai... kaam ka tajarba(experience) hota gia or tajarbai sai hee insaan seekhta hai or mai nai bhi practical laife mai aa ker or bohot kuch haasil kiya hai...
haha......... same lines of tvasia mag........ n thank GOD it is last page.....modeling bhi ki ap nai?
jee haan... bohot ziada ki.... balkai ibtada(starting) modeling sai hee ki or zamana taalib ilmi sai hee(educational period) sai hee 40/50 commertials ker liai or theek thak kama bhi liya...
ic field mai paisa hai?
kiun nahi... aap kai mulk kai toh mujhai nahi pata laikin hamarai yahan(in india) icc feild mai log theek thak paisai kama(earn) rahai hain.
kabhi kisi ki offer ko rad(neglect) kiya....
jis zamanai mai mai kth ker raha tha mujhai bohot see offers aa rahee theen laikin mai nai sab ko thukra diya kiunki mai sujal per apni saari tawaja(attention) daina chahta tha. mai sujal ko makbool(famous) banana chahta tha or mai icc maksad(goal) mai kamyaab bhi raha.
aap nai shayad direction bhi ki hui hai...
shayad nahi balkai mai nai direction bhi ki hui hai. kuch dastawaizi films banaye hain or kafi kamyaab bhi raha hoon kiunki mujhai takhleeki kaam pasand hai. mai graphics mai maahir(expert) hoon or yahi mairi manzil(destination) hai.
goya direction ki field mai kadam jamanai ka iraada hai?
bilkul hai magar abhi nahi, abhi mai acting ki feild mai bharpur tareekai sai apnai ap ko manwana chahta hoon. kuch ker kai dikhana chahta hoon.
ap jab icc field mai aaye toh ap kai ghar walon ka kiya reaction tha
sarai bohot khush thay. laikin inn ko mairi judai sehni(bear) pari kiunki wo rajhastan mai thay or mai mumbai mai tha laikin phone faaslon(distance) ko kam ker daita hai. ic kai ilawa mujhai koi or masla nahi hua.
waaldain(parents) nai yeh toh nahi kaha kai tum apnai bros ki tarha kisi muazaz(honoured) feild mai jao?
toh kia ap kai nazdeek(in your opinion) yeh muzaz feild nahi. har insan apni pasamd kai shubai mai jaata hai. shoba koi bhi ho. icc kai liai taleem bohot zaruri hai. yeh toh aik takhleeki(creative) feild hai... jis mai'mai hoon.
aaj kal kai nojawan larkon ko larkion kai zewar pehnna pasand hain, aap ko bhi yeh sab kuch pasand hai kiya?
churian, karey wagaira toh larkion kai gehnai hain, ghari pehnna mujhai acha nahi lagta or kirdaar kai hawalai sai kuch pahnna per jae toh pehan laita hoon.
ur any fav song...
bohot sai naghmaat(songs) hain taaham jo acha lagta hai wo gunguna laita hoon. koi khaas naghma pasand nahi. waisai puraanai ganai mujhai bohot mutasir kertai hain kiunki inn ki poetry bhi achi hotee haior inn mai sur bhi hota hai. music bhi behtareen hota hai.
kal or aaj mai pasandeeda(fav) gulukar(singer) konsa hai?
guzrai zamanai kai toh sarai hee gulukaar achai lagtai hain. aaj kal kai mai sonu nigam maira fav hai.
shaadi kab kerni hai?
huai na rajeev deevanion kai dil dhak dhak, dhak dhak. hahahhhhhaaaaaaaaaaaaaaa
kuch nahi keh sakta. pelai logon nai mujhai amna kai sath jora shuru ker diya laikin aisa hona zaruri nahi kiunki kismat toh upar wala likhta hai, wo jo chahai ga hoga, mujhai kuch nahi pata kai mairai naseeb mai kon hai...
sorry raj deevanio... mai toh jodi fan bhi hun......lolap mumbai mai rehtai hain or parents jaypur mai. kiya seekha akelai reh ker?
bohot kuch, yahan tak kai khaana pakana bhi seekh liya haikiunki yeh bohot zaruri tha. banda kab tak baazar ka khana kha sakta hai.
yani... amna ko kuch kerna nahi parey ga shadi kai baad...
khana(food) kis kisam(type) ka pasand hai?
har tarha ka, bashartai kai(in condition of) wo laziz hi. bohot achi cheez ho laikin laziz na ho toh koi faaida nahi. ic liai khana mazedaar hona chahiai...
yani kai amna ko kuch khaas kernai ki zarurat nahi.... rajeev kai dil tak jaanai kai liai kitchen jaana parega bas...................lolzbachpan(chilhood) ka koi yadgar(memorable) din?
jab mujhai rajeev gandhi per essay likhnai per 1st inaam mila tha. ic wakt mai school mai parhta tha. or yeh mairi zindagee ki pehlee kaamyabi thee........
zindagee mai kiya khoya kiya paaya?
bohot kuch paya hai. allah ka shukar hai filhaal toh kuch nahi khoya....
yani amna ko bhi nahi khoya................ bohot achi baat hai..... kiun saarah1...........
............................................................ ..................