Hi Guys!
Rajeev-Aamna ke fascination ne mujhe bhi ek fan-fiction story likhne ke liye inspire kiya hai. Meri story ka naam hai, Love me sab chalta hai.
Sabse pehle mai aap sabko apni kahaani ke kirdaaron se milvaati hoon…………………
- Sujal: A middle-class guy of 20. Is in his second year of college. Has always been a topper. Handsome unlimitedly but an introvert. Self-dependent and very responsible………..but, all alone (lost his family in an accident at early age). Has only one friend, with whom he lives i.e. Karan (imagine Hiten as Karan).
- Karan: A big flirt and Casanova. Likes to be surrounded by girls all the time. Has left his super-rich family for freedom & restrictions and now lives and studies with Sujal – His best friend.
- Kashish: Sweet, cute and adorable. Very fashionable. Confident and does not believe in love. Her family is Super-Duper rich.
- Nandini: Beautiful and cute. Daughter of Kashish's maid and her best friend. Their friendship is hidden from their parents as Kashish's parents don't like her (due to her low-status before them). Nandini's education is supported by Kashish's parents and she studies in the same college as Karan and Sujal.
These are the main characters and as the story proceeds, you will get to know about others. Hope that you all will like it.
LOVE ME SAB CHALTA HAI – PART I
Place: Sujal's house.
Its early morning and Karan is sleeping while holding his pillow tight.
Karan: I Love you darling! I Love you! Ummmah………….
Sujal: Lo, subah subah ho gaya iska naatak shuru. Karan…..Karan……uth idiot varna teri wajah se aaj hum log phir college ke liye late ho jayeinge. Uth naa…………………
Karan: Sone de naa. Vaise bhi college ki latest sensation Niharika aaj college nahin aa rahi.
Sujal: Tujhe kaise pata? Tu kya uske ghar gaya tha poochne?
Karan: Sensational ladkiyaan kahan hoti hain, kya karti hain, kisse milti hain, kab khaati hain, kab soti hain etc. etc. saari news is bande ke paas hoti hai.
Sujal: Banda nahin Bandar.
Karan: College ke stud ko tu Bandar keh raha hai? Subah subah bhang pi hai kya?
Sujal: Tu sirf itna bata ki aaj tu college aa raha hai ya mai akela hi jaaon?
Karan: Tu jaa, mai nahin aaonga. Aur aaonga bhi to half-day me. Vaise bhi, mujhe us budhe Ramaswamy ka lecture attend nahin karna.
Sujal: Teri marzi. Mai jaa raha hoon.
Place: Kashish's house.
Kashish is getting ready as today is her first day at college. She was in London for higher studies and had returned from there just a week back. Nandini, her childhood friend is helping her.
Kashish: Nandu mere naye shoes kahan hain?
Nandini: Yahin honge……….ye lo.
Kashish: Thanks! Pata hai, London me mai sab kuch itni mushkil se manage karti thi ki pooch mat.
Nandini: Acha nahin poochti.
Kashish: Vaise hamaare college ki sabse khaas jagah kaun si hai?
Nandini: Aaj dekh kar khud hi bata dena. Chalo tum niklo ab.
Kashish: Tum nahin chalogi mere saath?
Nandini: Pagal ho? Uncle ko kahin pata chal gaya to? Na baba na, mai nahin. Tum car me jaao, mai paidal aa jaoongi. Aur ab please zidd mat karna kyonki tumhe pata hai ki mai nahin maanongi.
Kashish: Ok! Byeeee……….
Place: Road
Sujal was going to college on foot when Nandini stops him.
Nandini: Sujal! Sujal! Wait.
Sujal: Hi Nandini!
Nandini: Hi! Tumse jo notes maange the tum laaye?
Sujal: Haan, lo.
Nandini: Thank you so much. Vaise, aaj tumhaari bike kahan hai?
Sujal: Vo Karan half-day me aane wala hai to maine socha ki use chahiye hogi.
Nandini: Tum uski fikar mat kiya karo, use to hamesha hi kisi na kisi ladki ki car me lift mil hi jaati hai.
Both reach the college while talking to each other. Baaton baton me Nandini use apni friend Kashish ke join karne ke bare me bata deti hai.
Place: Classroom
College pahunchte hi Nandini aur Sujal class me jaakar saath baith jaate hain. Kashish college pehle hi pahunch gayi thi par vo class me baithne ki bajay college me ghoom rahi thi. Bell sunai dete hi vo class ki taraf bhaagi par lecture already shuru ho chukka tha. Isliye, vo bahar se hi Nandini ko ishare karne lagi. Nandini ne to use dekha nahin par Sujal us se ishaaron me baatein karne laga.
(Yaad rahe, baatein ishaaron me ho rahi hain.)
Kashish: Tumhaare saath jo baithi hai use bula do please.
Sujal: Kaun mai?
Kashish: Tum hi. Tumhaare saath jo baithi hai use bula do.
Sujal: Mujhe samajh nahin aa raha……..
Kashish: Ufff oh! Use bula do naa…….
Lecturer: (Sujal ko ishaare karte dekh) Sujal ye tum kya kar rahe ho? Padhna nahin hai to get out of my class.
Sujal: Sorry sir! Ab aisa nahin hoga.
Lecturer: You know that I don't like disturbance in my class aur iski punishment sabke liye ek hi hoti hai. So just get out.
Sujal chup-chap classroom se bahar chala jata hai aur bahar jaate hi Kashish ko ek blank-look dekar aage chala jata hai. Kashish uska peecha karte karte ground tak aa jati hai.
Kashish: Dekho! I am sorry. Mera tumhe class se nikalvane ka koi iraada nahin tha, mai to bas……………
Sujal: Maine tumse kuch kaha kya? Daanta tumhe? Nahin na, to phir? Mera peecha chod do. It's absolutely all-right.
Kashish: Actually, mai yahan nayi hoon aur isiliye mujhe Nandini se………
Sujal: Nandini? Tum Kashish ho?
Kashish: Tum mujhe kaise jaante ho?
Sujal: Vo Nandini aaj mere saath hi college aayi thi. Usne bataaya tha.
Kashish: Par usne to kaha tha ki vo paidal jayegi?
Sujal: Mai bhi paidal hi aata hoon.
Kashish: Oh! Vaise, Nandini ke siva mera yahan koi friend nahin hai.
Sujal: Don't worry! Bahut jald ban jaayeinge. (And he leaves for Library)
Kashish (In her mind): Maine friendship ki baat chedi aur ye taal ke bhaag gaya? How rude. Ise to baad me dekh loongi. Huh…..
So, how was Part I.
I just hope that you will eagerly wait for Part II. Do send in your comments and I will post Part II tomorrow.
Suggestions are always welcome.
With love from,
Garima