Hi Guys,
Don't worry. Aamna is safe. Its just a fictional story.😉
Inspired by the members of this group, I too planned to write a fictional story on Rajeev-Aamna-Gurpreet's real life. Since I have Gurpreet as the villian of my story so I hope that Gurpreet's fans won't mind as it it all in good humour and nothing else.
So here it goes.....................I hope u'll enjoy..............................................
Rajeev: Kya???? Gurpreet ne Aamna ko kidnapp kar liya hai?
Chaitanya: Haan. Sets par tumhe lekar un dono ke beech koi kahasuni ho gayi aur Gurpreet break-time me Aamna ko lekar pata nahin kahan chala gaya. Uska phone bhi switched off hai.
Rajeev: You don't worry, Aamna ko mai sets par sahi-salamat le aaonga vo bhi do ghante ke andar.
Chaitanya: All the best Raj.
Rajeev: Thanks.
Rajeev: Ye Gurpreet meri Aamna ka peecha chod kyon nahin deta. Har baar uski vajah se koi na koi nayi museebat khadi ho jaati hai. Ab kahan dhoondho mai Aamna ko? Ek baar Aamna mil jaaye, chodonga nahin ise to mai.
Bacha Party: Arre Rajeev Bhaiya aap yahan?
Rajeev: Haan bachon, mujhe tumhaari madad chahiye. Situation explain karne ka time nahin hai par tum sab please mera ek kaam karo.
Bacha Party: Par karna kya hai?????????????
Rajeev: Tumhe jakar Gurpreet singh ko dhoodhna hai aur uske fans ki tarah behave karke use at least ek ghante tak busy rakhna hai. Agar vo tumse jaldi peecha chuda le to uspar nazar rakhna aur pal pal ki khabar mujhe dete rehna. Okay?
Bacha Party: Yes Boss!
Rajeev: Sir! 8 saal se CID me kaam karte-karte aap log aadhe se zyaada to CID officers ban hi chuke ho. Ab kyonki mai is matter me police ki help nahin le sakta to I need your help.
Shivaji Satam: We'll definitely help you, Kyon?
Daya, Abhijeet, Fredricks, Sai: Haan! Haan! Kyon nahin! Zaroor.
Rajeev: Thanks guys! Abhijeet, Daya, tum abhi chalo mere saath.
Daya: Rajeev! Hum Gurpreet ke ghar to aa gaye par ghar to sab jagah se locked hai? Hum andar kaise jayenge?
Rajeev: Investigation ke liye to mai akela hi kaafi hoon. Tum logon me to CID officers jaisa kuch bhi nahin hai. Hum, I mean mai, andar is chimney ke through jaaonga. Ab tum log aise hi khade rahoge ya meri madad bhi karoge?
Rajeev: Oh! To us Monkey-Man ne meri Aamna ko yahan apne ghar me behosh karke kaid kar rakha hai? Ye to mara mere haathon se.
(Rajeev somehow manages to help Aamna gain conciousnes and takes her out)
Rajeev: Aamna! Tumhe koi pareshaani to nahin hui na? Usne tumhaare saath...............
Aamna: Shut-Up! Aisa kuch nahin hua! Vaise Thanks for saving my life.
Rajeev: Uski koi zaroorat nahin hai. Ab bas tumhe set par chodd kar mai us Gurpreet ko...............
Aamna: Tum.........tum.......kuch ulta-seedha mat karna. Control your anger sweetheart.
Rajeev: Don't worry! Sujal play karne ke liye use zinda chod doonga. Okay!!!!!!!!!!!!!!
Rajeev: (At Gurpreet's house) Maine socha tha ki yahan talashi lene se kuch suspicious mil jayega par is idiot ka ghar to bilkul hi ajeeb hai. Ab dekho, koi Gurpreet jaisa duffer hi apni mangetar (Kanishka Sodhi) ki photo apne refrigerator me rakh sakta hai. Uff! Do min aur yahan raha na to pagal ho jaoonga. Chal Rajeev, nikal le yahan se.
Rajeev: Devika, kuch pata chala.
Devika: Haan! Use pata chal gaya hai ki Aamna ko tumne bacha liya hai aur ab uske peeche pade ho. Humne jab usse autograph maanga to usne hame bhi aise hi taal diya. Kaha abhi mai jaldi me hoon. Haan jaldi me uski pocket se ye paper gir gaya tha.
Rajeev: Thanks bachon, you have helped me a lot. Thanks again. Bye.
Bacha Party: Bye bhaiya.
Rajeev: Ye jo paper Devika ko mila hai ye Radheshyam Chemist ka bill hai. Aur is bill ki khaas baat ye hai ki ispar "Payment-Due" likha hai aur date bhi aaj ki hai.
Sai: Iska matlab Gurpreet hume Chemist ki shop par mil sakta hai jab vo apni pending payment dene aayega.
Rajeev: Absolutely right. Let's go.
Chemist: Sir abhi-abhi ye saab apna due payment dekar nikle hain. Yahin bahar hi honge.
(Rajeev ran outside to catch Gurpreet)
Rajeev: Aaj kuch bhi ho jaaye, tu nahin bachega!!!!
(Rajeev Gurpreet ki bahut pitai karta hai aur......)
Gurpreet: Sorry! Sorry! Sorry! Maff karde. Aayinda aisa nahin hoga.
Rajeev: Aayinda aisa na ho yehi tere liye acha hoga. Chal, chalke Aamna se bhi maafi maang.
Gurpreet: Aamna please mujhe maaf kardo. Mujhse galati ho gayi.
Aamna: Mai tumhe is so-called galati ke liye kabhi maaf nahin karoongi Gurpreet.
Gurpreet: Please Aamna, agar tumne mujhe maaf nahin kiya to Rajeev mujhe aur maarega.😭
Aamna: Acha! Theek hai. Ab get lost from here. Mujhe apni shakal mat dikhaana tum.
(Gurpreet runs away and Rajeev Takes Aamna for an outing)
Rajeev: Aaj ke baad tumhe koi pareshaan nahin karega. At least vo Gurpreet to kabhi nahin.
Rajeev-Aamna: 😆
I hope u guys liked it.
Waiting for your comments.
Sorry Gurpreet-Fans.
Garima