1)First time Jassi or Purab Rohan ke saath mile the tab
Jassi ne Rohan se kaha tha ki Hawa yane pyaar,Dor
yaane hamara ghar,tum mein,Bebe,Purab yaane patang.
2)Jab Purab Jassi ko restorant mein lekar jaata hain or
Raj or Armaan use follow karein hain,Purab ne aane ke
baad jis tarah se Jassi se baat ki usse Armaan ka woh
Jelous se bhara hua chahera.
3)First time jab jassi Armaan se kahati hain ki woh job
chhodkar jaa rahi hain or Armaan ka gira hua chahera.
4)Jassi ko I LOVE YOU kahane ke baad Armaan Jassi ke
ghar aata hain or jis tarah se ek Jassi use pyaar ki
paheli barish mein apne pyaar ko milne ke liye
chupchap ghar se bahar nikali hain or Armaan use
Pyaar ka pahala tohfa dena chata tha.(pyaar ka drama
hi sahi).
5)Jab Jassi ne khub sochne ke baad Armaan ke pyaar ko
thukra diya or Armaan jis tarh se react karta hain.
6)Purab Jassi ki Zindgi mein wapas aata hain or Jassi
or Purab ka Ristha jab jud raha tha to woh news Jassi
ne apne doston ko woh baat meeting room mein batai
thi or woh sunkar Armaan ko first time Jassi ko khone
ka Dard hua tha.
7)Jassi or Purab ki sagai tutne ke baad jab jassi yeh
news Armaan ko batati hain to Armaan ka daze bana hua
chahera.or phir woh Jassi ka haath khinchke jis tarah
se office se Mallika ke saamne le jata hain woh.
8)First time dono Raj ke ghar pe sayad dil se kareeb
aatein hain woh.
9)Armaan ki schhai saamne aane ke baad Jassi ka woh
aasoon mein duba hua chahera.
10)Jassi ko aapne se door jaata hua dekhakar First time
Armaan ko Pyaar ka ehesaas hona.use ke nazdik jaakar
baar use yeh batana ki woh jassi se kitna pyaar
karta hain.tab tak jab tak woh GM chhodke chali
jaati hain.
11)Pyaar ke har woh khubsoot pal jo un dono ke madyam
se hamaren dil mein utarein gaye.har pal do pal woh
dono ki sundar acting ne kahin humein rula diya to
kabhi pyaar ka Ehesaas karwan diya kaash aaj bhi
aise khoobsoorat pal dikhane ko mil jaaye jo munn
ko or Dil ko pyaar ki foohar mein humein bhiga de.
12)Jaasi ka makeover hone ke baad jab woh Armaan ko face
to face milti hain to uske mukh se nikal aata hain
Armaan Sir or jis tarah se Armaan Jassi ko dekhata
hain.
13)Jassi Raghav ki Patni bankar wapas aati hain or
Armaan ke hoshkosh ud jaatein hain,woh karwa choth ki
raat,Armman ki parti mein dono ka saathsaath dance
karna,Goa ki woh raatein or baatein...Raghav ka Jassi
ke liye rona or uski woh acting ne naahi sirf humein
rulaya par humein Purab ki yaad bhi diladi.
Pata nahin aaj kya kya yaad mein hum kho gaye.
Teeya' s buddy.