Hello people….I'm finally back…..missed you all a lot……😊
I had this mayur scene in mind & thought of posting it…..It has a pinch of emotional bonding we all have been waiting to see between Mayur…..I don't know if its good enough or not but its worth a try…..
Scene:
Nupur is all alone in the house.Its night time.She is going through mayapari that mayu gifted her & smiling to herself.All of sudden the current goes out & everywhere its dark.She gets scared.She is always scared of darkness & is more scared coz she is all alone in the house.All the windows are open & its raining heavily outside.The wind is blowing with full force & the curtains are flying in & out.The noise of thunder & lightening makes her more scared.She is too scared to even get up from the bed.She thinks to herself:
N: iss light ko bhi abhi jaana tha….hey bhagwaan ab main kya karu…..mujhe candles dhoondhni chahiye….
She gets up & starts searching for candles in her drawers but doesn't find.She then remembers the candles are in kitchen.She is scared to go all alone in darkness.
N: in candles ko bhi kitchen mein hi rakhna tha kya....aur yeh kitchen kitna dur hai….main akele waahan tak kaise jaoo…..aur saari khidki bhi khuli hai….mujhe yeh khidki bandh karni hogi warna koi chor-vor aa jaayega…..chal nupur tujhe himmat karke candles laani hi hogi aur fir saari khidki bandh kar doongi….
She takes 2-3 baby steps while looking here & there.Then she all of sudden screams & goes back & jumps on bed.She had seen her own outline in mirror & thought there was some ghost or thief.She then realizes it was mirror & calms down little.She decides not to look here & there & just run for kitchen coz mre she'll keep thinking & more she'll be scared.She starts murmuring to herself"jaltu jalaatu,aayi balaa ko taal tu….".Throughout her way to kitchen she keeps telling this & avoids looking here & there.
Finally she reaches the kitchen.She starts looking for the candle & finds it in one drawer.Then to light it she on's the gas & lights the candle.She places the candle on platform.She hears some footsteps.Someone was approaching her from behind.She gets scared but decides to show some courage.She takes a big knife from platform.Someone was very close to her.What if its some thief or worse some ghost?She again started murmuring "jaltu jalaatu,aayi balaa ko taal tu….".She was now ready to attack the person who was coming behind her.She turned around to see outline body of someone standing behind her.She tries to attack the person with knife while screaming for help.The person holds her hand & takes the knife from her hand with full force.He then takes the candle from platform & brings it near his face.It was Mayank.
Ma: tum pagal ho kya??mujhe maarne jaa rahi thi??
Nupur looks at mayank & gets very happy & hugs him instantly.All her fear left her as soon as she went in mayu's arms.Mayank was confused at her behaviour.He had candle in one hand so hugs her back with his other hand.Nupur felt very protective as soon as his hand went around her back.She felt very safe with him.Just then mayu screamed OUCH!!!Nupur broke the hug & looked at him.He had kept the candle back on platform because hot wax had just fallen on his finger which burnt his finger.
N: yeh kya ho gaya???yahaan toh jal gaya……
M: kuch nahi nupur….sirf thodi si toh jalan hai….
N: chup raho tum…..har baar hero banne ki koshish karte ho aur fir bataate ho dard nahi ho raha….chup chaap idhar khade raho…
She goes to fridge & brings some ice.She gently rubs the ice on his finger while blowing it.Mayu keeps smiling at her & looking at her lovely face.Finally she was done & looked up to see mayu staring at her.Even she gets lost in his eyes.Just then another thunder noise brings them out of the trance.
N: waise tum yahaan aaye kis liye???
M: (picks up file from platform)yeh file dene….tum college mein bhul gayi thi….aur kal iska assignment submit karma hai toh mujhe lagaa tumhe zaroorat padhegi…
N: array haan iske bare mein toh main bhul hi gayi thi…..thanksss….
M: chalo ab main chalta hu…..
N: NAHI!!!!!
M: kya hua tum aise kyu chilla rahi ho???
N: mera matlab hai tum thodi der ruk nahi sakte kya??(nervously) light aane tak….
Mayu smiles & goes very close to her & whispers in her ear.
M: kyu tumhe andhere se darr lagta hai???
N: haan….nahi….woh….woh….baahar baarish bahut ho rahi hai…tum thodi der ke baad jaoo…warna tum gille ho jaoge…..
M: don't worry mere paas umbrella hai…
He starts moving when nupur holds his hand from behind.He looks at her beautiful angelic face asking him not to go.
N: mayank mujhe andhere se darr lagta hai….
Mayu goes close to her.
M: main tumhe akela chod ke kahi nahi jaaoga….chalo hall mein jaakar baithte hain…..
Nupurs face brightened.Both went & sat on sofa & placed the candle on nearby table.
N: waise tum andar kaise aaye???
M: tumhaari ghanti toh baj nahi rahi thi isliye maine darwaaza khatkhaya par shayad tumne suna nahi isliye main khidki se aaya…….
N: by god mayank tumne toh mujhe darra hi diya tha….
Both sat silent for few minutes.Than nupur spoke up.
N: kya main tumse kuch maang sakti hoon?
M(smiling): poochne ki zaroorat hai?
N: kya main tumhaari godi mein sar(head) rakhkar so sakti hoon?
M(smiling): tumhe kissi bhi cheez ke pehle meri permission leni ki zaroorat nahi hai….yeh toh tumhaara haq hai.
Nupur smiled & placed her head in mayank's lap & stretched her legs on sofa.Mayank started caressing her head just like a mother does to her child.
N: tum jaante ho mayank morena mein bhi hamesha bijli chali jaati thi…..main aur gunjan hamesha andhere se darte…..fir maa humme issi tarah apni godi mein sulla deti thi…ek taraf gunjan soti aur ek taraf main….maa ki godi main sar rakhte hi saara darr dur chalaa jaata….
M: haan jaanta hoon….main bhi hamesha maa ki god mein sar rakh kar sota hoon….uski godi mein jaise jannat hai….har problems uska ek haath lagte hi dur chali jaati hai…
N(sad): tum lucky ho mayank…..tumhaare paas itna pyaar karne waali mom hai….meri maa jo humaare jeevan ka andhera dur karti ek din hamesha hamesha ke liye humaare jeevan mein andhera karke chali gayi….(a lone tear escaped her eyes).
M: nupur har andhere ke baad hi ujjala hota hai…..suraj ki kimat koi nahi jaanega jab tak raat na ho….aur phir tumhaare paas itna pyaar karnewaale bauji hai….par mere sar par pita ka saaya nahi…main kabhi bataata nahi par mujhe bhi apne pita ki kami bahut mehsoos hoti hai…..kabhi sochta hoon agar woh humaare saath hote toh maa ko itni takleef na hoti….mujhe bhi shayad apne pita mein ek achchaa dost mil jaata….maa ne meri parwarish mein koi kami nahi rakhi par usse uske hisse ki khushiyan kabhi nahi milli….(a lone tear escaped even his eyes).
N: bhagwaan aisa kyu karta hai?kissi ko kuch deta hai toh kissi ko kuch par kissi ko bhi sabkuch nahi deta…..
M: kyunki agar usne sabko sab kuch de diya toh log usse hi bhul jaayenge….kuch insaan usse sirf dard ke samay hi yaad karte hai….bahut saare log usse khushi mein bhul jaata hai….tum jaise bahut kam log hote hai jo usse har waqt yaad karta hai…
N(looks up at him confusedly): main??
M(smiling): kyu tum har waqt nahi bolti rehti 'BY GOD!!!!'
N(smiling): achaa waise….toh fir usne mujhse mom ko lekar mujhe itna badaa dukh kyu diya?
M: kyunki usne humaari jodi banaayi…
Nupur got confused.She didn't understand what he meant.So she sat back on sofa looking at him intently waiting for an explaination.
M: dekho har insaan hamesha adhura hi rehta hai….humme aise insaan ki talaash hoti hai jo iss adhurepan ko pura kar sake…usse kehte hai soulmate…..do adhure insaan hi ek dusre ko pura kar sakte hai…isliye log kehte hai 'opposites attract'……
N: by god mayank itni badi philosophy mere samajh ke baahar hai….thoda simplify nahi kar sakte??
M: dekho bhagwaan ne humme millaya….iski ek wajah yeh hai ki jo kami tumhaare life mein thi woh meri mom puri karegi aur jo kami mere life mein hai woh tumhaare bauji poora karenge….is tarah humme maa-baap dono ka pyaar millega….tum jaanti ho circle hamesha tukdo se banta hai…humaari life bhi circle jaise hai…..agar saare tukde jod diye toh life complete warna saara jeevan usse jodne mein chala jaata hai…
Nupur looked in awe….
N: By god mayank….tum toh philosopher bhi ho….main nahi jaanti thi tum jeene ke liye itna soch bhi sakte ho…..main toh kabhi apne jeevan ke bare mein itna na sochu….bas jo jaise jaa raha hai waise jaane du……
M: par kabhi kabhi life mein khush rehne ke liye aise philosophies banaani padhti hai warna life issi sawaal mein nikal jaati hai ki aisa kyu hua?
N: tum har sawaal ka jawaab kitni aasaani se nikaal lete ho…..tum kabhi kabhi simple si baat ko kitna complicate karte ho aur kabhi kabhi complicated baat ko kitna simple kar dete ho…..
M: par tumhaare case mein kuch aasaan nahi tha….infact tumhaari feelings samajhna kitna mushkil tha…..kabhi sharmaati toh kabhi gussa karti….
Nupur smiled remembering how she was confused about mayu….Just than lights came back giving end to their conversation.Mayu got up.
M: chalo ab main chalta hu…..
N: KYU???
M: arrey ab toh lights aa gayi na…abhi tumhe darr nahi lagega…..
N: darr aur mujhe???by god mayank nupur bhushan kissi se nahi darti….woh toh tumhe jaane ko darr lag raha tha na isliye tum yahaan ruke ho…
Mayank looks at nupur confused.
N(continues): waise bhi baarish khatam nahi hui….toh tum yahaan baitho main tumhaare liye World ki Best tea banaa laati hu…
M: best Tea?
N: kyu agar tum world ki best coffee banaa sakte ho toh kya main world ki best tea nahi banaa sakti??arrey morena mein toh log mere haath ki chaai ke liye marte the….waise bhi itni baarish mein garama garam adrak waali chaai ka mazaa hi kuch aur hai….pataa hai morena mein main aur gunjan baarish mein bahut khelte aur fir jab ghar jaate maa humme garam kambhal mein lapet deti aur garam adrakwaali chaai aur pakode khilaati….(became sad) uske jaane ke baad bauji ne bahut koshish ki ke humme maa ki kami na mehsoos ho par fir bhi maa ki yaad aa hi jaati….gunjan ko toh main fir bhi maa ka thoda pyaar deti par mujhe maa ka pyaar dene waala koi nahi tha….par iske baare mein maine kabhi kissi ko kuch nahi kahaan…main nahi chahti thi kissi ko bhi pataa chale ki main dukhi ho….(more tears formed in her eyes).
Mayu went close to her & wiped away the tears.Then he made her face him.
M: tum jaanti ho tumhaara dard mujhse zyaada koi nahi samajh sakta….maine bhi kabhi maa ko yeh nahi bataaya ki mujhe bhi apne pita ki bahut yaad aati hai aur na hi kabhi bataaoga….jo insaan humme chod kar gaya uski yaad mein dukhi rahenge toh jo humaare paas hai woh bhi kabhi khush nahi rahega….yaadein hamesha aisi rakho jo tumhe muskuraaye na ki jo tumhe rulaaye…..tumhaari maa aaj bhi kahin se shayad tumhe dekh rahegi hogi aur usse tum par fakar hoga ki tum gunjan ke life mein maa ki kami nahi rehne de par agar tum dukhi hui toh usse bhi bahut dukh hoga…isliye uske liye hamesha muskurati raho….
Nupur smiled faintly on hearing this.
N: mayank tum sach much bahut ache ho….
M(smiling): waise world ki best tea banaa ne ka iraada hai ya fir main jaoo?
N(smiling): abhi banaake laati hoo….
Okay sorry if its too long.Just got carried away in writing.please comment/criticize.😳