khushi ke maare mera bura haal tha,
khushiyaan kuch youn umad rahin thi,
ki sambhale nahi sambhal rahi thi,
subah subah madam ka chai le kar aana
thoda sharmate hue hume neend se jagana,
wo pyaar bhara hath humare hair main phirana
Aur muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
jaldi se ready ho jao aap ko office bhi hai jana.
gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
dil or dimag par poori tarah chai thi,
saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.
5 saal baad........
subah subah madam ka chai le kar aana,
table par rakh kar zor se chilana,
aaj office jao to munna ko school chorrtey hue jana..............
ek baar phir wohi awaaz ayi,
kya baat hai abhi tak chorri nahi charpai,
agar munna late ho gaya to dekh lena,
munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.
na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
kya kabhi wo din lot ke ayenge,
hum ek bar phir kuwaaren ban payenge