Jaise kal hi ki baat ho..us club me Kranti se takrana..naquaab k peechhe ka woh chehra Raj ki aankhon ne dekha.Un aankho me ek aisi kashish thi ..Raj us par se nazar hata hi nahi paaya,jaise yeh ek pal ki baat nahi..sadiyon ki baat ho.Aur fir uska khwaab toota..jab Kranti ne uske chehre par jalte hue mashaal se vaar kia.Aur fir ghayab hi ho gayi,par kismat me kuchh aur hi likha tha..yeh mulakaton ka silsila yehin par toh khatam nahi hona tha.Fir ek baar Kranti se aamna saamna hua.
Rajveer ,ek aisa insaan hai..jo zyada baat karne me nahi..kaam karne me yakeen rakhta hai.Baaharwalon ki baaton se jisko kabhi koi fark hi nahi pada.Par jab jab Kranti se uska saamna hua..pata nahi kyon..Kranti k saamne khud ko saabit karne ka ek junoon sa paida ho gaya Raj k dil me.Kranti k har baat ka jawaab dena,uski har chunauti ko sweekar karna..Raj ki aadat ban chuki thi..usko maza aata tha.Varna kyaa zaroorat thi usko k woh Gama Pahelwan k saath ladhne gaya?
Prem Babu k press ka case ho yaa Sohan Singh ka case ho..kahin naa kahin Raj ne usko personal level par lia toh tha.Kranti k saamne khud ko saabit karna tha.Usko batana tha k jisse tum ulajh rahi ho woh koi mamuli insaan nahi.Uska darja bahut ooncha hai.Par aaj Rajveer jaanta hai k Kranti ki taraf se yeh ladhai kabhi neeji ladhai nahi thi.Rajveer Krantikarion k raaste aaya tha..issi lia Kranti usse ulajh gayi..har jagah..Kranti apni aadarshon ki ladhai ladh rahi thi..uska irada yehi tha k uske saathi mehfooz rahe.Par Rajveer k lia yeh ladhai uske apne faaide k lia tha.Uske Baojee ka rootba badhta agar woh is tarha k case jeet jaata toh.Rai Bahaduri jo chahie thi unko.Jo Rajveer se kaha gaya.. andho ki tarha Rajveer wahi karta raha.Usne yeh nahi dekha k uske aisa karne se kisike zindagi par kyaa asar hoga.Shri Charan Kaushik ko issi lia jhoote case me Raj ne fansaya tha..taa k Sohan Singh k khilaaf woh gavahi de.Par uska asar kuchh aur hi hua.Kranti ki Mami ne uska sauda kia.Lala Tribhuvandas k saath.Us aiyaash buddhe k saath Kranti ki shaadi zabardasti kara di gayi..woh bhi us din jis din Sohan Singh ko faansi di gayi.Raj ne Tribhuvandas ka woh ghinona chehra dekha hai.Kranti ussike ghar se bhaagti hui Sanjay k paas gayi thi..apne Bahen Nirmal k ghar...par Rajveer ne Kranti ko pakadne me Lala Tribhuvandas ki madad ki.Badle me usko apne Baojee ki Rai Bahaduri k hak me Lala Tribhuvandas k dastakhat bhi mil gaye.Us din Kranti ki aankho me jo nafrat dekha Raj ne..aaj bhi bhool nahi paata.Tribhuvandas ki maut k baad Kranti ne Rajveer ko is tarha fansaya..Rajveer ko Kranti se shaadi kar k usko ghar laana hi pada.
Kranti ka maksad yehi tha k Raj ko bhi wahi dard dena hai jo dard Raj ne usko dia hai. Kadvahat badhti gayi..nafrat badhti gayi..Rajveer ko case bhi haarna pada Kranti ki wajah se.Baojee ko dil ka daura pada.Kranti k baare me sochne ka nazariya badalna shuru ho chuka tha bahut pahle hi..Diwali k din jab Kranti ne Raj ko jalne se bachaya tha..wajah yehi batai thi Kranti ne ..k Kranti ne jo dard jhela..Raj uske baare me soch nahi sakta..issi lia isse bhi bada dard Raj ko milega.Raj ne yehi socha tha k Kranti jab shaadi kar k aa gayi hai uske ghar..tab shaayad woh shareef Biwi aur shareef Bahu ban kar rahegi..par Kranti ek aisi belagham ghodi ban chuki thi..jis par Raj kaboo kar hi nahi paaya..Jis raat Baojee marnewale the..us raat Kranti ko kyaa zaroorat thi k woh unki jaan bachaaye?Raj ne uske apno ko maut dia..dard dia.Kranti chaahti toh aasaani se hisaab chukta kar leti..par usne aisa nahi kia.Raj k lia jo nafrat thi uska asar kabhi Kranti ne uske gharwalon par hone nahi dia.Kranti k paas wajah bhi thi..uske Mamajee ka jail jaana..Sohan Taujee ki maut..par Kranti ne Raj k gharwalon par kabhi vaar kia hi nahi.Fir bhi Raj par bhoot sawaar hua toh tha..k Kranti ko ghar se nikaal de.Ilzaam par ilzaam lagte gaye Kranti par..kabhi prasad me pyaaz ka hona..kabhi paison ki chori ka ilzaam.Par aaj Raj har sachchai jaan chuka hai.Kranti ne aisa kuchh bhi nahi kia tha.
Haadso ka silsila yuh hi dimaag me chal raha tha..k Raj ne dekha kaafi der ho chuki hai.. usko ghar jaana chahie..office se nikal gaya woh.Par ghar jaane ka mann nahi tha..Raj club chala gaya..do peg whisky jab andar gayi..tab aur bhi bahut kuchh sochne laga Raj. Kya Raj ne ghalat kia tha us raat?Kya Kranti nahi chaahti thi Raj k kareeb aana?Raj bhi insaan hai..Kranti uski Patni hai..Raj ko nahi lagta k usne koi paap kia hai..par Kranti kyon nahi samajhti?Chaijee ne Kranti se poochha k Raj se usko itni nafrat kyon hai?Kranti ne jo bataya k Raj ne uske Taujee ko faansi dilaai ..Mamajee ko jail bheja..Tribhuvandas se usko shaadi hui..uspar zulm hua,yehan tak theek tha,par Kranti ne us raat ko ek ghinona chehra de kar Chaijee k saamne pesh kia..Raj soch bhi nahi sakta k woh Kranti ki beizzati kare.. Kranti ne uspar ilzaam lagaya..k Raj ne uski...Raj ko dukh hua..gussa aaya..par us waqt zaroori tha Kranti ko samjhana..par Kranti ne jaise khamoshi ko khud par odh lia tha..Raj k lia woh chaadar hatana mumkin nahi tha.
***********************************
Kranti Manpreet k baare me soch rahi thi..woh Raj ki mohabbat hai..dono ek doosre se pyaar karte hain..jis tarha Manpreet Raj ki taraf daur kar aai..Kranti kabhi aisa nahi kar paai..jab k woh Raj ki Patni hai..sirf rasmon se shaadi puri nahi hoti..Kranti humseha se jaanti thi is baat ko..Raj se usne kabhi pyaar kia nahi.Shubhankar ..uski zindagi ka bahut ahem hissa tha.Raj par kyon gussa aaya tha Kranti ko ?Kranti k lia yehi samajh paana mushkil hai.Sohan Taujee ki faansi ki wajah se yaa Shubhankar se Kranti door ho gayi issi lia?Kranti humesha se yehi samajhti rahi..k Raj ki wajah se Kranti ki zindagi adhoori reh gayi..Shubhankar se uski mohabbat adhoori reh gayi.Shaayad yehi wajah hai..sab se badi wajah ..jiske lia Kranti itni nafrat karti thi Raj se.Usne yehi soch kar Raj se shaadi ki taa k Raj k zindagi me uski pasand ki ladki naa aaye..par jab usko pata chala..k Manpreet uski zindagi me pahle se thi..tab woh dobara sochne par majboor hui..yeh Kranti kyaa kar rahi hai?Woh wahi kar rahi hai jo Raj ne uske saath kiaa tha.Raj ko pata nahi tha Kranti k zindagi k baare me..uski mohabbat k baare me..par sab kuchh jaan kar Kranti aisa nahi kar sakti..aur doshi Rajveer hai..lekin Manpreet ka toh koi dosh nahi.Uski mohabbat kyon adhoori rahe?Kranti nahi chaahti k Manpreet ko woh jhelna pade jo Kranti ne jhela tha.
Mamajee ko jab jail jaana pada..tab paison ka intezam karna tha..Kranti Shubhankar k paas hi gayi thi..Shubhankar tha nahi..uski Maa ne paise dene se inkaar kar dia. Anjaam, Kranti ki shaadi..us aiyaash Tribhuvandas k saath..par jab Shubhankar ko pata chala Kranti ne paison k lia shaadi ki hai..tab usne ulta Kranti ko hi doshi thehra dia.Fir bhi..jab Tribhuvandas ki maut hui..Kranti fir ek baar Shubhankar k paas gayi thi..ussika sahara tha aur ussika bharosa tha..par..Shubhankar ne sahara nahi dia.Uski Maa ne saaf keh dia..ek Vidva Sharma Parivar ki Bahu nahi ban sakti..purkhon ka naam kharab hoga..Shubhankar apni Maa k khilaaf nahi gaya.Kranti ka dukh dheere dheere gusse me badla..aur Rajveer k lia nafrat aur badh gayi..usne yehi socha k uski yeh haalat Rajveer ki wajah se hi hui hai... apni nafart k chalte usne Rajveer ko majboor toh kar lia..par Kranti sochti hai..k kya vaakei me Rajveer uski mohabbat k raaste me aaya tha?Raj ne Taujee ko faansi dilaai,Mamajee ko jail bheja,sach hai,par apni mohabbat ki nakamyabi k lia kya vaakei me Raj ko zimmedar thehra sakti hai Kranti?Isme toh Raj ka koi dosh nahi tha..Shubhankar ne shaayad kabhi pyaar kia hi nahi Kranti se..agar woh sach me pyaar karta..toh is tarha Kranti ko marne k lia nahi chhod deta..
Raj k ghar me aa kar..jo hua..woh Kranti kabhi bhool nahi paayegi..dard yehan bhi mila. Par woh din Kranti nahi bhool paati jis din Raj ne usko dhakke maar kar nikaal dia tha baahar..Chaijee ne rok lia..varna Kranti ussi din is ghar se chali jaati.Aaj Kranti samajh sakti hai..k kyon Raj usko nikaalna chaahta tha..sach me..aise insaan k saath koi rehna nahi chaahega..jisse pyaar naa ho.Aur Raj se shaadi kar k ek maksad toh kaamyab hua.. Satnam Singh ko faansi nahi hui..woh bach gaye.Kaafi hai..ab Kranti ko yehan se jaana hoga.Kyon ki sirf Raj se ladhna uska maksad nahi..aage bahut si ladhaiyan ladhni hai Kranti ko..Raj ko us dard ka ehsaas karana tha ..lagta hai Raj ko achhi tarha se pata chal gaya hai..k jab dard hota hai..toh kaisa lagta hai.
Par woh raat ek ajeeb raat thi..jis raat me sara hisaab ulat gaya.Kranti ne aisa kabhi nahi socha tha.Raj ko bahut kosa usne..dosh dia..aur toh aur Chaijee k saamne bhi Raj ko gunahgaar bana dia us raat k lia.Yeh nahi karna chahie tha.Par gussa bahut aaya tha..
Par uske baad jo badla hua roop dekha Kranti ne..Kranti hairan toh thi..Rajveer ..jo pahle sirf dard deta tha..ab woh dard ki dava de raha tha..sahara de raha tha.Chaijee aur Buajee ki baatein choop k se sun bhi li Kranti ne..jab Kranti vrat rakh rahi thi..uske saath Raj ne bhi do din tak kuchh nahi khaaya..yeh kyaa tha?Par Kranti ne sab se muh fer lia..par dil k jazbaat bekaboo hone lage..unhone apna daava chhodne se inkaar kar dia.Shaayad Raj ko puri tarha se apna lena chaahti thi Kranti..aur tabhi..yeh sach pata chala..Raj ki mohabbat Manpreet k baare me.Raj ko Manpreet se hi milna tha..varna Basant Panchami manane gaaon jaane k lia Raj itna utaavla kyon ho raha tha..?Par Buajee ne kuchh aur hi kaha,"Kaake ko maine hi darwaze k peechhe chhoopne ko kaha,jab tujhse maine poochha k tujhe kyaa pasand hai..aur issi lia..teri khushi k lia..woh gaaon le gaya sab ko..main nahi jaanti k Manpreet k lia Kaake kyaa sochta tha..yaa ab bhi kyaa sochta hai..par itna jaan le..teri khushi k lia hi Kaake gaaon gaya tha..Manpreet k lia nahi.. Manpreet ko Kaake ne nahi bulaya tha..aisa mera yakeen hai..baaki tu jo samjhe,par Kaake ne tujhe dhokha nahi dia.".
************************************
"Tere saath khush hai woh?Mujhe nahi lagta..yaar..meri kyaa ghalati?Shaadi ka rishta le kar gaye the humare ghar se..mere Baap k lia..aur mujhe dikhaya gaya..us ladki ne socha uski shaadi mere se ho rahi hai..aur majboor thi..usne shaadi kar li..uski Mami ne usko mere Baap k haathon becha.Par pehli nazar main main lattoo hua tha us par..toh kyaa hua k mere baap ki Chauthi Biwi thi..yaar..kyaa chees thi.."
Raj ki pakad mazboot hoti gayi glass par...
"Apne Mamajee se milne gayi..sab ko chaku dikha kar..badle me mere Baap ne uska haath jala dia..mujhse bardasht nahi hota tha..us par chori ka ilzaam bhi aaya..mere Baap ne usko chabook se mara..dard se bukhaar se jab woh adhmari thi..tab mujhe josh chadha.. main uske kareeb gaya..maine kaha usse..k main usse khushi de sakta hoon..mere saath.. par saali..usme bahut garmi thi..mere sar par phooldaan maar kar bhaag gayi..hum sab pareshaan..aise me tu aaya..uska pata bataane..tune yeh nahi samjha k uske saath kyaa hua hoga is ghar me?waise tujhe bhi toh mere Baap k dastkhat chahie the..apne Baap ki Rai Bahaduri k lia..mera Baap mara,main chaahta tha usko le kar Lahore se bhaag jaaoon..uske saath ghar basaoon..par nahi..Maharani ki nazar tujh par thi..yaar..tu aur main..hum dono hi kameene hain..mera kameenapan dikhta hai..aur tu Vilayeti Babu ban kar ghoomta hai..hain hum ek jaise hi..par usne tujhse shaadi ki..yaar..mere me kyaa kharabi thi?Tera aur uska pahle ka koi chakkar tha kya..aur agar tha..toh tera dil kaanp nahi utha..usko mere Bhediye aiyaash Baap k hawale karte?Zyada se zyada kyaa hota?Tere Baap ko Rai Bahaduri nahi milti..par Kranti ki toh zindagi hi barbad kar di tune..sunne me yeh bhi aaya tha k tune hi uske Mama ko jail bheja tha..zamanat k paison ka intezam karne k lia hi toh uski Mami ne usko humen becha tha..fir bhi woh tere saath hai.Woh tujhe khud ko haath lagane deti hai?Nahi deti hogi..hai hi itni ziddi..adhiyal..itni ghamandi..kis baat par eetrati hai..pata nahi chalta..par tu toh mere se bhi bada kameena hai..sachchi..."
Tribhuvandas ka chhota Beta apne doston k saath ussi club me gaya tha..sharaab peene.. nashe me uske muh se yeh sab baat nikal aai..Rajveer wahan ek pal bhi nahi rooka yeh sab sunne k baad.Pighalta hua loha geera uske kaan me..jo baat sun kar uska dil jal gaya.. woh sab kuchh Kranti k saath hua hai..ghar aate hi Madhumati se aamna saamna hua.
"Bura mat maano Devarjee..par Pati se milne uski puraani saheli aai thi..sab k saamne uske gale padi..yeh baat dekh kar bhi..Patni par koi asar nahi hua..yeh baat kuchh hazam nahi hoti..tum toh usse pyaar k daave karte the..kyaa hua us pyaar ka?Waise,aaj woh mandir gayi thi..main Doctor ko dikha kar laut rahi thi..aur maine dekha woh kisi admi se baat kar rahi hai..ab uske saare rishteydaaron ko toh hum jaante hain..yeh unme se nahi tha..mujhe shak toh hua..tumko toh pata hoga Devarjee..kaun tha woh admi.."
Raj ne jawab nahi dia..seedhe kamre ki taraf aaya..aur suna Kranti phone par baat kar rahi hai...
Nirmal ka phone tha.
Nirmal--Tujhe hua kyaa hai?
Kranti--Mera yehan rahne ka koi matlab nahi banta..yeh ghar mera nahi..yeh log mere nahi..main kal hi ghar chhod rahi hoon...ho sakta hai..main Lahore chhod kar hi chali jaaoon..
Nirmal--Main Rajveer se kahoongi...usko malum hona chahie puri tarha se..k usne teri zindagi kis tarha barbad kar di..tujhe aaj is kagaar par khada kar dia..
Kranti--Rajveer nahi jaanta Shubhankar k baare me..
Nirmal--Kranti..Shubhankar k lia tu Rajveer ko kyon chhodegi..?
Kranti--Main kisike lia kisiko nahi chhod rahi hoon..main bas khud ko dhoondh rahi hoon..is jaddo jahed me ..main kho gayi thi..aur .......
Nirmal--Rajveer ka kyaa hoga?
Kranti--Mere jaane k baad Rajveer khush rahega..Manpreet se shaadi karega..fir sab theek hoga..
Nirmal--Teri zindagi ka kyaa?
Kranti--Meri zindagi?Yeh sawaal main Shubhankar se poochhoongi..
Rajveer patthar ban gaya..Kranti usko chhod kar jaana chaahti hai..!Aur Kranti yeh sochti hai k Manpreet se Raj shaadi karega!Manpreet k saath uska rishta tha,dosti se kuchh zyada hi..par itna gehra bhi nahi..aur jab Rajveer k dil me Manpreet ki koi jagah nahi hai.. tab Kranti kyon chhod kar jaana chaahti hai?Usko yeh ghalatfaimi kaise ho gayi?raj ne toh saaf saaf bata dia tha sab k saamne..fir bhi Kranti aisa keh rahi hai..kahin yeh Kranti ka bahana toh nahi..usko chhod kar jaane ka?Shubhankar..haan..Shubhankar hi naam hai uska..kal Kranti ussike saath ghar chhod rahi hai..
Raj kamre k andar aaya..Kranti ne uski taraf dekha..kaha ,"Main tumhe kuchh dena chaahti thi.."
Raj--Kyaa?
Kranti ne apne saare zebar Raj ko de die..kaha ,"Chaijee..yaa Buajee ko waapas kar dena..ab mujhe inki zaroorat nahi..kal main jaa rahi hoon..humesha humesha k lia.."
Raj--Toh tumne pakka irada kar lia hai?
Kranti--Haan..
Raj--Tum toh mujhe dukh dene aai thi..aur nahi dena chaahti?Yaa fir Shubhankar se tumhari mohabbat jeet gayi..mere lia tumhari nafrat haar gayi..mujhse utni nafrat tum nahi karti..jitni tumhe Shubhankar se mohabbat hai..hai na?
Kranti chauk gayi..Raj ne sab sun lia..
Kranti--Zindagi me sirf safed yaa sirf kala nahi hota..iske beech k bhi kai rang hote hain..
Raj--Haan..main tumko yehi baat samjha kar haar gaya..tum nahi samjhi..main kehta raha.. k maine jo kia..woh majboori thi..mere Baojee k lia..yaa fir jo hua humare beech.. maine tumko neecha dikhaane k lia nahi kia..par tum ..tumne sunne se inkaar kia.
Kranti--Dekho..tumne jo kia so kia..uski kaafi saza mil chuki hai tumhe..par tumko malum nahi tha Shubhankar k baare me..issi lia meri mohabbat ki nakaamyabi k lia tum doshi nahi..aur agar tum doshi ho bhi..toh uski saza Manpreet ko kyon mile?Kyon woh tumse alag rahe?
Raj--Bol bol k thak gaya..main Manpreet se pyaar nahi karta..woh khat maine nahi likha tha..
Kranti--Jaanti hoon..Parjaijee ka kaam tha yeh..
Raj--Toh fir kyon kar rahi ho aisa?
Kranti--Main Manpreet ko us haal me nahi dekhna chaahti jis haal me main thi..woh tumse pyaar karti hai..uski aankhon me dikhta hai...
Raj--Woh paagal hai,varna sab k saamne is tarha meri taraf daur kar nahi aati,aur Manpreet..ek anjaan ladki ki fikar hai tumhe..par main tumhara Pati hoon..mere baare me kabhi ghalati se bhi socha tumne?
Kranti--Humari shaadi ek zid thi..naa humari marzi thi..naa gharwalon ki..kisiko dukh nahi hoga..
Raj--Tum chali gayi..toh mera kyaa hoga?Ab yeh mat kehna k Manpreet aayegi..main Manpreet ko bhool chuka hoon..
Kranti--Woh nahi..toh koi aur..jisse tum pyaar karo..jo tumse pyaar kare..tumne jo mere saath kia..main shaayad tumhe kabhi maaf naa karoon..par meri mohabbat ka jo hashar hua..woh main apne kisi dushman k lia bhi nahi chaahti..maine humesha tumse ulti seedhi baat kahi..tumko kosa..lekin jaane se pahle main yehi dua doongi..yeh meri dil se dua hai tumko..k tumhe tumhari mohabbat mile..tumhe tumhari mohabbat se mohabbat mile..kal subha main jaa rahi hoon..sooraj k uthne se pahle hi..sab ko bata dena..k main jaa chuki hoon..
Raj--Asal baat main kehta hoon..tumhe naa meri fikar hai naa Manpreet ki..tumhe tumhare purane premi Shubhankar k paas jaana hai..issi lia Manpreet ka bahana bana kar jaa rahi ho..kal tum ussi Shubhankar k saath jaa rahi ho na?
Kranti--Haan..kal main Shubhankar k paas hi jaa rahi hoon..aur tumko bura toh lagna nahi chahie..ek din tum hi mujhe is ghar se nikaal rahe the..
Raj yeh baat kehna nahi chaahta tha..aaj shaam ko Raj ko jo bhi sunne ko mila..uske baad usne tai kia tha..k zaroorat padi toh Kranti k pairon me geer kar maafi maangega..par baar baar samjhaane par bhi jab Kranti nahi maanhi...tab gusse me keh gaya yeh sab.
Subha k chaar baj gaye the..Raj puri raat nahi soya..achanak usne dekha Kranti jaa rahi hai..Raj par uska gussa haavi ho gaya.Raj apni revolver le kar nikal pada,Kranti k peechhe..bardasht ki bhi had hoti hai..aaj faisla ho hi jaayega..
Durgamandir k peechhe jo baagh tha..Kranti wahi gayi..sooraj nikal chuka tha.Raj pedh k peechhe chhoop kar baatein sunne laga..
Shubh--Tum paison ki itni badi pujaran ho..mujhe pata nahi tha..tumhare Mamajee jail gaye..meri ghalati nahi thi..tumne unke lia mere pyaar ko daaon par laga dia..kar li tumne us Buddhe se shaadi...aur uske baad..maine gusse me tumko apni zindagi se nikaal dia.. tumne ussi insaan se shaadi ki jisne tumhari zindagi barbad ki..Rajveer Laal.. haan.. bade baap ki aulad hai..Barister hai..par jaanti ho..aaj main bhi bahut bade jaaidad ka maalik hoon..maine Ramchand Bharadwaj ki Beti se shaadi ki hai..aaj mere paas bahut paisa hai..maine yeh dua ki thi Kranti..jab tum mujhe milo..tab tum mujhe is tarha dekho...
Kranti--Tum shaadi kar chuke ho..yeh baat mujhe bahut pahle hi malum pad chuki thi.. Rajveer ne bhale hi kuchh bhi kia ho..main us par yeh dosh nahi de sakti k woh hum dono k beech aaya..nahi..hum saath me nahi hain..kyonki tum kaayar the..tum me himmat nahi thi..khair..puraani baaton ko yaad kar k koi faaida nahi..par agar tumne ek pal k lia bhi mujhse sachche dil se pyaar kia hai..toh apni Patni ko dukh mat dena..bhool kar bhi uska niradar mat karna..aur kabhi humara aamna saamna ho..toh ajnabee samajh kar mujhse muh fer lena...chalti hoon..
Rajveer soch raha tha.."Yeh kyaa dekh raha hoon?Shubhankar aisa sochta hai?Aur usne kisi aur se shaadi kar li hai?Toh fir Kranti kiske saath jaa rahi hai?Iska matlab woh akeli hi jaa rahi hai..mujhe chhod kar...sab kuchh chhod kar?"
Shubhankar jaa chuka tha..Kranti peechhe mudi aur usne Rajveer ko dekha..aur Rajveer k haath me revolver dekha...Rajveer ne kaha ,"Kranti suno..main..yehan aaya tha..Kranti rook jaao.."
Kranti nahi rooki..woh dauri..ulti disha me...Raj uske peechhe daura..."KRANTI.......ROOK JAAAO...KRANTIIIIIIII.."
Kranti ko hosh nahi tha...bhaagte hue..woh raste par aa gayi thi..saamne se ek jeep aa rahi thi...aise me usne mehsoos kia..k usko kisine dhakka dia..aur Kranti ka sar patthar se takra gaya..bas..aankho k saamne andhera chha gaya..
****************************
Jab Kranti ko hosh aaya..toh usne khud ko Rajveer k bistar me paaya..uske sar par patti bandh chuki thi..Doctor dekh chuke the.Ghar me sab ko pata tha k Rajveer usko subha kahi ghumaane le gaya tha.Sab kamre se jaa chuke the...Rajveer uske paas baitha tha.Uska haath uske haathon me tha..Raj k aankhon me aansoon the..Raj ne kaha ,"Maine jo kia ghalat kia..par yeh meri saza nahi...tum mujhe chhod kar nahi jaa sakti..agar tumne fir se aisi koshish ki..toh is revolver ki saari golian mere sar par hongi..samajh gayi na?"
Kranti khamosh rahi...uske paas pehli baar kahne k lia kuchh nahi tha..Rajveer jhoonka uski taraf..Raj k aansoon Kranti k gaalon par geer rahe the..Kranti k aankhon me bhi aansoon the.Dono k aansoon dono k gaalon par kab lag gaye..pata hi nahi chala..sooraj ki roshni un par geeri..aur aansoon achanak se moti jaise dikhne lage.