Iss tarah mera dil na churaao
Iss tarah mere andar na samao
Chaah kar bhi aapko bhula na paaon
Iss tarah baar baar yaadon mein na aao
Meri neend ko aise na churaao
Mera sukoon mujhe wapas lutaao
Zindagi bhar aapke pyaar mein tarapti rahoon
Iss tarah mere dil ko na churaao
Aake mujhe apna banaao
Aake mujhe apne saath le jao
Zindagi ka har lamha aap ke saath guzaroon
Iss tarah mere dil ke andar bas jaao