Fourth Part
"Aay" koi talakh aur jhunjhulai hoi awaz aii
"Aay utth abb aur kitni dair soay maray gi, koi aqal istmaal kar, agar ho tu"
"Amma, Amma sonay day na"
"aay kamakhat maari uth ja, jab say Razia gai hia tu under Khala kay liye biscuit lanay gai thi aur sou gai"
"Aay ab tu uth ja na Baji, khana bana day na" choti ki awaz aai
"Acha, do minute sakoon say insaan ko sonay bhi nahin daitay ho tum log" mian nay jhnjholatay howay kaha aur uth kar bistar sahi kiya aur kamray say bahar nikal aii
"Aap?" meray moon say bus itna he nikal saka,
'yeh iss tarhan meray ghar main? Lakin who tu sirf mera khwab tha, yeh yeh kya ho raha hai mujhe' main nay socha aur jaldi say under bhagi
"Aay muskaan bahar aa" Amma nay awaz lagai tu nacha jana he para
"inn ka naam Muskaan hai?" uss wajeeh shakhas nay poocha
"haan beta yeh meri beti hai"
"acha" uss nay kuch sochtay howay kaha
"Beti yeh log wo samnay jo gali kay nukar par ghar hai na un kay rishtay daar hain"
"kaun wo Danial sahab kay?" main nay poocha
"jee, wo meray mamoon hain" Amma nay jawab denay kay liye moon khola he tha kay uss nay jawab day diya
"Achaaa…" main nay kaha
"To beta under jao na, kuch lay kar aao" aama ka yeh itna pyar say bolna mujhe under he under khol raha tha lakin chup kar kay under aa gai
"Amma chalay gyay wo log?" Amma jab under ayi tu main nay uss say poocha
"Haan re chalay gayay" Amma nay jaldi say jawab diya
"wo bhi itna kharcha kara kay" meray mon say aik dum say nikla
"Kambkhat mari kuch tu soch kar bola kar" Ama mujhe marnay kay liye uthnay lagi tu main forun say uth kar bahar aa gayi
'hamesha meray saath he aisa kyoun hota hai? Mujhe he kyoun hamesha sub martay hain? Aba nay bhi uss din…'
"Sheri Baji zara suna"main soch rahi thi kay Sajida ki awaz aai
"Haan re kya hai aur tujhe hazaar baar kaha hai kay mera naam pora liya kar yeh kya Sheri, yeh bhi koi naam hai kya, hmmhhh" main ghussay ko kaboo main kartay howay boli
"Kya Sheri baji jo such hai wo such hai"
"acha kya such hai? Tu he BATA day TERI he kasar reh gayi thi" Nazera kay darmiyan main bolnay par mujhe ghusa aya tu pair patakhtay howay boli
"acha Sheri Baji ajao bhai bola raha hai" uss nay meri baat ko nazar andaaz kartay howay kaha
'sub ko pata hai kay mujhe yeh sub pasand nahin hai koi mujhe nazar andaaz karay meray say bardashat nahin hota phir bhi sub ko aur khaas tor par ISSKO koi khaas bemari hai jo har dafa mujhe nazar andaaz kar deti hai. Agar usski behen na hoti tu phir dekhti kaisay iss tarhan baat karti hai mujh say' main soch rahi thi kay Suriya nay tok diya
"Baji ab aa bhi jao bhai ghussa ho raha hai. Apni shaadi kay khaab tu nahin dekh rahi na?" uss nay tanzan kaha aur mera khon khol kar reh gya
aur chup chaap uss kay peechay chal pari, kya karti in logon ka ahsaan bhi tu bohut hai abba par aur phir upper say wo bhi tu kabhi kabhi bulanay par aur zarorat parnay par aajata hai. Hai kitna pyara lagta hai jab apni motor cycle pay bethta hai
"main hoon he aisa, ama kehti hai kay mera beta chaand say bhi pyaara hai" uss ki awaz aai tu meray mon par khud he muskurahat bikhar gayi lakin jab udhar pohanchi tu…
 
 
 
  
 
  
  
 
 
 
 
 
 
 
  
  
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 Anupamaa
Anupamaa
 Mannat Har Khushi Paane Ki
Mannat Har Khushi Paane Ki
 Members Lounge
Members Lounge
 
         
          
140