Sun-Love thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
#1

Okay so this is my first FanFic (FF) so I don't how it's going to end up being but I hope all of you help me with it cause I get writers block a lot and very easily. I thought GES should have one too cause I haven't seen one in here yet. Since there is one character in this show that I'm sure all of us despise and hate more than anyone else. I thought that this FF should be related to that character aka Uttra and we should teach her a lesson and lessen the burden on our hearts of slapping her every time she does atrocities on Kakul or any other character for that matter.


😈 TEACHING UTTRA 😈

Synopsis: As we all know since the beginning of this show Uttra has been extremely rude and mean with Kakul and her family. But things are going to change now because it's about time that Uttra gets a taste of her own medicine. Kakul belongs to a highly powerful political family, her father, Om Shankar, is a Minister in Bihar and well we all know her Jiju is Om ji's right hand and like a Don. So with the presence of such powerful personalities on her side why should she suffer from Uttra's behavior instead she should make Uttra suffer. That's exactly what's going to happen now.

Kakul – K

Uttra – U

Samman – Sm

Amarnath – A

Scene: Starts with Kakul thinking about what she should do next so that she outsmart Uttra in her next attack on her (Kakul) in order to separate her from Samman. As Kakul's thinking Samman walks into their room.

Sm: Kakul…Kakul…(snaps his fingers in Kakul's ear) kya hua, yaan akeli bethi kya soch rahi ho?

K: (In her mind) Kaise batien hum kya soch rahe hain…. (to Samman) Kuch nahi…woh hum to bas ummm soch rahe the ki hamein Devika di ko kahin bahar leyke jana chahiye. Shaiyad unka mood theek ho jaye. Humien pehle hi itna bura lag raha hi ki hamari vaja se unka aur Jiju ka rishta toot gayi, lekin hum bhi kya karte…didiya ko to humne pehle hi kho diya hai ab jiju ko nahin khona chahate.

Sm: Kakul main samaj sakta hoon ki tum kya keh rahi ho lekin kya tumhe lagta hai ki Devika di tumhari baat mane gi…Arre di to door ki baat hai ma toh tumhe di ke kamreh meh bhi nahi jane deyngi.

K: Samman hum jaante hain lekin agar aap Devika di aur mummyji se baat karke dekhe toh shaid woh maan jayien. Mummy ji toh…

Sm: Mummy kya? Tum bolti bolti ruk kyun gi?

K: Woh hum kehna chathe ki mummy ji pehle hi Devika di ko lekar itni pareshan thi aur ab toh aisa lagta hai ki unoh ne to sab umeed hi chod di hai, di ki shaadi ko ley kar. Samman aap baat karengey na?

Sm: uhh haan Kakul main woh mummy aur di se baat karke dekhoon ga.

Scene: Dining Table same night.

A: Arre Samman beta aaj office main kaam kaisa tha, koi progress hui?

Sm: Ji papa, ab agey se kafi improvement ayi hai aur lagta hai ki factory bahut cheti puri tarah se chalne lagegi. Aur mujhe lagta hai ki humien ek aur tender bhi mil jaiyega.

A: Yeh toh bahut achi news di tumne….hai na Uttra, ab dekho na hamare sare bache kitni tarakee kar rahe hain ab toh humien kisi bhi cheez ki chinta karne ki zaroorat nahi hai, hamare sarey bete ab is kabil hogay hain ki is ghar aur business ko sambhal payien.

U: Ji apne ik baat to theek kahi hai ki hamare bachon ne bahut tarakee ki hai. Lekin abhi bhi kuch log hain iss ghar mein jo nahi chahte ki hum apni zamedaariyon se azad hon. Jab bhi hamare ghar main kushiyaan ane wali hoti hain tab hi woh waar karte hain aur hamare iss ghar se aur meri Devika ki zindagi main udaasi bhar jaatein hai. Pata nahi woh kaun sa manhoos pal tha jab….

A: Uttra ab bas bhi karo. Hum yahan kya baat kar rahe hain aur tum baat ko kahan se kahan ley jati ho.

U: Ab maine aisa kya keh diya. Iss Kakul ki vaja se hi meri Devika aaj bhi kuwari hai…

Sm: Mummy please, aap Kakul ke bare main aur kuch nahin kehengi

U: Lo kyun na kahoon ab agar is ne meri beti ki zindagi barbaad ki hai toh main chup kaise baithoon. Samman tum…

A: Uttra BAS!!! Bas bhi karo kab tak, kab tak tum aise hi Kakul ko doshi mano gi. Usne bhi toh koshish ki thi na Devika ki shaadi karvane ki, lekin agar dosh hamari beti ki kismet aur kundali mein hi tha to hum kya kar sakte hain...

U: Dosh meri beti main nahi hain, dosh toh iss Kakul ki buri nazar main hai. Ye hi nahi chahati thi ki Devika aur Sujit ki shaadi ho isse leyi isne ye sara khel rachaye.

A: Agar usse yeh rishta hi nahi karwana tha toh woh ye sab kyun karti?

U: Usse is ghar mein direct entry chahiye thi iss liye, aur usse laga hoga ki aisa karne se woh iss ghar pe apna hukam chala payi gayi.

K: BAS Mummy ji, bahut hogeya…agar hum kuch kehe nahi rahe toh iska ye matlab nahi ki aap hum par aise illzaam lagi jayien. Hum bhi chahatiyen hain di Devika di ki shaadi ho

U: Toh phir tumne apne Jiju ke saath meri Devika ki shaadi kyun nahi hone di?

K: Kyon ki hum nahi chahate the ki shaadi ke baad jiju ko kuch hota aur…

U: Huh, aur kya haan? Iss mein bhi toh tum sirf apne bare main soch rahi thi, meri Devika ke bare main to tum ne soch hi nahi hoga.

K: Mummy ji aap aisa kaise keh sakti hain, humne ye shaadi Devika di ke bare mein sochne ke baad hi roki thi.

U: Agar tumne Devika ke baare main socha hota na toh aaj meri Devika shaadi shuda hoti, kisiki pati hoti

K: Agar humne Devika di ke bare mein na socha hota toh aaj woh shaadi shuda nahi bal ki widhwa hoti

U: KAKUL!!!

K: Nahi mummy ji, hum Devika di ko umar bhar ke liye kushiyaan dena chahate hain aur aap ko kya lagta hai ki woh widhwa ban kar kush reh pati…boliye na mummy ji, kya Devika di ik widhwa bankar kush reh pati?

U: Kakul tumne…

A: Ab bas bhi karo Uttra, kya jo hua tha woh kafi nahi tha jo ab tum inh purani baaton ko fir se utha rahi ho

U: Purani baatien, ab aap kaheyienge ki meri Devika ki zindagi, uski khusiyaan bhi purani hogi hain, toh kya main apni beti ko bhi bhul jayoon

A: Uttra, Devika sirf tumhari hi nahi bal ki meri bhi beti hai. Agar tumhe uski fikar hai toh main bhi uska pitaah hoon aur mujhe bhi apni beti ki fikar hai.

Scene: Everyone walks away leaving Uttra and Kakul face to face

U: Kakul tumhe toh main iss ghar se nikal ke rahoon gayi. Buniyaad to maine pehle hi rakh di thi ab uss par bus imaarat khari karni baki hai jis ke baad Samman toh kya koi bhi tumhe iss ghar mein nahi rehne deyga

K: Aap ko jo karna hai aap kariye mummy ji, kyun ki ab main bhi is jung ke layi tayar hoon. Aap apni imaarat khari kiye jiye, lekin yaad rakhiye jitni uchi imaarat utna hi uska toot ne ka daar

U: Main tumhari tarah kachi khiladi nahi hoon Kakul, meri rakhi buniyaad itni kamzor nahi hai ki uss par ik badi imaarat na khari ki jaye.

K: Mummy ji koi bhi buniyaad itni mazboot nahi hoti hai ki us paar khari gayi imaarat hamesha ke layi uchi rahi, ik na ik din woh imaarat aur aapke humien iss ghar se nikalne ke sapne mitti mein mil jayenge aur uss din apki shatranj ke mohre humare haath mein hongey. Aap ke haathon main lakeeron ke siva kuch nahi bachega.

U: Kal ki paida hui mujhe sikha rahi hai, huh…ab tum dekhna Kakul kaise main tum pe waar karti hoon, abhi toh tumhe mere hathyaaron ke baare main pata hi nahi.

K: Aur apko humare hathyaaron ki takat ke baare main nahi pata.

End Scene Both stare at one another with fire in their eyes.

Please Let me know how you like it so far and if there are any suggestions. I apologize ahead of time for my Hindi and spelling. I'm a 100% Punjaban 😊 so my Hindi may not be perfect but I'm trying my best. Hope you all like it and constructive criticism is always welcome😊
Edited by Tunster - 16 years ago

Created

Last reply

Replies

3

Views

1.6k

Users

4

Frequent Posters

savithri_karant thumbnail
Posted: 16 years ago
#2
ur dialog writing is excellent.. you can actually start script writing.
asokha thumbnail
Posted: 16 years ago
#3
😊 hi thanks for the story line, can understand hindi but english can be better. I want babuji and jijui teach a lesson to u and devika.
scribbles thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#4
omgsh please continue.!
i LOVED it.! and as savithri_karant said, your dialogues were amazing.. i could ACTUALLY hear the character's saying these dialogues.. i even had them in my mind (samman was wearing a suit -> what else? an dthat olive green shirt and tie he is so fond of, Kakul was wearing that glittery grey sari that she looks exceptionally hot in, Utthra that deep blue sari, and Amarnaat in his usual kurta-pyjama!)
you were AMAZZINNNGGG.! please please PLEASEEE continue.! =))))))).
and maybe in one of your episodes, you can have Daadi (i love this woman!) being mean to Utthra too.! that would just make my day<3<3<3

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".