FF:ek tha raja ek thi rani VOL 1 - Page 19

Created

Last reply

Replies

1.3k

Views

138.7k

Users

47

Likes

50

Frequent Posters

bsingapury thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
kya jawaab degi woh hai koi chaara ooske paas 😉 😉 i am working on that. proof is ready final editing ke baad may be tomorrow i will post it
sahib29 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 17 years ago

Hey beena am waiting yaar ..jaldi se update kar na ..pleaseeee😳

Manpreet

IrikaLovesKMH thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
Hi my name is Irika..
I am new in RKAB forum..
I just love your FF its fantastic.. 👏 👏
plzz cont soon...

Irika
bsingapury thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

Originally posted by: Irika

Hi my name is Irika..
I am new in RKAB forum..
I just love your FF its fantastic.. 👏 👏
plzz cont soon...

Irika

hi irika welcome to RKAB forum and you will have lots of fun here...and thanks for liking my FF i will post new part by tonight as it is very long and very important part i don't want my friends to feel disappionted

so manu only few hour wait please

bsingapury thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

PS: this part i will post in two sub part as it is very long and i don't want my friends to get bored reading too long part.

Part : 28
(1)
After hearing yudi's last word rani's lips were pulled back in a strangled scream. 😭 She was completely bewildered by the word yudi had told moment ago. Her face was tear stained. Yudi sat beside her, he was also feeling the same pain that rani was going through. 😭 He was not enjoying this torture he was giving to rani but rani had not left any way out for yudi. Yudi wanted to wipe her tears with his hand. He lift her face with his hand.

Yudi: hum jaante hain hum aapke dil ko dukh de rahe hain. Lekin aapne humare paas aur koi chaara nahi rahene diya hain. Ab aapki marzi hai aap kya chunti hai. Humari zindagi ya sachhayi. 😭
Rani: kunvarji aisa mat kahiye. Aap jaante hai aapki zindagi humare liye kitni kimti hain. Aaj ye kasam de kar aapne hume do raahe par laake khadaa kar diyaa hai. 😭
Yudi: nahi rani . do raahe par to hum khade huve hain. Ek taraf aap hai jise hum apni zindagi banaa na chaahte hain aur dusari aur humari marazi ke khilaf RB humari zindagi mai aa gayi hain. Aur sahi raashte par jaane ke liye hume sachaayi jaanni badi jaroori hain. Aapko humari kasam hai jo ab aap ne hume sachchayi nahi batayi to. 😭

Rani covered yudi's mouth begging him not to say such painful words.

"ooske aankho ke dard ke dariya mai yudi doob rahaa thaa aur woh kinaaraa dhundh rahaa thaa. Rani bhi ab besahaara thi aur koi raashta naa thaa ooske samne ees ke alaava ki woh yudi ko sachchai bataa de"

Rani stood up from the Charpayi and walked towards the god's staute that had been kept on front wall. In her mind she was asking god to bless yudi and give him courage to bear the truth, that she was about to reveal. Her back was towards yudi, she knew that facing him , she will not able to tell truth as pain on his face will make her very week.

Rani: jab paheli baar hum aapse RB banke mile dar asal aap bhool se hume RB samaj benthe. Hakikat main hum woh……

Yudi: ha hum sun rahe hain…aap saaf saaf bataayiye ,jaraa sa bhi na hichkichaayiye. 😳

Rani: hum woh kunvar Rudra se apni saheli gauri ko bachane ke liye RB banethe. Woh humari saheli ke pichhe aa rahe the aur humari saheli dar ke mare RB ke kamare mai aa gayi thi jahaa hum safaayi kar rahe the…to phir ooski madad karne ke liye hum ne RB ke kapde pahen liye aur kunvar Rudra ko waha se bhagaa diya…lekin ooske pahele hum apne kapde waaps pahen lete aap aagaye….(she paused for a while)….lekin hum aap ko sab shach bataa dena chaahte the isliye hum ghume aur aur…….

Yudi: aap humari baahon mai ghir pade ek hasin khvab ki taraha……. 😳 .(yudi was walking towards her)…………. Oosi lamhe ne jaise humari zindagi badal di.oosi ek pal ne humare dil ko dhadkna shikhayaa 😳 . Pyaar kyaa hotaa hain ye hume shikhayaa. Honsh kho bethe the hum aapki ek jalak dekh kar. Eesiliye kuchh samaj nahi paaye , jo dil ne chaahaa wahi ankho ne dekhaa aur wahi dimaag ne samjaa. 😳

Yudi was standing in front of her. He was starring at that beauty, that was looking mesmerizing even though she was in servant's attire. Some one had told the truth that to look beautiful one don't need to be wearing costly costumes, even simplicity sometimes bring out true beauty.

Yudi: oos din hum dhokaa khaa gaye aapko RB samaj ne kaa lekin dusari baar aap khud RB banke kamare mai bhethi thi kamare mai jab hum aapse humaaraa matlab hai RB se milne aaye tab. 😕

Rani was hesitant to tell more truth but the way yudi was stubborn to know truth she had to keep continue …telling truth.

Rani: woh…. Oos din RB ne khud hume….(she was stammering at all words…)
Yudi: RB ne kya rani saaf saaf bataayiye….

Rani: oos din RB ne hume khud oonki jagaah par kamare mai bheth ne ke liye kahaa thaa . taaki kisiko shak na ho ki woh kamare ke bahaar gayi hai. 😕

Yudi was astonished to hear this fact about RB. But one thing was bothering him "why RB wanted to go out?"

Yudi: lekin aisi kaun si majboori thi ki jiski wajah se oonko bahaar jaane ki jarrorat pad gayi woh bhi kisi ko pataa na chaale ees taraha….

Rani: woh onhe……woh sigaar pinaa chaahti thee. 😡

Rani can see yudi's shocked face who has became pale hearing this truth about RB. No words were coming out of his mouth he was standing there dumbfounded. Yudi held rani's shoulder and asked her again.

Yudi: rani aap jaanti hain aap kya kah rahi hain?
Rani: hum jaante hai ees sachchayi ko aap bardaast nahi kar paayenge eesi wajhaa se hum aapko nahi bataana chaahte the. Hum aapko dhookhi nahi dekh shakte.

Yudi was in dilemma, he was unable to understand how to react knowing this truth about RB. On his one side was rani who in her dream also cannot hurt yudi and other side was RB who did not even care about his feeling and prestige.

Yudi: so paheli baar humari bhool huyi aapko RB samajne ki , dusri baar aapki m ajboori thi RB banne ki. Lekin tisri baar oos raat ko, jo humari zindagi ki abtak ki sabse hansi raat hai 😳 , aap humare saath itne ghante rahi . oos raat ko kya huva thaa jo aapko waapas RB banana padaa?

Rani: oos raat ko RB hum apni marzi se bane.
Yudi: lekin kyun…agar aap apni marzise RB bani to phir hume sachchai kyun nahi bataayi.

Rani: jab hum kamare mai RB kaa khanaa lekar gaye to woh pichhe ke darwaaje se bahaar chali gayi. Woh apne dosto ke saath shaayad kahi gayi thi….ees se pahele ki hum kuchh karte waha aapka phone aa gayaa… to RB ki ger haajeri chhoopaane ke liye humne woh phone oothaa liya…lekin hume kyaa pataa thaa ki oose phone ko oothaana humase yes sab karwaayegaa….aur poori raat hume aapke saath rahenaa padaa …agar oos waqt hum aapko bataa dete to hazaar sawaal khade hote RB ke gaayab hone ke…

Yudi was inshocked hearing RB's "karam kahaani" 😲 the more he was listening about RB the more he was feeling disgusted 🤢 about her and same way more his respect towards rani was increasing ,who did not care about herself to protect his and his family's pride. 😳

Rani continued: lekin oos ke baad humne aap ko sachchayi bataane ki koshish ki lekin hum naakaam rahe….to phir humne aapko chiththi likhi

Yudi interrupted at this point : lekin jab woh khat humne padhaa tab tak bahut der ho chooki thi kyunki hakikat khud ba khud humare saamne chalkar aagayi thee.

Now rani was standing in front of him…………facing him with tears in her eyes and than sat on his knee she asked him…
😭
Rani: hume maaf kar dijiye kunvarji humari wajah se aapko bahut dookh jelna padaa…jaante hai hum maafi ke kaabil nahi hai phir bhi…….

Yudi stopped her in mid way and holding her shoulders made her stand 😳 …..she was crying her heart out….now there were tears in yudi's eyes too he held her chin with one hand and lift her face towards him. With other hand he wiped her tears out and asked her to look at him…

Yudi: rani maafi maang kar hume sharminda na kijiye..hakikat se bekhabar sapno ki duniya mai bum to khush haal ji rahe the lekin aap til til ees sachchayi ko jelti huyi jee rahi thi…bina koi swarth ya manshube se….maafi to dar asal hume aapki maangni chaahiye jo bina kaaran aapko humari wajaha se itne dookh jelne pade…..

He pulled her with him and made her sit on "charpai". He brought water from the pot ,that had been kept in one corner of that hut, and gave to rani 😳 . now rani was feeling very light hearted after telling everything to yudi. she felt that the burden she was carrying on her heart, since so many days,was suddenly disappear. She was now more calm and composed. As soon as she finished drinking water yudi took glass from her hand and kept that glass on the floor and he himself sat beside her.


Yudi: rani ab hum aapko jo poochna chah rahe hain ooska aap sach sach jawaab dijiyegaa. Kyunki oos jawaab ke saath kayi zindagi joodi huyi hain. 😳 Aap humari aankho main dekhiye. Hum jo ye aapse pooch ne jaa rahe hai ye sab humare man main oosi deen se hai jab humane aapko paheli baar dekhaa 😳 . Aisa mat sochiyegaa ki aapse RB ki hakikat jaan ne ke baad hum ye natije par pahunche hain.

Rani looked at yudi and he can see the question in rani 's eyes. However rani had inclination about yudi's question so she thought to be very careful while giving answer.

Yudi: kya aapke dil main bhi wahi bhaavnaaye hain humare liye, jaisi humare dil main hain aapke liye???? 😳

" sharm se rani ki ankhe jook gayi. Woh dar gayi kahi ooske dil kaa haal ooski aankhe byaan na kar de. Woh nahi chaahti thee ki ooski dil ki badhti dhadkan ooske dile haal yudi ko bataa de…. 😳 jab woh ooth kar jaane lagi yudi ne tabhi ooske haath ko pakad kar rok liya." 😳

Yudi: rani, sach sach bataye kyan aapbhi wahi mahesoos karti hain humare liye jaise hum aapke liye mahesoos karte hain?

Yudi stood up slowly, and now he was facing rani. Rani could not hold herself, she closed her eyes and she was chewing her lower lip with anxiety. Yudi with other hand lift her face towards him.

Yudi: rani , apni aankhe kholiye aur humari aankho mai dekh kar bataaye ki kya aap humko pasand karti hain ya nahi? 😳

Rani slowly opened her eyes. She knew that yudi is too desperate to know her answer and no body can stop him today, she has to give answer of his question today.

Yudi: hum aapki aankho se jaan shakte hain aapke dil ki baat lekin hum aap ke muh se sunna chaahte hain. 😳

" rani ka rom rom jaise mahek oothaa ho 😳 ..yudi ke saparsh ne jaise ooske badan ki saari kakiyon ko khila diya hon 😳 . hayaa ki laali ooske chahere ko aur khubsurat banaa rahi thee. Lekin woh wastviktaa se anjaan nahi ho shaktithee. Aur hakikat yah thee ki woh ek raajkumaar thaa aur waha khood ek maamuli naukrani 😭 . kaise woh bhool jaati dono ke bheech ki ye itni badi khaayi ko 😕 . Kaise mumkin thaa dono ka Milan. Eesi vichaar ne jaise ooske chahere kaa noor chin kiya 😕 . Ooske badan se ek kamp saa pasaar ho gayaa. Aur ooske chahere ke badalte rang yudi ki nazaro se chhip nahi paaye aur yudi ko rani ki ye khaamoshi bechen banaa rahi thee.

PS:next sub part i am posting in short while till enjoy this

i wanted to write that rani narrated all truth to yudi and wanted to go ahead but than i decided to write truth with their and especially yudi's expression so this part became bit longer hope you won't get bored of that please let me know

thanks

Edited by bsingapury - 17 years ago
bsingapury thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago

(2)

Rani was shivering with fear. Yudi could sense that something was bothering rani and he wanted to know that. 😕

Yudi: rani jo baat aapke dil main hai bataa dijiye. Ye khaamoshi ab humse bardaasht nahi hongi. Jobhi hoga hum jel lenge….
Rani : kunvarji, aap jo chaahte hai woh mumkin nahi hain. 😭

Her face was creased with sorrow and her voice was stumbling. Her emotions were choking her voice. Yudi could understand her suffering. Yudi was still holding her hand and he could feel that rani's hands were sweating with fear. 😕

Yudi: lekin kyun? Kyaa aap hume nahi chaahti yaa hum aapke laayak nahi hain. 😭

Rani: kunvarji, aap ye kya kah rahe hain. Aap agar kisi ki bhi ladaki ki zindagi main aa gaye to woh ladaki ees duniya ki sabse khush kismet ladki hogi. 😳 Lekin……

Yudi: hum kisi bhi ladki ki nahi aapki baat kar rahe hain 😳. Hum aapko kyun apni zindagi ka hissa nahi banaa shakte? Kisiki khush kismati banane kaa hume koi shokh nahi hai 😭 . Hum aapko humari khush kismati bananaa chaahte hain. 😳

Rani released her hand from yudi's hand and moved away dejected. She turned away from him and blurt out the fact that was bothering her and, that was increasing distance between them. 😭

Rani: kyunki aap ek kunvar hain aur hum ek naukrani sirf ek naukrani 😭 . Aapka aur humaara koi mel nahi.
Yudi: hum ye sab nahi maante.

Yudi again held rani by her shoulder and turn her towards him. Rani now looking directly in his eyes with very firm look on her face.

Rani: aapke maan ne ya naa maan ne se kya hota hain. Hakikat yahi hain. Aap aur hum nadi ke do kinaare ki taraha hain jo saath chal to shakte hain lekin kabhi mil nahi khakte..... 😭 Dharti aur ambar milne ki koshish jaroor kar shakte hai aur aisa aabhaash bhi uttpann kar shakte hai leking woh kabhi mil nahi shakte….yehi sachachayi hai 😭 ..…aur oosi taraha hum do no ka Milan bhi shkya nahi hain…. 😲 💔 .aapki sagaayi RB se ho chooki hai. Aur aap hume bhool kar oonhi ke saath jine ki sochiye oos main hi sab ki bhalayi hain. 🥺

Yudi's heart was sinking hearing whatever rani had told him. However , whatever she had just now said was true, yudi was not ready to accept it. Disapproval was written all over his face and with the note of a finality in his voice he told rani….

Yudi:hum nahi maante dunniyaa ki ye saari joothi divaaro ko. Hum kunvar apni marzi se nahi bane humare janm se bane. Oosi prakaar aap naukaraani hai woh aapki koi majboori hogi. 👏

Slowly his hand slipped from rani's shoulder to her hand. He held her hand and caressing them with lots of affections.

Rani: lekin…
Yudi: lekin bekin kuchh nahi ab aap humari baat suniye bahut soon li humne aapki baat 👏 . Aadmi badaa ya chhota janam se nahi hota lekin apne karm se hota hai. 😳 Kis ved ya dharm shaashtra main likhaa hain ki sirf kunvar yaa kunvari hi achhe hote hain. Aur agar likhaa bhi hain to hume nahi yakin oon par. kyunki sachachaayi humare saamne hain…..RB kunvari hone par bhi oon me kunvari ke ek bhi lakshan nahi hain 👏 , kunvari ke to kya ek achhe insaan ke bhi ek bhi gun nahi hain. To kyaa woh apne karm se apne janm ki shobhaa badhaa payi…. 😕 nahi…. 😳

Aur ek taraf aap hain jisne apne karm se saabit kar diyaa ke, sanskaar, svabhaav, achhaayi in sub sadgun kisi oonchi garaane ki jaagir nahi hain 👏 . lekin ye sab hare ek ko apne maa baap se miltaa hai, ya woh khud oose apnaataa hain. To karm se aap bahut badi he humse bhi badi hai…. 😳

Rani : lekin………
Yudi: kuchh nahi humari baat abhi khatam nahi huyi hain… 😃 humare janam ki wajaah se aaj hum jo bhi hai ooske liye aap hume itni badi saja naa dijiye….oos kesu o ke phool ki kya khataa thee jo kaamdev ki galti ki sajaa oonhe mili…oonho ne to kaamdev ko nahi kahaa thaa ki ooske zaad par beth kar woh bhole shambhoonaath ko kaam baan mare. Aur badle mai bhole naath ne kesu ke zaad kohi jalaa diya, aur jab oose jivan daan vaapas diya to oos se ooski khooshboo hi chhin li gayi thee….. aap oosi taraha humari jo galti nahi hai ooski sazaa hume naa dijiye…. 😭
Aapke bina humari zindagi bhi aise phool jaisi ho jaayegi jiske paas sab kuchh hai lekin khushboo nahi. aur koi bhi phool ki ooski khushboo ke bina koi pahechaan nahi hoti. 😳
Aapne kahaa hum nadi ke do kinaare hai …nahi hum kahete hai aap nadi hai aur hum samdar . aur nadi ki manzil samundar hi hota hai 👏 ….aap dharti aur hum amber aisaa aap ka maannaa hai lekin ….hum kahete hai hum chand hai aur aap humaaro chandani . aur har koi jaantaa hai ke chand ki chandani ke bina koi pahechaan nahi. …
Ab ye sab nahi to sirf thodi der ke liye ye soch lijiye ki hum koi kunvar nahi sir aur sirf ek insaan hain….kyaa eeske baad bhi aapka wahi jawaab rahegaa???

Rani was speechless after hearing yudi. She was deeply in love with yudi and she knew that now all her argument would be lifeless and no argument would be able to convince yudi. There was spark on rani's eyes and glow on her face.

"woh sharm ki laher thee jo ooske chahere se jalak rahi thee. 😳 Oosne apne chahere ko dono haatho se chhipa liya, jaise woh hayaa se apne pyar ka izhaar na kar rahi ho…kyunki aakhir mai hayaa hi ladki kaa shabse badaa gahenaa ya shrungaar hota hain. 😳 "

"ye baat naa samaj shake itna budhhu to yudi nahi thaa 😉 . Chahek ootha woh bhi is ikraar ke pratibhav se" apne ees pyar ki jit par muskuraah oothaa woh bhi. Apne dono haatho se rani ke kubsoorat chahere se rani ke haath ko hataate huve.

Yudi: aap bahut khubsoorat hain. Aur aapki ye saadgi aur ye hayaa aapki khubsoorti ko chaar chand lagaati hain 😳 . Eesi saadagi ke hum deevane ho chuke hain. Ab aap humse ye vaadaa kijiye ki aap humse aur nahi chhoopegi. Bahut ho gayaa ye chhoopaa chhoopi kaa khel. Humesha humare saamne rahengi aap. Aur woh bhi muskuraati huyi, kabhi aapki ankho main hum aanshu naa dekh paaye aap ye khyal rakhnaa aur hum bhi rakhenge. 😳


" rani jaise paanv main bajati ghungharoo ki taraha thirk oothi. Aam ke ped par jab more(flower) bethte hain to koyal kuhukoo kar oothti hai oosi taraha aaj rani ke man ki koyal dol oothi thee. Ooske rom rom se jaise tarang baj rahe the.jaise dukh ka suraj dub gayaa ho aur such ka suraj oogne lagaa hoa." 😳

Yudi ki najdiki jaise ooske badan ko sulga rahi thee aur woh jaise shamaa banker pigal rahi thee.
Rani ke pyar ki deevangi ne jaise yudi ke man mayur ko bhi chahekaa diyaa thaa. Yudi ke dilon dimaag par bhi rani ke pyar ki deevangi chhaa gayi thee. Aur woh rani ke itne karib khadaa ho gayaa thaa ki dono ki saanse ghool rahi thee ek dusre ki sanso main. Dono ki dhadkan jaise ek ho rahi thee ….lekin tabhi apne honsh sambhaalte huve rani ne yudi se jatke se door hote huve masti se kahaa

Rani: ab chaliye driverji, warnaa mahel main sab humari raah dekh rahe honge…agar ab yaha jaraa saa bhi rooke to bahut der ho jayegi….. 😆 😆

Seeing her in very light mood yudi also could not stop himself

Yudi: achchhaa ji , rani ji , jaraa jaane se pahele ye to bataa dijiye…wahaa oos mahel main humare alaavaa aur kaun hai jo aapki raaho main phool bithaa kar bethe hain….hum bhi to jaane aur kitne deevane hain aapke…. 😆 😆

Rani :dhatttttttt 😳 😳 😳
And she ran out towards car.

Rani's crimson face glow with shyness, the way she was blushing so furiously that even tips of her ears turned red!

"ooske dil ki khanak ooske paayal ki jankaar ban gayi thee. Aur ye khanak yudi ke dil ko bhi khankaa rahi thee. Aaj eetni saari khushiyo ko bator ne ke liye dono kaa anchal bhi kam pad rahaa thaa. Dil ki bagiya mahek rahi thee aur rani ka dil jaise aaj yahi gungunaa rahaa thaa" 😳 😳


Kanto se chir ke ye aanchal
Tod ke bandhan baandhi paayal
Rook na ees dil ki udaan ko
Dil woh chala ahaahaa haaa

Aaj phir jine ki tamanaa hain
Aaj phir marne kaa iraadaa hain

Apne hi bas main nahi main
Dil hain kahi to hoon kahi main hoo
Koi bataaye mai kahaa hoon
Dil ne phir aaj hans kar kahaa ahaaaahaa

Aaj phir jine ki tamanna hai aaj phir marne kaa eeraadaa hain


Ps: kesu flower's story i will explain in next post. and mango's flower are called " more" in local language.

this is my first atempt to write romance though i know i am not good at it but i am trying to improve it so please do write your comment as it will make me understanf where should i have to improve.....
thanks
sahib29 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 17 years ago

Beena Both parts are awesome 👏 👏 u are very talented 👏 😳 ..Thanks god rani ne sach keh diya 😳 ..pata nahi serial meh kab kahegi ??? 😡 ...but yaha kaha toh thordi umeed hai ki jaldi hi aayega yee pal serial meh 😳 ...Great parts yaar .. i love yaar jis tarah tum unki feeling ko alag alag example de kar explain karti ho 😳 ..and love scene was very nice 😳 ...par yaar bahut small tha 😆 ...humhe aur chahiye ...we want More ...we want More ...payal main sahi keh rahi hoon na ?? 😉 😆

Kab likh rahi ho next part ??? am waitingggg 😳

Manpreet

Edited by sahib29 - 17 years ago
pop77 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
awsome part Beena..
thanks beena tumne kuch purani books yaad dilayi which yudi ne rani ko bola..

'Pyar Hua Ikrar Hua, Pyar Hua Ikrar Hua'

ye show me kab hoga..show me to rani yudi ke sath pakdo pakdo khelti hai..

mannu@ humhe aur chahiye ...we want More.. me tere sath hu.. 😃
next part kyare?
jaldi jaldi.. 😉
bsingapury thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
thanks manu for liking ekraar scene i might say 😆 😆 as this is just the part they have accepted their love so i thought if i will write more than it will look very awful. because as character we know they are very shy so they need time 😆 😆 but i promis they will not take very long 😉 😉

and payal i promis to you also that now only romance will be there with unfolded secret so will have lots of fun... 😆 😆
and i have to explain that kedu flowre's story that i have given in next post.
bsingapury thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
kesu flower

it has been believed that in mythological books that when demons attack heven and all gods were in touble some god gave boon (i don't remember proparly who and how) but according to that boon only lord shiva's son can kill that demon
but lord shiva was in meditaion on kailash parvat at that time so god was worried that what will happen now. gods than ask help from Kamdev who can injured lord shiva with ,His kaam baan so than shiva can give son.
to help god kaam dev sat on Kesu flower's tree and aim lord shiva with arrow when lord shiva came to know about this he was very angree and he burn Kaam dev with his anger but in that process that kesu tree also burned with Kaam dev....so when lord shiva's anger sub dued RATI(kaam dev's wife) ask for forgiveness and lord shiva also realised so he forgave kaam dev and he gave life to Kesu flower also but in that process some harm has to be done and that's what haapen innocent Kesu flower lost his fregrance.

i hope you know what kesu floweres are they are bright orange color flower. they are very beautiful flower and grow in very big quantity but because they don't have flower nobody use them. (i tried to find it's english name but could not find it if someone know can help me)

and if some thing i am missing inthis story and someone canhelp me i will be happy.


so when i used for yudi i meant to say that the way kesu was innocent though it was punished for someone e;se's mistake , yudi is also innocent because he is kunvar that is not his mistake .

thanks all

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".