Updated part 13. Please do read and drop in your comments. Planning to complete this one today hopefully🥰🥰
DASHI FUTTT 21.8
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Aug 2025 EDT
THAKELA LOVE 22.8
Book talk reading challenge September 2025 ~ Sign up open!
Chal jhooti; Shaadi ka Har nhi Fansi ka zehrila Fanda (pics only)
August disaster. Will Param Sundari save BW this month?
Mann main koi aur, shaadi se kisi aur
Bluffmaster IF Season 1 (Sign-up Open)
Anupamaa 21 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Vivek Agnihotri - Nobody Should Name Their Child Taimur
Geetmaan finally got married 😍
Danger - Param Sundari | Sidharth M, Janhvi K | SONG OUT
27 years of Dil Se
When you’re in love with ddp
🚨 Scheduled Downtime Notice 🚨
Important Notification regarding IF
Pick one Emraan Hashmi song
Updated part 13. Please do read and drop in your comments. Planning to complete this one today hopefully🥰🥰
Positive kaise? Dev ne kuch nahi Kiya.. galat baat hai.. jaldi se update karo chalo
No no no plz no positive ...
Dev is innocent 🙏🏻🙏🏻🥺🥺
Plz update soon.. 🙏🏻🙏🏻
pehle toh itna late update aya ki main pichli story bhool gyi thi, previous part maine read kiya story se familiar hone ke liye. 😆 ViDev's romantic night was beautiful. But DNA report positive ayi, omg, ab kya hoga, videv alag ho jayenge? pls ab next part jaldi update karna, der mat karna. 😒
Its been quite long, please update
Is there any plan to update this ff
Originally posted by: Saloni_1235
Is there any plan to update this ff
Yes I will.. thanks for asking❤️
Thoda Jaldi karna, we are waiting ✨️
Kitna time hogaya yaar
Part 14 :
Amba was pacing around in her house tensedly, when Yogesh reaches there.
Yogesh : Kya hua Amba, itna pareshaan kyun lag rahi ho?
Amba : Main woh DNA report ka wait kar rahi hoon
Yogesh : DNA report.. kaunsa report ?
Amba : Oh main tumhe bataana bhool gayi. Pata hai Divya ne secretly Dev ke hair sample le hai aur usse apna DNA match karwarahi hai. Aaj woh report aayega, main usi ka intezaar kar rahi hoon. Isse Dev aur Vidhi ka rishta hamesha ke liye toot jaayega.
Just then Amba's phone rings and she takes it, while Yogesh is trying to process what Amba has said.
Amba : Yogesh , report positive aaya hai. Pata nahin mujhe iss baat ka dukh hai ki koi aur Dev ke bacche ka maa hai ya phir iss se khushi hai ki ab Vidhi aur Dev kabhi saath nahin ho sakte.
Yogesh : Kya.. report positive aaya hai?
Amba : Haan.. obviously. Tumhe doubt tha
Yogesh : Nahin.. matlab mujhe nahin lagaa ki Dev aisa kucch karega
Amba : Woh drunk tha.. to hogaya hoga. Divya to bilkul uski parcchayi hai.. woh class, business sense sab kucch. Jo bhi ho ab to Vidhi uske zindagi se door jaayegi aur Dev akela padjaayega.. aur main use sambhaloongi.. lekin lekin agar Dev ne Yamini se shaadi karliya to.. to mera kya hoga
Yogesh : Dev aisa nahin karega. Woh Vidhi se pyaar karta hai aur Yamini bhi nahin karegi.. agar use shaadi karni hoti to bahut pehle karti
Amba : Paagal ho kya Yogesh.. Yamini to kya koi bhi ladki aisa mauka nahin chodegi. Dev hai hi itna pyaara, kitna hamdsome, intelligent, aur dynamic hai...bas uske personality mein hi kucch magic hai..sab usse pyaar karte hai
Yogesh : Shut up.. just shut up Amba.. aage kucch mat bolna. Kucch khaas nahin hai Dev mein, woh bhi sab logon ki tarah ek normal insaan hai.. usse bas apna paisa dikhakar sabko manipulate karna aata hai.
Amba : Yogesh.. how dare you.. Dev ke baare mein kucch mat bolna, he is the best
Yogesh unable to control his anger anymore charges at Amba and throttles her neck.
Yogesh : Aage kabhi bhi Dev ka naam mat lena. Main tumse bahut pyaar karta hoon. Tumhe mujhse shaadi karna hi hoga
Amba : What nonsense.. main tumse shaadi.. sochna bhi mat. Aur tum apne aap ko samajhte kya ho.. agar Dev ne tumhe company mein job nahin diya hota to tumhara aukaat hi kya hai, Dev jaisa business kabhi nahin kar paaoge aur Dev jaisa persona..
Yogesh : Dev Dev Dev.. nafrat hai mujhe iss naam se aur us insaan se.. bachpann se yehi sunta aaraha hoon.. mere maa baap yehi kehte the Dev jaise marks laao Dev jaisa MBA karo.. uske baad jiss ladki se pyaar kiya woh ladki Yamini bhi Dev ko hi chahne lagi.. aur tum Amba maine tumhe kitna support kiya.. tumne mujhe use kiya aur abhi bhi Dev se hi pyaar karti ho.. aur sab se badi baat Dev sirf mere zindagi ka hi nahin par mere bete ke bhi zindagi ka kaanta bangaya hai.. Arjun ne kitna pyaar kiya Vidhi ko aur Vidhi kisse pyaar karti hai.. Dev se.. agar mera bas chale to main Dev ko maar hi doon
Amba : Yogesh.. yeh kya kahrehe ho.. paagal ho kya.. mujhe laga tum Dev se uske paison ke wajah se jealous ho.. par tumhare andar to itna nafrat hai.. dekho Yogesh.. main kabhi tumse pyaar nahin karoongi
Yogesh : Agar tumne mujhse shaadi nahin kiya na Amba main tumhara bhi wahin haal karoonga jo Yamini ka kiya hai
Amba : kya tum Yamini.. matlab tum
Yogesh : Haan maine Yamini ko uss din party main drug kiya tha aur use r*pe kiya... aur Dev ko bhi maine hi drug kiya. Dev ko nashe ki halath mein maine Yamini ke bed par chod diya tha.. mujhe laga yehi inn donon ke liye sabse badi sazaa hogi.. mere galti ka ilzaam Dev par lagega aur use Yamini se shaadi karni padegi.. par Yamini ne Dev ko blame nahin ki aur apne rasta chali gayi..
Amba : To is ka matlab..Divya
Yogesh : Divya meri beti hai
His rant is stopped abrubtly when a tight slap lands on his cheek. Yogesh is stunned to see the person who slapped him was Divya. Along with Divya, there were Dev, Vidhi and Yamini too.
Yogesh : Tum sab.. yahaan
Dev moves Divya away and punches Yogesh hardly. He falls down on the ground.
Dev : Mujhe kahin pata tha ki tum mujhe lekar jealous ho par tum itna ghatiya nikloge ye maine kabhi nahin socha tha
Amba : Dev tumhe pata tha issne
Dev : Nahin.. yehin pata lagaane ke kiye maine Divya se jhoot bulwaaya tha..
[ Yesterday night, after Dev and Vidhi had a passionate time, Vidhi slept off on Dev's shoulder, while he could still not catch up on sleep, considering the circumstances. He then gets a message on his phone, which turns out to be from Divya, asking to meet him urgently. He sends her his location and awaits her. When Divya informs him of her arrival by SMS, he carefully wakes up not disturbing Vidhi and goes out to meet her.
Dev : Divya kya hua.. itne raat ko tum zidd karrahi thi milne ke liye
Divya is on verge of tears and shows him the report. Dev takes it with a fear but also a new found courage given by Vidhi. It reads " Negative ". He has never been so relieved in his entire life, as if a heavy stone has been taken off his chest. He is entirely Vidhi's by heart and soul and he inwardly thanks all the gods for helping their love to stand strong in these testing times. While he is relieved, he looks at Divya who appears in utter disbelief.
Dev : Divya.. main tumhara.. tum tum kya soch rahi ho
Divya : Pata nahin main kya soch rahi hoon, bachpan se maine kabhi apne papa ke baare mein nahin socha tha.. aur kucch din pehle jab kisine mujhe suddenly bataya ki aap mere dad ho, tab bhi maine seriously nahin liya.. lekin ek din maine apne mom ke cupboard mein aapke pics dekha aur mujhe pata chala ki woh aapse pyaar karti hai. Apne mom ko confront kiya aur unhone uss drunken night ke baare mein bataya. Phir bhi mujhe bura nahin laga, yeh sochke ki mein apni mom ki pyaar ki nishaani hoon. Lekin yeh report..
Dev : Divya mujhe kucch yaad nahin hai.. I don't know how to explain
Divya : Nahin main samajhti hoon.. par meri mom bhi jhooti nahin hai.. woh kabhi aisa jhoot nahin bolegi.. I don't know unhone aapka naam kyun liya.
Dev : Ek minute.. tumhe ek call aaya ki main tumhara dad hoon
Divya : Haan.. kisi aurat ne ye bataya tha
Dev : Kab
Divya : Kucch do mahine pehle
Dev : Tabhi meri aur Vidhi ki shaadi tai huyi thi.. iska matlab kahin Amba ne ye jhoot to nahin banaya. Par Yamini to jhoot nahin bol sakti..I am sure of it. Isska matlab Yamini mere room mein thi yeh sach hain.. lekin poora sach nahin. Par yeh Amba ko kaise pata hoga.
Dev tries to connect all the dots and comes to a conclusion that Yogesh has got something to do with it.
Dev : Yogesh ne Amba ko bola hoga, par usne mujhe kabhi poocha kyun nahin.. jo bhi ho asli sach to zaroor Yogesh ko pata hoga..
Divya : Lekin Dev sir woh aise hi nahin batayega na
Dev : Yogesh ko uske plan mein hi phasaana hoga.Use ye to pata nahin hoga ki tume test karaya.. ab iss report ko badalke usko confuse karna hai.
Divya : Matlab
Dev : Main doctor se baat karoonga aur apna consent deta hoon galat report banane ke liye aur apne staff ko bhi yehi batane ke liye.. I am sure koi na koi ye baat Amba tak pahunchayega ]
Dev : Yogesh, mujhe laga tum jaisa darpok hamare college ke kisi bande ko cover up kar raha hoga.. lekin tum khud itna ghatiya kaam karoge yeh maine kabhi nahin socha
Yamini is devastated after hearing this and collapses, Divya with help from Abhi and Priya takes her away to the hospital.
Yogesh : Haan main aisa hi hoon, nafrat hai mujhe tum se.. chodoonga nahin main tumhe
Yogesh starts searching for something in the cupboard, meanwhile Amba and Vidhi rushes to Dev
Amba : Dev, mujhe bachaao, dekha Yogesh kaise mere peeche pada hai, main to sirf tumse pyaar karti hoon, tumhare liye Divya ko bhi apnane ke liye tayaar thi.. Vidhi ko chod do aur mujhse shaadi karo
Dev is bewildered seeing Amba still singing the same tune. Yogesh comes back with a gun and points at Dev.
Yogesh : Dev..bas hogaya.. jab tak tum zinda ho mere zindagi mein kucch accha nahin ho sakta hai. Main hamesha doosra bankar rahoonga par tum nahin rahoge to mein aage aajaoonga. Tumhe marna hoga Dev
Everyone is shocked with the turn of events, and when Yogesh is about to shoot the bullet, Amba hides behind Dev, while Vidhi comes in front of Dev to shield him. Dev pushes himself along with Vidhi and Amba on to the ground as the bullet hits the wall behind. Dev gets up and holds Yogesh and punches him, taking away the gun. After a brief tiff, the police arrives there and takes him away. Dev runs to Vidhi who is in shock that Dev could have been killed
Dev : Vidhi.. paagal ho gayi ho kya.. mere saamne kyun aayi ho.. tumhe kucch ho jaata to mera kya hoga.. main kaise jeepaaonga
Vidhi : Aur aapko kucch hua to mera kya hoga.. mujhe bas aapki zindagi se parvah hai.. agar main mar bhi jaaon to mujhe koi pharak nahin padtha
Dev hugs Vidhi tightly, while her parents and Satya gather around them. Vidhi breaks the hug realising something.
Vidhi : Woh Ambaji..
She looks around and sees Amba being in shock herself. Vidhi goes to Amba to comfort her.
Vidhi : Aap kaisi ho.. zyaada chot to nahin lagaa na
Amba doesnot speak anything and Vidhi tensed if she is hurt, shakes her to speak up. Dev also joins her. Amba finally looks at Vidhi and Dev with tearful eyes.
Amba : Mujhe samajh mein nahin aaraha hai main kya kahoon.. abhi jo hua hai iss incident ne meri aankein khol di hai.. aaj tak mujhe laga ki main Dev se pyaar karti hoon.. par aaj jab baat meri aur Dev ki jaan par aayi to maine aasani se apne aap ko chun liya.. par Vidhi ne apne jaan se pehle Dev ko rakha hai.. aaj tak jo mujhe pyaar laga woh sirf mera junoon tha ek ego tha ki mujhe koyi kaise reject kar sakta hai.. par Vidhi ne pyaar ka matlab jataya hain.. Dev.. Vidhi please tum donon mujhe maaf kar do.. maine tum donon ki life mein bahut saare problems laayi hoon aur Divya ko bhi maine hi call karke bulaayi thi
Dev : Main samajh gaya hoon ki Divya ko tumne bulaaya.. par tumhari iss chaal ke wajah se Yamini aur Divya ko insaaf mila hai.
Vidhi : Aur agar aapne sach mein pyaar ka matlab seekha hai to isse acchi baat aur kya hoga aapke liye.. abhi aap apno zindagi bina nafrat se jee bhar ke jee sakte hai
After a week at Raichand mansion
Divya : Thank you so much Dev sir aur Vidhi.. tumhe bhi.. aap logon ki wajah se hame nyaay mila hai.. hum aaj wapas London jaa rahe hai
Vidhi : Divya.. ab Yamini ji kaisi hai?
Divya : Abhi bhi rehab treatment chal rahaa hai.. mom mentally bahut disturb huyi hai.. par hum poori koshish karrahe hai ki hum isse baahar aaye. Itne din mere dad jaisa koi hamare saath nahin the, par mom mujhme apna pyaar doondthi thi.. par jab unhe pata chala ki main Dev sir ki nahin par.. kabhi lagta hai ki shaayad mujhe yahaan aana hi nahin tha.. to mom apne soch mein hi khush hoti ( and she breaks down )
Vidhi : Divya.. jo bhi hua usme tumhari koi galti nahi
Dev : Haan Divya..mujhe pataa hai yeh mushkil hai par tum apne aap ko blame mat karo.. aur tumne sacchayi ke liye ladaa yehi sabse acchi baat hai.. I hope Yamini tumhari taraf kucch nafrat to nahin..
Divya : Nahin sir.. jo bhi ho mein unki beti hoon.. haan woh upset thi.. par itni kamzor nahin ki mujhe disown kardegi.. waise bhi hum donon hi independent women hai.. hamari life kisi bhi aadmi ke upar depend nahi hoga
Dev : Well said Divya.. tum bahut brave ho..all the best for your future. Agar kabhi bhi kucch zaroorat pade to please hame bataana
Divya : Sure sir.. in fact maine aapse business ke baare mein bhi bahut kucch seekha hoon.. ab yeh hamare apna set up mein bahut kaam aayega. Good bye everyone
Divya bids farewell to everyone and leaves.
Satya : Accha hai yeh ladki itni samajhdaar aur bahaadur hai.. yeh apna bhi khyaal rakh sakti hai aur apne maa ka bhi
Dev : Jaante ho maa iss ladki ko yeh sab kaise aaya hai.. kyunki iss ladki ki maa ne ise apne kaam karne se kabhi roka nahin hai.. ise apne professional life mein aage badne se roka nahin hai.. iski aur hamari Chitra ki umar mein zyaada pharak nahin hain maa.. infact yeh usse bhi choti hai par duniya Divya ne zyaada dekhi hai.. Amba aur Vikram ne Chitra ko shaadi ke naam par bahut manipulate karne ki koshish ki hai.. yeh sab nahin hota agar Chitra ek strong independent ladki hoti to..
Satya : Dev.. tum kya kehna chahte ho main samajh rahi hoon.. par tumhe bhi pata hai hamare ghar ke niyam
Dev : Kaisa niyam maa.. aise niyam ko hum kyun follow karein jo hamare apnon ko takleef de rahe ho.. Pitaji ne yeh niyam iss liye rakha kyun ki auratein kahin apne pariwaar ko neglect na kare.. Priya ne MBA ki hai use business mein interest hai.. lekin hamare ghar ke niyam ke dabaav ki wajah se uski family life par asar pada hai.. Vidhi mujhe chahne lagi kyun ki maine use apne career mein support kiya.. aur ab hamare pyaar ka wajood hi khatam ho gaya hai maa... aur kal agar mujhe kucch ho gaya to Vidhi ka saath kaun dega
Satya : Dev tum aisa mat bolo.. tumhe kucch nahin hoga
Dev : Maa main bas itna samjha raha hoon ki jo niyam hamare rishton mein daraar laaraha hai.. hamare apnon ko takleef de raha hai.. use chodna chahiye maa
Satya thinks about it for a while and finally agrees with Dev. She gives permission for the girls of the family to work in the office and everyone is celebrating this news. Dev and Vidhi sneak a moment amongst the chaos in a corner.
Dev : Finally ab tum MBA poori karsakti ho aur uske baad hamare office join karlena.. aur phir tum mere upar line maarsakti ho
Vidhi : Kya.. maine aapke upar line nahin maara
Dev : Accha.. mujhe pata hai tum kaise mujhe chupke chupke dekhti thi
Vidhi gets shy and tries to run away, but Dev pulls her back into a hug
Dev : I am glad tumne mujhe pyaar kiya, propose kiya warna mere zindagi to bas naam par chal rahi tha.. tumne aakar mujhe jeena sikhaaya Vidhi.. I love you so much, thank you for everything.
Vidhi : I love you too, Dev.
Dev folded his hands before Maa Milapini's idol. Dev's view Maa Milapini mein zyada puja paath toh nahi karta par Vidhi ke aane ke baad mein...
13