Sorry , for the long wait, couldn't get time to update . But finally here is the chapter . Grammatical mistakes ko please ignore kar dena .😛
Chapter-6
Tara is sleeping, on rays falling on her she puts her hand in front of her. Then someone kisses on her cheeks.
Tara: Suprabhat, Chikitsak Dhruv . Chalo utho subah ho gayi h na !
Dhruv is seen , in a small room with minimal furniture. He is on the charpai . When a sunray falls on him . He turns his back , when he hears something and open his eyes a little sees Tara standing there and saying ' Suprabhat Chikitsak Dhruv, ab uth jao subah ho gayi h , aur kitna soyoge .
Dhruv : (rubbing his eyes ) Jaise tum mujhe sone deti ho . Har subah mujhe avaaj deke uthane aa jati ho ,aankhe humesha tumhe dekhkr hi khulti h .
Tara : To vo to hum karenge hi , tum itna mahtvapurna karya krte ho deri se uthoge to kaise kaam chalega ab jao , jaakr taiyaar hoiye .
Dhruv goes near and kisses her on her cheeks . Tara dissappears and he realises that it was his imagination.
Dhruv : Tum na hokar bhi mere pass ho , ab bus aise hi mere saath rehna humesha .
He goes to get ready .
In Saxena house.
Jai (on call ) : Thik h , to tu vaha jaa raha h , ok main chachi ko bata dunga , chal main rakhta hu , apna dhyan rakhna .
He cuts the call.And comes in the hall.
Jai : Chachi , Dhruv ka phone aaya tha , bol raha tha ki vo use emergency ke liye Rudraprayag jaana padega , isliye agar vo phone na uthaye to chinta mat kariyega .
Susheela: Hum chinta kahe na kare , aur usne hume phone kyu nahi kiya , tujhse kahe sandesh bhijwa raha h aur ye Rudraprayag achanak se kyu , vo to dehradun mein tha na ?
Lalita : Ari ,behen sawal hi puchhti rahegi kya ,use bolne to de ,Jai bol !
Jai : Chachi , usne aapko phone kara tha aapka phone lag nahin raha tha isliye usne mujhe phone lagaya. Aur vo Dehradun se Rudraprayag isliye h kyunki per landslide aaya hai ,aur vaha doctors ki jarurat hai, chala gaya waha par .
Sushila : Ye kuchh nahi batata hume , abhi Uttrakhand mein h , pichhle mahine Jammu mein tha , humari bilkul chinta hi nahi karta ye 😔
Ayesha: Chachi, aisa kyu bol rahi ho , batata to h aapko sab kuchh .
Sushi- kya batata h ,abhi 6 mahine pehle , jab vo Sikkim mein tha uska haath fracture ho gaya tha, usne hume bataya , jaan ka jokhim hota h. 3 saal ho gaye hum se mil ne bhi nahi aaya h
Taiji : Haa, maante h , Parr kaam bhi to punya kamane vala h na , ab dusron ki jaan bachane se jyada punya ka kaam kiya ho sakta h , use Kuchh nahin hoga ham uske liye Itni prarthna Jo karte Hain .
Aur tum Sahi keh rahi ho, bohot samay ho gaya ,kal vaise bhi Khatti aur Dharmendra vapas aa rahe , to Dhruv ko bhi is bar humse milne aana hi padega.
In past 5 years , many things has changed . Dhruv does not live in Agra . He has become a charity doctor and has trained for rescue Missions .He wanders around the country. In those backward areas where , the medical facilities are still below standard , due to poverty or because of their tough surrounding. But he still goes for medical conferences , and do important surgeries . Sends money earned to his family and some for charity , leaving a small amount for himself . He changes city in almost every month or early as required. While traveling with a single bagpack .( In short banda gareebo jaise hi rehta h , jaise writers use dekhane ki planning kr rahe the , apni saari kamai parivaar or samaj seva mein laga deta h , aur khud pr ek phuti Kodi faltu nahi kharchta ) .
Same day , at night in Rudraprayag .
The rescue Mission was successful. Dhruv was resting in his room , when there was a knock on the door .
A girl : Dhruv ji , paas wale gaon mein ke bhura kaksa ki tabiyat kharab h . Unhen ilaaj ki jarurat h , aap chalenge .
Dhruv : Kya ? chalo , chalte h . Ek second mein apna bag lelu chalu .
( Is story mein Dhruv apni Bhagpackwati Ko nahin chhodega😜 )
After treating the patient, he was returning back when suddenly he saw a man lying on the road . He had a shallow cut on his head and was lightly bleeding . In the dark , he was not able to see his face very clearly but he looked like somewhat like him . But he ignored it and clean its sound and done some bandage . When the unconscious man , woke up, he looked shockingly towards Dhruv.
Dhruv: aap chinta mat kariye , main Ek Doctor Hu aur aapka ilaaj kara hai , aap bilkul theek hai , vaise aap ko yah chot kaise lagi thi.
The man: tumne Meri Jaan bachai uske liye shukriya, meri taraf se yah le lo.
And he gave a shiny golden key to him .
Dhruv: Par iska Main Kya karunga , aap ise wapas le lijiye yah Aapka hai.
The man : Ise apne pass sambhal kar rakho , yah tumhare aane Wale Samay mein bahut kam aane wala hai, yah tumhari Kahani Mein Ek aham bhumika nibhaega , ise Dhyan se rakhna....
Dhruv was shock to listen this and was carefully observing the key: Parr...
He look towards the man but he had disappeared . He took the key and put it in his bag.
[Content of Dhruv's bag
-3 shirts , 2 T-shirt ,3 Trousers,1 Jodi dhoti-kurta , Tara ke saath wala family photo , Tara aur Sushi ki single photo ,mor pankh , his important medical supplies, and emergency kit needed during any natural crisis .Aur ab vo key bhi .
- Ye necessary nahi tha , but baad mein aap logo ko aisa na lage ki Dhruv ke paas ab bhi Doraemon ka pocket h isliye bata diya😉 😂]
In 17th century,
Bhaiji with Anusuya: Mahaveer ! 3 din baad Tara ko mrityudand diya jaega , hume kuchh karna padega , hum ye hote hue nahi dekh sakte .
Mahaveer: Hum jante Hain Anusuya aur ham Aisa bilkul nahin hone denge per , Hamare hath bhi bandhe hue Hai ham chahte hue sabke samksh Kuchh bhi nahin kar sakte .
Anusuya: Maharaj! Ki tabiyat bhi bilkul thik nahi h , unka rog itna badh chuka h ki vo ab hil- dul bhi nahi paa rahe dhang se, aur aise samay mein maharani ji ke alawa koi nahi h , unki seva ke liye .
Mahaveer: Pita Shri ki haalat ko lekar hum bhi chintit h , parantu iss dasha ke liye ve swayam bhi jimmedar hai. Yadi uss din ve humari baat sun lete to ye sab nahi hota .
Flashback.
Tara left the venue .
Senapati- Maharaj! Rajkumari ji ne ye kya kiya , ye humara aur aapke vachan ka apmaan h . Ek chandravanshi Raja ka vachan bhang ho gaya .
Dumbraj : Senapati ji hamen kshma kijiega ki ham Apne Vachan ko nibhaanaa sake, parantu ham Apne purvajon ka naam dhumil nahin hone denge . Hum aapko aapke apmaan ke badle , Ek ichcha Dan dete Hain , aur Vachan dete Hain ki isko ham avashya pura karenge aur aaj hi karenge ?
Chirkut ne moke par choka maara aur apne liye , ichhadaan mein Tara ki saza maangi . Ek aisi saza aur itni deep planning , ki aaj Vallabhgarh ke Maharaj vo Chirkut hai 😤
Chirkut: Maharaj ,hum aapse Rajkumari ji ke liye dand nishchit karne ki anumati mangte ,aur ye aasha rakhte ki isme koi bhi aapatti nahi jatayega .
Mahaveer : Par Maharaj ? Ye to aapka aur nyaypranali ka adhikaar h , aap Samrat Singh ki mang puri nahi kr sakte .
Dumbraj: Mahaveer aapki bahan ne Samrat Singh ka jo apman kiya hai uski bharpai karne ke liye ham Samrat Singh ko yah Adhikar denge , Yahi hamara kshatriya Dharm hai.
( Har jagah faltu dialogues hi maarta h ye )
Now time for Tara's punishment.
Chirkut: Hum Rajkumari Tarapriya ko yeh dand dete h , ki ab se unse Rajkumari hone ka auda chhina jaata h , aaj ke baad ve ek samanya nagrik hongi , aur unhe apne pariwar se milne ki anumati nahi hogi .
Kshma kijiega! Maharaj hum jaante h , ki aap ko bohot dukh hoga ye jaankar parntu yuvraj aur Maharani ji ne bhi inke prem mein inka saath diya h , inhi ki shay ke kaaran hi unhone aisa ghor paap Kiya h .
Maharaj looks towards MV and MJ questioningly. They nod their head in agreement.
Dumbraj: Itna bada Vishwas Ghat , Senapati ji yah dand ekdam uchit hai , ine Sab ne Rajkumari ki sahayata ki , aur ab inka dand yahi h ki ye unse ab nahi mil payenge. Aur mile to unhe bhi dand diya jaega. Yeh humara aadesh h .
The punishment was given , MJ, MV and Anu had tearfully bid farewell to Tara ,where king was watching from a distance.
Maharaj( In his mind ) : Taru kaash aapne hamen pehle bataya hota to Shayad hamein aapko yah dand Na Dena padta . Ham nahin jante ki tab ham Kya karte, parantu apni putri se dur hone ki pida To nahin Sahni padati .😭
( Pyaar to krta h Dumbraj apni beti se , thoda I mean haa bohot bada dumb h lekin beti ki yaad to aayegi )
Tara had shifted to Sukanya's house . She did not wanted to be a burden on her but sukku didn't listen anything and said her Dhruv bhaiya wanted her to take care of Tara . And this way Tara agrees to stay there .
Then she started treating the villagers, initially the people hesitated , as she was the first lady Dr. And also a exiled princess . Some of them even opposed her but she was determined and continued her practice . But gradually everything begin to normalise . Tara as a doctor was treating the villagers with great care and dedication , with Sukanya as her aid 😌😌.
Mahaveer was also fulfilling his duties as the crown prince . Anusuya and he married after one year .
Time slowly passed . But after two years , at mid night, there was a knock on Tara's door . She thought some patient has come . But when she opened the door , a man hugged her tightly.
The person was Mahaveer .Tara stood still for a sec and tightened the hug .
Mahaveer : Taru ! Aap thik to h na , kuchh hua to nahi aapko ?
Tara : Bhaiji ! Hume kya hoga , hum ek dam thik h Parr , aap yaha kya kar rahe yadi aap hum se mile to aapko dand diya jaega . Aap yaha kyu aaye ?
Mahaveer: Humare guptcharo ne hume suchna di ki Samrat Singh ke saniko ne aap par hamla kiya , isliye hum jitni shigrah ho sake chale aaye!
Tara: Kya ? parantu hum par to koi hamla nahi hua , hume ye koi shadyantra lagta h ,aap shigrah prasthaan kriye , isse pehle ki aapko koi yaha dekhle .
And there comes Chirkut and Dumbraj from the front door .
Chirkut: dekhiae Maharaj ! Yuvraj Apne behan ke moh Mein Aakar , Raj aagya ka ullanghan kar rahe hain . Aur Aisa inhone pahli bar nahin kiya ye apki aankhon Mein dhul jhonk kar ye apradh karte aa rahe hain .
MV: Maharaj ! yah asatya hai humne Aisa Kuchh nahin Kiya vah hamen Aaj ..
Dumbraj: Kya aaj ? aaj to aapne Rajagya ka ullanghan kara hai , aap Yuvraj ho kar Apne Raj Dharm ka nirvah nahin kar pa rahe , parantu hum aisa nahi karenge Taru ke saath aapko bhi dand diya jaega .
And Senapati ji ne apni chikni chupdi baton Mein Hamare murkh dumbraj ko fansa liya , aur Apni patni ke sath ki tarah damraj ne apne donon bachhon ko nazarband hone ki saza suna di and Senapati ko maharaj bana diya .🤦
Flashback ends.
21st century, Rudraprayag.
Dhruv's room .
Dhruv : Ye chaabi kya h , aur iska meri kahani mein kya role ?
Imaginary Tara: Ab iski kya bhumika h , ye to hum nahi jaante par yadi ye tumhe Mila h ,to koi to vishesh kaaran hoga iska .
Dhruv : ab tum keh rahi ho to maan leta hu , vaise bhi iska Design h bada unique ,par pata nahi kyu dekha dekha lag raha h .
Tara : Are ab kitna jagoge , so jao ,kal uthna nahi h , Good night .
Dhruv : Achcha , achcha thik h so Raha hu , good night .
And then Tara covers his eyes with her hand and vanishes . Leaving Dhruv peacefully sleeping.
Again , in 17th century.
Tara : 3 din baad , hume mrityudand mil jaega , Dhruv . Par hume iss baat ko Santosh h ,ki hum jeevan bhar tumhare banke rahe , aur kanha ji ! se yahi prarthna karte h , ki tum sadev sakushal raho .
On the other side ,
Mahaveer is determined, that he will not let her sister die . And he is waiting for the next day to execute his plan .
P.S . Batana bhul gayi par , Dharmu aur khatti ka byah ho chuka h 3 saal pehle ,to DharTi is official in my story.😜
And Tara ko mrityudand dand kis Khushi mein diya jaa raha h , vo milega aapko next part mein , par ek baat bata du ki mrityudand mein chomu ka ittu sa bhi haath nahi h 😂
Edited by Tia-life - 2 years ago