aaj to tumne treat da di update ki finally tara ki shaadi nhi huwi ab please dhruv tara ko ek kar dana..... U left us curious on the point please update soonOriginally posted by: Tia-life
This one is a extra surprise update . First read ch-4 and then this.
Chapter -5
At wedding venue ,
Priest : Ab var aur vadhu phero ke liye khade ho jaaye .
Phera starts , but Tara is lost .
(she recalls Dhruv, the garland exchange, the bhavishyavani, senapati's attempt to kill dhruv, Dhruv leaving ,and the words she said to Dhruv "Apke aur pyaar ko nibhayenge damay-sadi se pare " and the words Dhruv said to Tara" Vada karo Apna aur apne sapno ka khyal rakhogi "
Priest : Phere samapt hogye h niche bethiye ab sindoor daan hoga .
Samrat sits down but Tara does not .
Samrat : Rajkumari ji, bethiye
Tara clutches her fist in which the Mangalsutra is kept .
Maharaj : Kya hua Taru? bethiye .
Tara (sternly ): Yeh vivah nahi ho sakta .
Everybody shocked.
In 21st century ,
Dhruv hears some scream in backside of bus some passengers are stuck . Dhruv runs to help them and takes them down . They are injured , someone call the doctor.
Dhruv: Main doctor hu aap log ghabraiye mat mein aap logo ka ilaaj karunga . And he starts treating them .
In 17th century.
Maharaj: Ye aap kya keh rahi h , aap aisa nahi kr skti .
Tara : Kshama kijiyega pitashree, parantu hum ye vivah nahi karsakte aur na hi karenge .
Senapati: Maharaj! Ye Rajkumari kya keh rahi h , ye apna aur humara sammaan dhumeel kr rahi h . (Towards Tara )You vivah mandap par aap ye kya kr rahi h ,Sab kya bolenge aap aisa nahi kr skti .
Maharaj: Humne senapati ko vachan diya h , aap humare vachan aur aagya ka anadar kr rahi h .
(Samrat pulls Tara's hand )
Hum aise apna apmaan sehen nahi karenge , hum abhi aapse vivah karenge.
Tara : (pushes Samrat and takes out her dagger ) Aisa krne ka dussahas mat kariyega parinaam aapke liye haanikaarak sidh hoga . Pitashree ! Hum aapke vachan ka anadar nahi krna chahte parantu hum iss dhurt vyakti se vivah nahi kr skte .
Maharaj :Aap kya keh rahi h , aapke paas koi pramaan h .
Tara: Nahi pitashree, humare paas is samay koi pramaan nahi h.
Maharaj : Ye matra apka sandeh aur keval iss kaaran se hum apko humare vachan ki avhelna krne nahi de skte. Tara : Pitashree,agar humara sandeh Galt bhi hua jo nahi hoga , tab bhi hum ye vivaah nahi kar sakte .
Maharaj : Kya kaaran h , kyu nahi kr skti aap ye vivaah ?
Tara : Hum ye vivaah nahi kr skte kyunki humara mann pati ke roop mein kisi aur ka varan kar chuka h .
Whole Sabha shocked . Senapati thinking about Dhruv.
Senapati - Kya ? Maharaj ye Rajkumari Kumari kya keh rahi h .
Maharaj : Aap ko anumaan bhi h Rajkumari Tara Priya ki aap kya bol rahi h .
Tara : Hum satya keh rahe h , Hum .. Hum kisi se Prem krte h , unke alawa hum kisi ka vichar bhi apne Mann mein nahi laa skte .
Senapati : Kya aapne maharaj ko bina bataye kisi se vivaah kiya h ?
Tara: Nahi ! Humara vivah nahi hua parantu ve humare mann mein sthaan grahan kr chuke h .
Senapati : Agar vivaah nahi hua to , aisa kaise itna prem ho gaya aapko ki aap uske liye , maharaj ki aagya ulanghan kr rahi h , aur saare Raj darbaar ke samaksh ye keh rahi ki aap pure Mahal mein bina kisi ke jaankari ke prem Leela Racha rahi thi ?
Maharaj : Senapati , aap apni seema paar kr rahe h !
Senapati : Kshama kijiye Maharaj ! Parantu Rajkumari ji jo keh rahi h usse yeh gyaan hota h ki ve apni maryada ki seema laangh chuki h , unke charitra ki pavitrata pr ab hume sandeh h , ki unka kisi ka saath avaidh s(and there is a sword on his neck holded by Tara)
Tara : Hamare pavitrata aur prem dono par ek bhi shabd bolne se pehle 100 baar chintan kariyega , aap ka ek shabd aapke praan le skta h .
Maharaj : Senapati ji apni jivha par kabu rakhiye aur Rajkumari talwar hataiye.
Senapati : Thik h ! To bas bataiye vo kaun h , jisne aisi abhadrata ki aur aapko apne jhoote prem mein faans liya , yeh jaante hue ki aap ka vivaah humare saath nischit ho chuka tha .
Tara : Unke vishay mein ek bhi apmanjanak vakya hume swikarya nahi h . Prem samay , stithi , sthaan dekh kar nahi hota ye vo bhav h jo dheere dheere apke hriday mein sthaan grahan krta h aur vyakti ko pata bhi nahi chalta . Aur yahi baat unke naam ki to vo hum aapko kadapi nahi batayenge .
Senapati: To humara anumaan h ki vo aapko tyaag kr chale gaye , ya unme itni Sahas nahi ki sabke samaksh apne Prem ko swikaar kr sake .Parantu hume apna aur aapka sammaan priy he . Hum aapse ab bhi vivaah krne ko taiyaar h , yadi aap hume vishwas dilaye ki aapko kabhi us purush ne sparsh nahi kiya h , aap pavitra h ?
Tara :Hum to pavitra h .Parantu Aapko sparsh jaanna h to suniye unhone hume sparsh kiya h , aur ye adhikaar unhe humne diya h. Humari charitra par koi daag nahi h , kyunki humara prem vivaah ke inn saat vachno jitna pavitra h , aur hum par yadi kisi ka adhikaar h to bas unka .
Maharaj : Rajkumari Tarapriya, bus chup ho jaiye , humne aapko itni swatantrata di parantu aapne humare vishwas ka aisa anuchit prayog kiya , aapne hume kahi mukh dikhane yogya nahi rakha .
Tara:Nahi pitashree aisa mat kahiye , humara aapko andhkaar mein rakhne ka koi prayojan bas stithi hi kuchh aisi ho gayi thi ki , hum aapko nahi bata paaye .
Maharaj: Naam bataiye uska hum abhi isi Kshan uske sar dhad se alag kr denge
Tara : Pitashree! Aisa kuchh mat kariye. Unka naam batakar koi laabh nahi h Hum aapko naam nahi batayenge humara prem poorn hona vaise bhi sambhav nahi h , to unka naam bata kr hum unhe sankat mein nahi daalna chahte .
Maharaj : Agar aap nahi batayenge To aapko dand diya jaega .
Tara : Hume swikaar h pitashree .
And she down takes out her payal and throws it(Vo senapati wali) . Then walk offs from the mandap.
Tara in her mind : Hum aapse bhale hi durr ho pr humesha aapke dil se jude rahenge ,Dhruv .
In 21 St century ,
Dhruv saves the patient.
Her relatives: Bhagwan apka bhala kare .
Aap jivan mein bohot tarakki kare .
Dhruv in the fire sees Tara's reflection giving him a thumbs up.
Dhruv ( in mind ) : Ye main kya kr raha tha , main apni zindagi aise nahi gawa skta , Tara ko Vada diya h Maine aur Kasam li h dusro ke ilaaj ka apni duty se muh mod raha tha main aisa nahi kr skta . To aaj se ye chikitsak apne karm aur tumhari yaado ke liye jiyega , Tara.
In Dhruv's house all are stressed seeing Dhruv missing . When they get a call from Dhruv assuring him about his safety . That he has decided what to do and will not do anything wrong but needs some space .That's why he has left.
Susheela: Prem mein Hamao lalla apna sukh chain kho chuka h , adhure prem ka dard bahot gehra hota, hum to Tara ko bhi kuchh nahi bol skte kyunki je dard to vo bhi seh rahi hogi .
Seeing this Ayesha takes Jai with her and says , Sorry Jai main tumhe talaak Dene waali thi , shayad Maine tumhare pyaar ki kabhi kadr hi nahi ki , tum mujhe itni aasani se jo mil gaye the . Mujhe na Tara se pehle bohot jealousy hoti thi lgta tha , Dhruv gharwale sab usse kitna pyaar krte h , lekin aaj mujhe vo bohot unlucky lg rahi h kyunki usko itna pyaar krne wala Ghar chhut gaya. Lekin main bhi to wahi galti dohra rahi hu , nahi main apni jindagi ye sab nahi khona chahti tumhare saath ko , pyaar ko nahi khona chahti . Dhruv ko dekhkar pata chal gaya ki pyaar karna aur khona actual mein kaisa hota h .
Dusro ka pyaar sabko dikhta h apna nahi , Tum mujhse jitna pyar krte ho shayad Maine uska aadha bhi nahi lautaya phir bhi tum mere par khushiyaan lutate rahe , kya tum mujhe ek chance doge , kya hum ek nayi shuruaat kr skte h ?
Jai nods his head in yes .
Ayesha hugs him .
( Jai - Ayesha happily ever after. Jai ka chidchida pan khatm kyunki Dhruv ki sad love story ke chakkar mein uski shaadi Bach gayi aur Ayesha bhi nausikhiya villain thi to usko bhi baksh diya , aur kar di happy ending.) 🥳🥳🥳
Dhruv is seen sitting in bus ."Mujhe apna maqsad mil gaya h, jeene ke liye . He imagines Tara sitting beside him .
On the other side, Tara "kismat mei humara saath hona nahi likha , to kya par ek dusre ka hona to Tay tha . Ab se tumhari yaade hi humare jeene ka kaaran h."
Thanks for reading .
P.S. Main khud senapati aur Taru ki shaadi tutne ka wait nahi kr paa rahi thi isliye ye bhi aaj hi post kar diya .👍🏼
Ab agle update mein sirf coming up next milega 😆