Originally posted by: mahiaana
Bold :- yes the panchayat issue , what meerub did trust me anyone in murtu's place would feel same ! It was really embarrassing for him as a lord infront of his whole awam!
What will.they talk now??? Ki khan ki biwi hi usko 2 rupey ki ijjat nahi dete?? Khan apni biwi ko hi sambhal nahi patey gao kya sambhale ge???
Trust me yeh sab bohut bare issue aur ijjat par bohurt bari karke le atey hein yeh gao ke log....or kisi bhi society ki log.
Socho our prime minister, woh jake sabke samne keh rahi kalke hum yeh kaam karenge maine decision liya hein, waha unki beti uthke jake kahe maa main apko yeh nahi karne dungi sabke samne! Media, other people.
Media kya likhegi? Andaza to hein na??
Yeh panchayat issue bhi same hein....meerub ki galti thi yeha! Usne asal mei hi murtasim ke ijjat ko khade khade 2 shabd bolke duba diya sabke samne :)
Is tarah se sochogi to shayed samajh aye kyu meerab galat hein.
Society uske leader ki respect meter or status half of the time usko uske ghar walo se kaisi respect mil rahi hein yeh dekhkar kar ti hein 50% !
Ab ghar ke andar main apne baap ka ek bhi na sunu, aur jhagra kar karke ghar utha lu.
But agar maine bahar abbu se unchi awaz mei baat ki sabke samne, or kisi decision par battamizo ki tarha chillake keh du main nahi manti sabke samne...openly opposed kardu to dekhne wale log sidha kahenge
" isko to iski ghar ki beti hin nahi manti, hum kyu mane? "
"Isko to iski beti hi nahi darti, hum kyu dare?"
Winter ne bhi kahi haad se yehi samjha ne ki koshis ki hein....ab band kamre mei, or ghar ke andar chaku se maar de ek dusre ko, but bahar wale ke nazro ke samne yeh harkat na kare, bahar walo ko na samajh ne de kaisa rishta hein apdono mein, eventually yeh apke hi ijjat par bhadi pageda! ..sirf murtasim hi nahi gao wale meerab ko bhi choti nazar se dekhenge battamiz, besharam, samajh nahi hein yeh sab kahenge uske bare mei for that action of her.
Log dono taraf se bolte hein, or isse ek position par rehne wale family ki ijjat kamti hein...barti nahi.
742