Hello dear forum waasis -
Managed to pen a few lines from Dev's POV based on Friday, March 03 episode where he shared some of his vulnerabilities with Vidhi, that inspired me....
Ek hawa ke jhaunke ki tarah aayi thi tum
Mujhe meri zameen se alag kar gayi
Par kabhi kabhi darta hoon
Ki mujhe kissi toofan mein chhod naa jao tum...
Ek khoobsurat si chandani raat ki tarah
Meri zindagi mein ek chamak, ek roshni bhar gayi ho tum
Par kabhi kabhi katraata hoon
Ki kissi andhere mein mujhe chhod naa jao tum...
Tum kehti ho ki mere aas paas hone se
Tumhe thehraav ka ehsaas hota hai
Tum kehti ho ki main tumhari himmat hoon,
Tumhara vishwaas hoon,
Tumhari kamzori hoon
Aur tumhara pyaar bhi...
Kitne khoobsurat, sachche lafzon mein
Tumne keh diya ki main tumhare liye kya hoon...
Par main shayad kabhi tumhe ye keh naa paayun
Ki tum mere liye kya ho...
Saari duniya jisse Devrat Raichand kehti hai,
Uss naam mein ek Dev bhi basta hai,
Woh Dev jo shayad kayi saalon se khud se bhi nahi mila...
Uss Dev ko fir se khud se milwaaya hai tumne
Par main shayad kabhi tumhe ye keh naa paayun
Ki tum mere liye kya ho...
Tum kehti ho mera tumhare aas paas hona
Tumhe ek dhruv taare ki sthirta deta hai...
Vidhi tumhare mujhse duur jaana,
Mujhe mere wajood se alag kar deta hai...
Dev naam ki ek kashti ko
Ek kinara diya hai Vidhi ne...
Par dar lagta hai,
Ki kissi toofan mein agar chhod diya tumne iss kashti ko to...
Dev naam ki iss kashti ko kinara kabhi nahi milega...
Par main shayad kabhi tumhe ye keh naa paayun
Ki tum mere liye kya ho...
Tanha tha ye dil kitne hi saalon se,
Zimmedariyon ko nibhaate hue chala jaa raha tha...
Aur khush bhi tha ye dil
In zimmedariyon, iss farz ko nibhaate hue kat rahi thi meri zindagi...
Par zindagi kaatne mein aur sukoon se jeene mein ek bahut bada farq hota hai,
Ye tumse milne ke baad jaana iss dil ne...
Roz tumhara chehra dekhna sukoon deta hai ab mujhe...
Iss chehre ko kabhi khud se duur nahi karna chahta....
Par darta hoon ki kabhi tumhara chehra agar mera chehra nahi dekhna chaahe to...
Kya reh jaayega fir iss dil mein...
Par main shayad kabhi tumhe ye keh naa paayun
Ki tum mere liye kya ho...
Meri zindagi aasaan nahi hai,
Shayad aage ke mod aur bhi mushkil ho...
To kya inn mushkilon mein mere saath rahogi tum?
Kya meri sachchi humsafar bankar saath chalogi tum?
Kya meri har aazmaaish mein mere saath khadi rahogi tum?
Darta hoon ki agar tumhara jawaab naa hua...
To shayad main seh nahi paaunga...
Poori duniya agar mujhse munh ferle to parwaah nahi,
Par agar tum beparwaah ho gayi,
To sharad main zinda bhi nahi reh paaunga...
Par main shayad kabhi tumhe ye keh naa paayun...
Ki tum mere kiye ho...
Haan par ek baat hai,
Jo main tumhe har roz, poori zindagi kehna chahta hoon...
Vidhi, pehli mohabbat to kayi baar bachkaani lagti hai,
Pehli mohabbat ko kayi baar yaad bhi nahi rehti,
Par tum Vidhi, tum ho meri aakhiri mohabbat...
Iss Dev ki Vidhi tumhi ho...
Baaki kuchh aur tumhe shayad main keh naa paayun...
Lekin ek baat apne poore bharose, apni poori himmat ke saath,
Keh sakta hoon tumhe...
Vidhi, I will always only love you....
Thoughts and feedback welcome! ❤️