HAKIKAT;ViDev; Few shots: part 5
Continuation from last part
Dev is pacing in his mom room in balghar.
Ab usko patha hai us vakt kyon vo apne aap ke rok nahi paya our us pal ki yaad aathe hi uski chehre pe ek bahut badi muskurahat aagaya.
Tabhi Satyavati ne usi room me aaya our bola are vah !! Aj kya suraj pashchim se nikla hai kya….
Mere bete ki chehre pe ithna khushi vo bhi akele akele has rahe hai .. kya baath hai dev bolo na apni ma ke saath share nahi karogi..
He just got embarrassed tried hard not to show any emotion( otherwise he know he can blush openly at any time) and stood silent.
Satyavati: Vidhi yaha aayi hai kya..( with smirk)kahi main galat time pe tho nahi aagaya..( dev gave a look what is this ma pls ..aap bhi…)
Mera matlab hai ki kal vo toh yaha aya na meri bulane par vo bhi ithna galat ho chuka hain uske saath..
Dev: ma aap vo sab kuch bhool jayiye.
Ab vidhi bhi thik hain.
Sw: ha ha tumhare chehre dekh ke hi pata chal raha hain ( she teased him and laughed hard)
Dev: ma…. Main ja raha Hu yaha se…
Sw: dev ruk ruk ab main nahi tang karungi . Tum hi socho kithne saal baad mujhe yeh mouka aya hain..
Dev: kya( confused face and open mouthed)
Sw: yahi ki tumhe tease karke maza lene ka…and started to laugh
Dev: ma… and he also laughed joining her.
Sw: dev main bahut khush Hu tumhare liye.
Dev : he is hummed and said vaise kal kya baath huyi tum donon ki beach me..
Aapne kyon bulaya use yaha..
Sw: ha.. koyi tho bada uthavla ho raha hain .. jaldi shadi karni hai kyaa..
Dev: shaadi…. Aap bhi na ma . Maine mana kiya na iss bare me vidhi se baath karne ko..
Sw:ok ok maine shadi ke baare me bath nahi kiya par iske chodke baki sab ke baare me discuss kia.
Dev: aise kya bath huyi aap donon ke beech me aap mujhe nahi bathana chahte ho..
Sw: aisi koyi baath nahi hai dev.bas iss rishte ko vidhi aage kaise lena chahta hai yeh janna chathi thi main. Par vo tho tumhari baat kabhi nahi taalegi naa. Vahi bola jo tumne sikhaya.. iss rishte ka koi bhavishya nahi hain. Par vo chhathi thi ki iss rishte ko ek mouka dena hai bas ek mouka dena chhathi thi vo..
Bina koshish kiye har nahi manna chathi thi vo..
Dev: ma vo aapko patha haina kithna impossible our impractical rishta hain yeh..
Sw: jab maine usse pucha ki uska kya rai hai iss rishte ke baare me tho usne bas ek hi baath kahadiya..
Dev: (listening impatiently)
Sw: yeh bath tum donon se judi huyi tho vo akele kaise kuch decide kar sakthe hai. Koi bhi decision ho tum donon ka marji ho. Kisi akela ki nahi.. our vo tumse ladna nahi chathi thi… kyonki usse patha hai tum bhi utna hi dard me ho jithna vo hai .
bas yehi bola usne..
Dev(in mind): he reminsed how he proposed her and immediately told/ rubbed his decision on her and didn’t waited for her point of view..
tabhi aaj vo ithna badli huyi laga mujhe . Our yeh patha lagane ki koshish kiya hai ki mera marji hai ya nahi.our uski chehre pe yeh dar bhi dekha hai ki kahi main usse disappoint na kare..
(Dev was lost in thoughts..)
Sw: dev .. dev..
dev : ha ma ..
Ma yeh sab bathein karne se kya Fayida hain ma.. hame iss rishte ka anjam patha haina . Na yeh samaj , na uski parents koi bhi iss rishte ko ithna pavitr nahi dekhega ki jithna hamare liye hain.
Upar se aage Jake usko bahut takleef jhelna padta hain ..
Pehli uski papa ki gussa ya disown uske baad samaj , dost our padosi yon ki taane har kadam pe kaate hi kaate bichi huyi ma.. mai kaise usko iss narak me bhej du mere sward ke liye…
Sw: dev sun.. agar tumhari rishte ki anjaam narak hai tho usme tum uska saath do our dono milke tumhari raste ki sari kante ko nikalne ki koshish karo.
Ek dusre ki himmat bankar tumhare rishte ki sachayi dikhaao sabko.
Dev: ma yeh ithna aasan nahi hain ..
Sw: ha per tum dono sath me hai tho mushkil bhi aasan ho jayega.. bas tumhe tumhari pyar ko barkharakar Rahna chahiye..
Aur tumne ek baar bhi socha .. usse tumse dur karke isse bhi bada narak me bhej rahe ho jaha USs rishte ka samman hoga , logon ka raja mandi hoga , par bina pyaar…
Tumhe lagtha hai vo kisi our ko vo pyar de payega jo tumhari hisse ka. Vo khush raha payega kisi anjan insan / rishte me bina pyar ke.
Ek baath suno dev.. meri taraf dekho..
Pyar tum dono ne Kia na to ab iss rishte ke baare me faisla bhi tum dono milke karega nahi akele. Tum aisa tumhara decision uspe nahi thop sakta.
Kisi bhi cheej me dono ka marji hona jaroor hain. Usse bhi Haq haina uski marji bolne ka. Bathao kya Tumhe uspe bharosa nahi hai ki vo iss rishte keliye lad nahi sakti hai ? Jo tum bol rahe ho na yeh samaj , log , samasya uska samna nahi kar payegi ? Bolo..
Dev: yeh baath nahi hain ma … vo choti hai per bahut samajhdar bhi hain. Par mai usse iss sabka saamna nahi karne desakta. Mai usse mushkil me ya takleef me nahi dekh sakta . Main usse khush dekhna chahta Hu chahe vo mera bina hi kyon na ho..
Sw: tumhe lagta hai vo tumhare bina khush rah payegi.
Dev dekh yeh tumhe tai karlo
tum uska saath rahakar har mushkil ke saamna karne ka himmat bankar ek pyari our khubsurath rishte me usse dekhna chahte ho
ya
Usse uski haal me chodkar bina pyar vale rishte me usko apni khushi ka dikhava karte huye dekhna chahte ho.
Yeh samaj ,log bas hampe ungaliyan uthakar side me chale jathe hai hum uska parva karke hamari khushi ko chodkar kahi musibat me pade tho hamara help karne keliye koi bhi nahi aayega vo log bhi nahi jo hame ungali dikhaya.
Hamara safar hame hi karna hai apni marji se bina kisi majboori .. chahe isme logon ki ,samaj ki salamati ho ya na ho…
Sw: dev Maine Vidhi se bhi yahi kaha hai ki saath rahne me our saath nibhane me bahut farak hota hai
Isiliye time leke soch samajh ke faisala lena donon aapas me baath karke.
Satyawathi left from there…
Dev is still struggling with his fear and suspicions about age difference ( not in samaj way) he got a call and lifted.
Balghar ki warden:
Hello dev ji mera bete ka tabiyat kharab hai isiliye main iss hafte nahi vapas aapavungi . Kal tak main kisi our ache worker ko dhundakar vaha bejhdungi. Bas aaj keliye aap sambhaliye balghar ko. Main security ko inform karke aaya Hu vo bachon ka khayal rakhega.
Dev: chinta mat karo mam I will take care about kids. Hope your son will be fine soon . Our kuch..
Warden : ha sir jab main hospital me thi tab vidhi ne call karke bol diya ki koi competition hai bache ki our vo Ruhi ko Naminate Kia per mere khayal se das din tak koi competition nahi hain. Our usne bola ki koyi naya warden usse form pe sign le chuka hai par maine kisi naya warden ko appoint nahi kiya..
Mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai sir , mujhe bahut gabrahat ho rahi hai sir bachon ka khayal rakhiye sir..
Dev : (thinking and said )ok relax mam main sambhalunga , aap yaha ki chinta mat karo . Take care of your son
Warden: thankyou sir
Precap:
Dev:kya Ruhi gayab hogayi balghar se..
Police: mr raichand we have to arrest ms Vidhi in child trafficking case.
Next update will be by evng..
SHINIKA
Part 6: https://www.indiaforums.com/forum/post/162273167
 
 
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
  
  
  
 
  
  
 
  
 
  
 
  
 
  
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 Anupamaa
Anupamaa
 Book Talk
Book Talk
 Indian Idol 16
Indian Idol 16
 
         
          
13