Hakikat ; ViDev Few shots ,Part 1 - Page 2

Created

Last reply

Replies

90

Views

8.2k

Users

19

Likes

153

Frequent Posters

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#11

Hakikat: ViDev Few Shots ,

Part 2 :


Delhi : Malhotra house:

Dev is pacing in a room with so much tension and pain . Bas sochta rahta hai our Devi ma se prathna hai ki bas issbaar sab kuch thik hojaye .yeh Aman bhi kyon ithna der kar raha hai pechle baar jab propose karne gaya tho vidhi ki dar se sab kuch bhool ke bina propose kiye vapas aaya hai patha nahi issbar yeh ladka kya karegaa...

Aman: buddy buddy ...

Dev : aao Aman kya huva bolna usne accept Kiya

Jaldi bathana (Dev's heart is beating with high speed ek taraf Khushi hai ki wo aage badeghi our doosri traf gaham hai ki vidhi se uska vastha chut jayega hamesha keliye) kya hua kya bola usne..

Aman: usne kaha par mujhse nahi tumse kaha vo thumhari intejar kar rahi hain.

sunte hi dev's heartbeat comes to normal and his eyes got filled with tears and immediately he left that place.

Aman: buddy ruko tum vidhi ko jante ho...

But already dev left the room .

Aman: koyi tho bathao yaar yeh ho kya raha hain....

Raj Malhotra aman's father enters the room and asks Aman kyon chilla rahi ho vo to chala gaya

Aman: Dad aap hamare baath sun rahe the

Raj:.baath kya aaj kal tum donon ki harkat bhi dekh raha hoon.

Aman:Dad its mine and buddy's secret.... Aap jayiye our apna kaam kijiye.

Raj:Aman tumhe pata bhi hai tum kya bol rahi ho.dev ko tho mai samajh sakta hu par tumhara akal kaha gaya voh kahata ja raha hain our tum kartha jarahe ho.tumne kabhi bhi yeh nahi socha ki jis ladki ko vo aaj tak dekha bhi nahi uss ladki ke baare me dev ko tumse ache kaise patha.

Aman: dad aap kya kaha rahe ho buddy ....our vidhi...yeh kaise ho sakta hai

Raj: kyon nahi ho sakta pyaar ki koyi Seema nahi hoti hai...

Near a small lake

Yeh lake shahar se bahut door hain tho jyada kuch log yaha nahi aatha hai par bahut sundar jagah hai

A man in his early 40's sat on the near by lake and staring at the water for hours (patha nahi kithne der so bas Aisa hi dekh rahe hain).

Jab bhi vo udaas ho ya khushi ho to yaha aata hai . Yeh khule aasman, Inn pakshiyon ka chahchahahat yeh hariyali,our yeh khamosh jheel usse yeh yaad dila the hai ki

jheelsi gaharaai samaai hai uski har baat me……..

Isiliye vo uska har dard har khushi iss khamosh jheel se kahane se uski dil ko bada sukoon miltha hain.

Ab uski priority list me yehi top hai. Aaj bhi mujhe yaad hain kaise main tumhe dhundtha huye iss jagah par pahunch gaya our pahli baar tumhare bhagair bhi yeh dil sukoon mehsoos Kia. Uske baad kai baar aaya Hu yaha par tumhare milne par,tumhari mba ki exam pass hone ke baad, khaskar jab priya our abhi ka bacha paida hone par, our chitra khushi se apni jindagi ka shuruvaad karne par . Mera jindagi ka har ek khubsurat pal me bas yehi mere saath hain. Ha mujhe patha hain tumhe yeh jaankar khushi hogi ki abb priya our abhi ek dusre se bahut pyar karthe hain our ab ek nanni si jaan bhi hamara family me add hogaya.chitra uski bare me tho kya kahu meri bachi sherni bangayi hai tumhe patha hai kithna himmat se vo situation ka samna Kia khud ko sambhala our apni khushi ke ore kadam badhaya. Our Ma voh chitra our abhi keliye bahut khush hai. Ab meri sari jimmedariya puri hogaya hain bas tumhe khush dekhne ka kawahish ke siva….

Main har roj yaha tumhari aage badne ki ummed se har ek pal bitha raha hun.our tum to abhi bhi vahi zid lekar tumhari jindagi barbaad kar rahi ho..kyun main kithna bhi koshish Karu tumhe yeh ehsaas dilane ki main tumhare aas pass nahi hu par fir bhi tum ye kaise mehsoos kartha hai ki tumhari har kadam pe bas Mera naam hai.mujhe tum par bahut garv hai .par main tumhe khudko barbaad nahi karne de sakta…

Tumhe aage badna hi hoga…


Jo vakt gaya usse yaad kya karna

Jo milna nahi chahte unse fariyaad kya karna….

Yeh vakt hai aage badhne ka

Peeche chut gaye raston se ab sawal kya karna..,


to be continued…

Precap : same

I couldn’t include the precap in this part. It will come in the next part for sure.While writing I realised I cannot finish this story in 3 parts .so I m making it as FS.

Padhke bathana kaisa hain . If you guys felt bored with long posts tell me in comments I will try to finish it in next 2 shots. But main soch rahi Hu ki aise detailed me yeh story acha lagta hain. Par dekhte hain kiska jyada vote aayega.Thankyou friends for encouraging me. Pahli baar kuch likh rahi Hu tho aapka review jaroor dena . 🤗

SHINIKA

part 3: https://www.indiaforums.com/forum/post/162247266

Edited by Shinika - 2 years ago
Hasina98 thumbnail
Posted: 2 years ago
#12

The longer the story is the better!!! As long as it stays on track! ❤️

Saumya19 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#13

Originally posted by: Shinika

After the office hours two people are still working in the boss cabin .

P1: hogaya kaam ? Chale office time bhi khatam hua hai our Aaj se tum bhi boss ho iss company ka . Chalo let's celebrate this. Atleast Aaj tho mana math Karo chalo.

P2: iski koi jaroorat nahi hain vaise Maine ithna bada kuch bhi nahi kiya.

P1: kya bol rahi ho tum .mujhe patha hai tum ne kithna mehanath kiya hai yaha tak pahunchne keliye.tum yaha kaam karne ki saath saath apni mba Puri ki our Aaj tum iss compani ki owner bhi bangaya .kaisa din raat ek karke tum yeh sab haasil Kiya mujhe patha hai.mujhe tum par ithna garv hai ki kaha ek Indore ki gali ki ek ladki Aaj Delhi ki biggest fm radio station ki CEO ban chuki hai vo bhi ithni choti umr me.sach kahu tho tum mere saath nahi tho main yeh kabhi nahi karpatha vidhi.Thankyou so much vidhi mujhe housla Dene keliye,Mera himmat badhane keliye.

Vidhiii kuch to bolo yaar ,mujhe patha hai yaar agar tum bologi tho shock hona hai vaise harbaar tum apni khamoshi se hi jawab dethi ho.tumhari umr ki our koi ladki tumhari jagah pe ho tho kithna exited hoti ek chidiya ki tarah lamba udaan karegi par tum tho ihna casual kaise rah sakthe ho vidhi. Vidhiii, vidhiii....

P2:ha ,isme meri koi credit nahi hai Aman.tumne khub mehnat ki our iss mukam Tak pahunch gaya ki yeh dekh kar aapka papa bahut khush hoga.maine bas ek dost ka responsibility nibhaya bas isme koi badi baath nahi hain.

P1: tum har baar kuch na kuch kehakar mana kar deti ho par aaj main nahi rukne vala hu .samjho yaar main tumhare liye kuch plan Kiya hai .tum mere saath chal rahi ho bas .pls...........

So the people are Aman and vidhi ,both are the owners of Delhi's top fm radio station.they both are friends from three years.

(Kis kis ne socha yeh dev our vidhi hain....batao🤣)

Aman took vidhi to a beach because whenever she feels low or happy beach is her companion .

Vidhi dekho aaj yeh lahare vo samundar ,and ret sab kuch kithna acha haina.

Yeh lehre baar baar koshish karenge kinare se milne ki Par yeh sach me kinare ko chuke takrake fir samundar me chala jayega sab kuch apne saath leke .yeh hi iski niyathi hai . Hum kuch nahi badal sakta vidhii kuch nahiiiiiiii......

BaS kuch lahare aane tak meri kahani chalegi

Main ,samandar kinare,ret par likha ek naam hu.

Yehi words ringing in her mind....

Aman:vidhiii vidhiii kaha khoyi ho dekho

Yeh samandar our lahare kithna sukun mil raha haina yaha

Iss khubsurath jagah pe main iss khubsurath ladki ko kuch kahana chahtha hu Dil se...

Main tumhara pahala pyar,date ya kiss nahi hosakta lekin

Main tumhara aakhri sab kuch Banna chahtha hu.

Vidhi kuch tho bolo agar isme tumhari HA ho tho

Ret se samandar ki tarah ab yeh ishq hoga bepanah....

Aman is looking at vidhi with hope and love

Vidhi ne ek faint smile kiya our bola

Aman usko yeh jarur kaho ki main kab ka kisi our ka ho chuki hu .yehi mere jindagi ki bahut badi sachai hain .our yeh sachayi na badla hai our na kabhi badlegaa.

Aman: kis ko …..tum kya bol rahi ho...

Vidhi: us insaan ko jo tumhe yeh sab sikhake bejhana usko....

Aman: tumhe kaisa patha chala tum usko janthi tak nahi...

(He was shocked and don't know what's happening)

Vidhi: Aman I am very sorry to disappoint you but you are my good friend who helped me in my tough time.main iss dosti ko khona nahi chahthi...

Aman: pahle yeh bolo tumhe kaise patha hain tum usko abhitak dekha bi nahi...

Vidhi is leaving the beach suddenly turned back smiles and said usko jaroor bathana ki main intazar kar rahi hu..❤️

Continue soon…..

Precap:

P1:do you want to loose him ? ,you know right how i destroyed your family,your happiness (threatening with some news clip)

P2: with heavy heart...I am ready to do anything for him...

P3: I won't let you walk in to the fire to protect me.

Hi friends .I am shinika 😍 yaha ki sab writers ki inspiration lekar kuch likhne ki koshish ki.patha nahi kya bakwas likha hu.if possible bear me other wise chappal,tamatar,anda sab ka swag ke saath swagath. I will try to finish it in 3 shots.👍🏼

Kuch alag our aage ka socha hai story se .dekhti hu kithna likhpathi hu par koshish tho bahut kiya acha likhne ki.

Our ab ek task .koshish karo our bathao ki precap ke hisab se koun kisko kya bol raha hai.

Chalo ab sab dimag ki ghode chalao....🤣🤣

Pahli baar kuch likhne ki koshish kiya hain tho apna review jaroor dena.next time you will be safe from me.😆

SHINIKA

Shinika thanks for the tag. I am a little late in reading it. But Now that I am on to it I have to say your style of writing is pretty intriguing. It turns into a different direction the minute I thought that this is what is going to happen 🤣. Too good.🤗

Going to read the next part.

Saumya19 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#14

Ek sawal if this fm radio is based in Delhi then are these Aman and Vidhi living in Delhi?

Saumya19 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#15

Read the second part too and I think this all is happening in Delhi. Yeh thoda problem jo gaya there is no samundar in Delhi but other than that mast hai and intriguing hai. Your plot line has the ability hold reader’s interest and that is a good quality. Looking forward to read more about this Dev and Vidhi. 👏

Geeta06 thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#16

Awesome part... Finally dev ki feelings... Loving it... Aap chaho jitne marzi parts bnao... Jyada parts mein hamara hi faida hai

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#17

Hakikat : ViDev: Few shots: Part 3:

(continues from last part)

At the lake:

mujhe patha hai tum kyon yeh sab kar rahi ho.. mujhe mera galthi ka ehsaas hai vidhi....

Main Manta hu uss vakt galthi mera hain .main tumhe tumhari marjhi ke khilaf Arjun se shadi ke liye force Kia. Par main kya kartha vidhi uss vakt halat aisa hai ki sab kuch mere hath se fisal gaya.

Agar akela hotha na har toofan se lad Letha par jimmedari hain tumhari mujhe our iskeliye mujhe toofan ka saamna karna pada.

aakhir uss vakt aisa kya huva from 3rd person perspective:

amba ki suiside vala din hospital me:

vikram ne dev ka bahut insult kia hai our chitra bhi dev se bahut gussa kia,uspe ilzam lagaya pata nahi vo gusse me kya kya nahi bola par fir bhi dev khamosh hokar sabkuch suna bhi our saha bhi.

amba ko hosh aagayi our usko sab patha hain ki hospital me kya hua fir bhi usko kuch bhi farak nahi pada our vo badle ki aag me vidhi our dev ko jalakar rakh karna chahthi thi.

par amba ko yeh kya patha

kisi ki sahan shakthi ko uski kamzori na samajh na,kyonki yadi yeh moun svayam ko thodne par aagaya tho yeh vinash ki har seema ko bhi thod saktha hai tho iss moun ko sadaiv samman karna seekhna hai....

agle din:

Indore Dev's house:

vidhi ki mana karne ke baad bhi satyavati dev ke pass agayi our usne bataya ki kaise Vikram ne vidhi par chillaya,ilzam lagaya our gusse me vidhi ko dhakka diya iski vajah se vidhi ka sar par chot lagi hain.

Dev: he was shocked and worried .bola ma vidhi kaisi Hain..usko kuch nahi hua na..abhi main jaata hu uske ..............yeh check karne keliye ki vo thik hain... .

SW: nahi dev... voh thik hain halkasa chot agaya thoda dard to hogi Maine usko Patti bandhi our Ghar bhi drop Kiya.

Main samajh sakti hu dev .. par darne ki koi jaroorat nahi hai our iss vakt vidhi ki Ghar pe tho sab log honge na....

Dev is very angry but he didn't said anything to ma, went to his room and locked it..vo apne aap ko control karne ka bahut koshish kiya par haar maanke vidhi ko dekhne keliye gaya.

Vidhi's house:

HP abhi tak ghar nahi aaya bimla vidhi ko uski kamre me le jakar usse aaram karne ko kaha .

Dev ghar ke andar pahuncha our bimla ne dev ko aate huye dekha our bola dev ji aap yaha .... vo vidhi ab bilkul thik hain .milapini ma ki kripa se badi sankat huyi nahi bas halke si chot se bachgay.

Aap vidhi se mil lijiye.main Puja ki tayari karthi hu.ithna kuch hua hai .uski papa jaldi aanevale hai.

Vidhi ki chehra dekhte hi dev ko patha chal gaya ki chot halka hain par vidhi andar se bahut bahut dargayi thi our vo amba ki suiside ko lekar guit me hai.

Vo vidhike paas chala gaya our uski patti ko chek kar raha tha .us vakt dev ko kisi ki parva nahi sivay vidhi ki.dev ko dekhte hi vidhi ki himmat vaapas aayi our usne kaha sir aapko kaise....

Kuch mat bolna....(overwhelmed by the emotion) mujhse chupane ki koshish Kiya tumne .

Mujhe laga ki tumhari parvah karne ki haq hai mujhe.par tum to....

Sir pls..... shayad maine hi tumhe rokdia na mujhe iss haqdaar manne keliye.

He just wanted hug her .console her and pull out all her fear,guilt,dard like a magician. Both wanted to hug but stopping themselves ...suddenly dev cupped her face and caressed her patti with his gentle fingers very delicately he coud'nt dare to see into her hopefull eyes and left from there with heavy heart.

HP ghar ki andar aate vakth hadbadi me ghar se bahar nikle dev ko dekha our aavaj bhi diya .par dev is not in the state to listen or notice anything. He just sat in the car and started to drive but har vakt vidhi ki chehra uske saamne dikh raha hain .he got very angry couldn't control it anymore and went to vikram's house.

Amba ka ghar/Dev's museum:

Amba...amba..he just called her little loudly cause he know chitra will be there.

Amba: Aao dev tumhara hi intejar tha.welcome ..mere haal janne aaya na ,mujhe nahi pata dev tumhe mera itni fikr horaha hain.agar mujhe pata hota to main yeh sab bahut pahle kardeti.....

Dev: mujhe nahi patha tum kya sochkar yeh sab kar rahi ho.par ek baath dyan se sunlo aaj ke baad agar tumne vidhi ko hurt karne ki koshish ki tho mujhse bura koi nahi hoga.

Vikram: chhh chhh aap bhi na Mousa ji.. har vakt vidhi...vidhi... aap mera mousi se aisa baat nahi kar sakte hain (he literally shouted).

Ghabrayiye mat chitra ghar par nahi hain .

Dev: tumari ithni himmat hain ki tum vidhi ko hurt karega .agar tum chitra ki pati na ho tho tumhara vo haal kar chuka hotha ki tumhari mousi bhi tumhe nahi pahachan paathi.

Don't you dare to meet and accuse her again varna jis dev ko tum nahi janta vo dev vidhi ke aage our tumhare saamne khada hoga.

He warned them and came back to home.

Amba : bas halka sa chot se hi tumnne yaha tandav machake gaya na ab dekhna main kya karthi hu.she called some one and smirked evilly.

Vidhi's house:

HP ne vidhi ki haal puch kar kalu se milne ghar se bahar gaya.raste me do log bath kar rahe hai ki kaisa dev ke saamne vidhi ki sagayi tuti our vaise hi dev ki

sagayi bhi tuta vo bhi vidhi ki ghar me . Vo soch raha hain ki kahi isme kuch our baath ho jo dev our vidhi ko related shayad un don ka beech koi aisa rishta ho jo nahi hona chahiye .kya kal dev ki rishta tutne ki vajah vidhi hain? . HP ne yeh sabkuch suna our yaad kiya ki kaise dev bina uski baat sune ghar se chalagaya yeh sab sochte vo ek dam behosh hogaya.mohalle vale hp ko hospital me admit Kiya .doctor ne bola ki uska dil ka doura padgaya.he got minor heart attack. Yeh sunte hi vidhi ghbra gayi our dev ko aadhi raat call karke batadiya.

Dev immediately rushed to the hospital .tabtak Rath bahut late ho chuki hain tho sab log chalagaya bas vidhi our bimla hospital me ruk gayi. Bimlaa ro roke thak kar neend me chala gaya.

Jab dev ko hospital me aathe hi vidhi couldn't control herself ,hugged dev and cried bitterly.vidhi ki halath yeh hai ki voh puri tarah se tut chuki hain isiliye dev usko nahi roka .after crying for some time vidhi kept her head on Dev's chest and sat beside him .he side hugged her and asked her yeh sab kaise hua..

Vidhi talked like whishper and said pata nahi sirrr doctor bol rahe the ki usko sadma laga hain and because of that usko Dil ka doura padgaya. Ab tho minor hai par kaharahe hain ki dubara aisa hua tho ......she cried bitterly.

He tried to control her and he can't see her going through this much pain.he just hugged her tight and said vidhi kuch nahi hoga himmat rakho. Tumhari papa me bahut himmat hai our ache logon ke sath hamesha acha hi hota hain...kuch nahi hoga jaldi sab kuch theek ho jayega .khudko sambhalo vidhi....He just lifted her chin ,wiped her tears and gave a consoling kiss on her forehead just like he is kissing a small crying baby.

continue soon......

thanks for the response guys .bas aise hi review dete rahiyega .mujhe padhke acha lagtha hain..

SHINIKA


part 4: https://www.indiaforums.com/forum/post/162251110

Edited by Shinika - 2 years ago
Shinika thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#18

ha yaar story ho raha hai delhi me. mera vali delhi me tho samandar kya aap ko jo chahe voh miltha hain🤣

jokes apart i missed logic and i didnt even realised.i will be careful next time.

thankyou❤️

Shinika thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#19

thankyou revutty,❤️ bas aap,telly our hamari forum ki saari writers ki inspiration lekar pehli baar kuch likhne ki koshish kiya.😊 voh shayari and all main khud nahi likhi, kahi our padha ,suna, sab milake khayali pulav banakar vo lines likha.khud shayari likne jithna talent nahi hain mujhme.dev ka style ki baat hai tho maine 2nd part me koshish ki that i stay true to his style.patha nahi karpayi ya nahi apna review jaroor dena.

beach :it will give many perspecives to write about lovers .so tried that.par creativity ki chakkar me maine samandar kharid ke delhi le aaya🤣🤣

Edited by Shinika - 2 years ago
Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#20

Aur likhti raho, mein padti hun thodi der mein. Kya hein kee abhi pregnancy leave pe hun, phir bhi office ke kuch work hein joh mein ghar se laptop mein kar rahi hoon. Toh sukoon se time almost 4 baje tak milte hein. Tab mein detail mein padke reviews dungi. Inspiration is a big word , kya hein naa hee kee aapki creativity saamne aa rahi hein, iss baat se khush hun.

Related Topics

Na Umra Ki Seema Ho Thumbnail

Posted by: Revutty

6 months ago

ViDev : Love beyond Everything (Two Shots - Shot One)

Dev folded his hands before Maa Milapini's idol. Dev's view Maa Milapini mein zyada puja paath toh nahi karta par Vidhi ke aane ke baad mein...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".