Originally posted by: BossLady
Ha gram panchayat
To yaha pe mtlb ladies ke liye kabhi reservation tha panchayat posts ke liye ya mtlb abhi hai
Vaha pe ladies ka participation kaisa hai rural politics mai 🤔
Caste Panchayat?🤔
How are the facilities there..like the Primary Health Centres or the condition of govt. Schools,the govt. hospitals?
Koi PDS shops bhi hai kya?🤔
haa hai na...gram panchayat mai 33% reservation hai women's ka...par ab badha kar 50% kar diya gaya hai..
Yaha sarpanch aur vardpanch dono mai women's ke liye reservation hai.. Aur banti bhi hai..🙄
Yaha to bahut accha hai...kai gaavon ki sarpanch womens hai... Aur accha kaam bhi kar rahi hai... Ab to compulsory bhi kar diya gaya hai ki koi bhi mahila sarpanch Or vardpanch ki jagah uska husband or father kaam nahi karenge to aur participation badha hai..☺
Abhi puri tarah se khul ke bahar aana baaki hai.. But progress hua hai..
Jaha mai rehti huu vo town hai...aur yaha ki facilities to bahut acchi hai... Aur yaha ke bahut Rural places ki bhi iss mamle mai to state acchi hii hai... Sab jagah sub health center hai...uske upar PHC hai..or district mai district hospital hai....or acche chalte bhi hai vo...
Mere bhai ka abhi hua hai CHO mai aur vo issi line mai hai..😁
Aur gov school mai mai khud padhi huu... Staff pura hai yaha ke lagbhag schools mai...jo sen sec hai usme to hai hii...Aur bahut accha result bhi la rahe hai.. Humare yaha ke kai gov school ke bacchon ka merit mai selection hua tha corona se pehle..😊
Aur mere town mai to actually extra facilities hai.. Kyunki yaha jains rehte hai aur unki taraf se yaha itna devlopment hua hai na..😌
Humare yaha solar street lights hai..😁
Pure gaav ka ek RO water ka plant hai pura... Ek puri facilities ke saath wala hospital hai...sab hai..😁
Cast panchayat matlab.. Har cast ki apni ek panch sabha hoti hai.. Usme kuch log panch hote hai.. Vahi uss particular cast ke saare decision leta hai... Matalab byaah Divorce... Pehle cast panchayat.. Yaa yuu kahu pancho se permission ke saath hii hota hai..😊