Rahul- Hans kya rahi hai? Itni mushkil se tujhse milne aaya hoon aur tu mujhpe hans rahi hai.
Muskaan- Tu aaya kyun hai? Chaachi ji ne kahaa tha naa ki ladka ladki shaadi se pehle nahi milte.
Rahul- Oye yeh sab naa kehne ki baatein hoti hain. Samjhi.
Muskaan- Theek hai. Tu thand rak yaar. Saans toh lele. Haalat dekh apni.
Rahul- Oye toh tujhe kya zaroorat thi sabse uppar ke kamre mein rehne ki?
Muskaan- Oye piddhe tu eik baat bataa... tu uppar chadhaa kaise?
Rahul- Pipe se!
Muskaan- (slaps her forehead) Haye Rabba ji! Agar tujhe koi dekh leta naa toh tere saath saath main bhi marti.
Rahul- (smiles) Acha tu thand rakh. Ik gal das.
Muskaan- Kya hai?
Rahul- Aaj badi soni lag rahi hai. Koi khaas baat hai ki aaivaiyee.
Muskaan- (excited) Sach? Main achhi lag rahi hoon?
Rahul- Woh tu hamesha hi lagti hai. Lekin aaj zyaada lag rahi hai.
Muskaan- Oye chadd yaar!
Rahul- Lekin maine toh tereko pakada hi nahi hai.... abhi tak.
Muskaan- Haan... HUH??? Oye tu... tu door reh samjhaa. Mere paas mat ayeen keh rahi hoon.
Rahul- Oye tu chilaana band kar. Uppar chadte hue kisi ne nahi dekha, lekin tu eik number ki loudspeaker hai. Teri aawaz sunke toh mauhaule waale jamaa hojaayenge.
Muskaan- Haan toh aane de naa mauhaule waalon ko. Unhe bhi pata chalna chahiye ki tu yahaan aa tapka hai! Bada shareef samajhte hain naa sab tujhe.
Rahul- Oye toh tu samajhne de naa. Tera kya jaata hai.
Muskaan- Kyun samajhne doon? Tu nahi hai toh nahi hai!
Rahul- Oye kya kehna chahti hai? Main shareef nahi hoon?
Muskaan- Haan nahi hai. Kya karlega?
Rahul- Tu moo sambhaalke baat kar samjhi. Hone waala pati hoon tera.
Muskaan- TOH???!!!
Rahul- K... kuch nahi... main toh bas yeh keh raha tha ki main tera hone waala pati hoon aur tu jo kahegi wohi hoga.
Muskaan- Ab aaya naa line pe. Achha ab bataa tu mujhe milne kyun aaya?
Rahul- Hein? Oh haan. Bas tujhe dekhe hue bohot time hogayaa tha naa... issiliye milne aagaya.
Muskaan- Aiye haiye! Bade romantic shomantic ho rahe ho! Waise abhi abhi toh milke gayaa tha. Dopahar mein. Time dekh. Sirf 3 ghante hi toh hue hain.
Rahul- 3 ghante??? Itni der hogayee. Jaldi aana chahiye tha mujhe yaar.
Muskaan- Chup kar kaan khajoore.
Rahul- Achha theek hai. Tu ghussa kyun hoti hai. Mazaak kar raha tha yaar.
Muskaan- (standing with her back towards him and her arms folded across her chest) Dekh liye naa, ab jaa.
Rahul- (turns her around) Naraaz kyun ho rahi hai? Achha darwaaze se jaaoon ke khidki se?
Muskaan- Darwaaze se jaayega??? Ther tu! (chases him around) Oye ruk! Ruk piddhe!
Rahul- (running and laughing) Oye ther jaa! Kahin chot vot lag gayee toh shaadi delay hojaayegi. Phir bolti rahegi!
Muskaan- (picks up a pillow and chucks it at him) Tujhe toh main chodoongi nahi!
Laali- (walking in with a bunch of Muskaan's friends) Muskaan.... Haiyo Rabba! Jija ji, tussi aithe ki karde paiye ho???
Rahul- Uhhh... woh... woh main...
Laali- (picking on him and Muskaan) Aiye haiye! Jija ji! Ki gal hai! Itna sa bhi intezaar nahi hota?
Muskaan- Oye tu chup kar naa Laali.
Laali- Haiye main marr jaawan. Kya pyaar hai?
Muskaan- Laali ki bachhiiii!!!!
Laali- (goes to Rahul and drags him to the door) Chaliye! Shaadi se pehle aap dono nahi mil sakte!!! Chalo!
Rahul- Eik minute eik minute. (whispers to them) Meri saaliyon... aadhi gharwaaliyon.... please, 5 minute. Bohot zaroori baat karni hai.
Laali and all- Humse???? (laugh)
Rahul- abbey meri maaon, mujhe Muskaan se bohot zaroori baat karni hai. Tussi saare jaao. Main aunda ha. 5 minute. Please!
Laali- Theek hai JIJA JI! Assi saare chale jaaunde ha. Lekin.... haath dheela karo.
Rahul- Aagaye naa line pe. Yeh lo. (gives them money) Hun jaao tussi!
Laali- Theek hai. Chalo kudiyon.
Rahul- (grabs Laali's chotti and pulls her back) Ik minute kudiye. Tu neeche jaake kahin apnaa moo mat khol dena.
Laali- Koshish karoongi. Lekin... main soch rahi thi agar kahin ghalati se...
Rahul- Samajh gayaa. Yeh le. (gives her money) Terese 5 minute kya maange tune toh mujhe 5 second mein kangaal kardiyaa! Shaadi hojaaye, Tujhe toh main dekhloonga.
Laali- Ghussa mat karo JIJA JI! Yeh toh saaliyon ka haq hota hai.
Rahul- (smiles) Haan haan theek hai theek hai. Jaa ab.
Laali- Waise agar aap mujhe nahi bhi kehte naa, tab bhi main neeche jaake kisi ko nahi bataati. Lekin jab aapne jeb dheeli kar hi di toh main kyun naa...
Rahul- Teri toh!
Laali- Chaithi karo jija ji! (closes door and leaves)
Rahul- (goes back to Muskaan) Kitni payaari hain naa?
Muskaan- Tu kya chakkar chalaa raha tha?
Rahul- Kyun? Tujhe jalan ho rahi hai kya?
Muskaan- Jalan? Tujhse? Tera dimag kharaab hogayaa hai.
Rahul- Haan, waise bhi tujhe mere siva aur kaun dekhega? Tu bhi koi dekhne ki cheez hai? Paagal lagti hai.
Muskaan- Oye! Paagal tu! Main toh changi bhali hoon!
Rahul- (laughs at her cuteness) Achha chal theek hai. Paagal main hoon. Ab chal.
Muskaan- Kahaan chaloon?
Rahul- Tu chal toh sahi. Pata chal jaayega.
Muskaan- Tera dimaag sahi hai naa? Tu mujhe bhagaa ke to nahi leke jaa raha naa?
Rahul- Chup kar. Bhagaa ke kyun? Shaadi ho rahi hai naa. Ab bakwaas band kar aur chal! (takes her out through the window)
Muskaan- Kahaan leke jaa raha hai???
Rahul- Tu chal naa. (take her to the tractor) Jaldi behat.
Muskan- Kya???
Rahul- Sawaal mat kar. Behat jaa! (takes her to the khet)
Muskaan- Tu mujhe kheton mein kyun laaya hai? Oye! Tera iraada kya hai?
Rahul- Thand rak! Chal mere saath. (they go sit on a bunch of ghaans bhoos (hay))
Muskaan- Mujhe teri niyat kuch theek nahi lag rahi oye!
Rahul- Bakwaas band kar aur saamne dekh.
Muskaan- Kahaan?
Rahul- Neeche nahi uppar.
Muskaan- Kya hai???
Rahul- (points to the full moon) Dekh.
Muskaan- (mesmerized) Chand aaj kitna sona lag raha hai.
Rahul- Tujhse kam. (smiles at her)
Muskaan- Toh tu mujhe yahaan chand dikhaane laaya tha? Woh toh tu mujhe mere kamre se bhi dikhaa sakta tha.
Rahul- Jaanta hoon. Lekin, yahaan se chand bohot kareeb lagta hai. Aur hum bhi kuch waqt akele bitaa sakte hain.
Muskaan- Oh. Toh chand ka bahaana banaa ke tu mujhe yahaan layaa taake tu mere saath waqt bitaa sake? Mere saath reh reh ke tu badaa smart hogaya hai. Aur cute bhi (pinches his right cheek)
Rahul- (smiles) Shaadi ki itni rasamon mein theek se baat bhi nahi kar paate. Itni rasme kyun hoti hai yaar?
Muskaan- (smiles and holds his hand) Chup kar. Yeh sab rasme bohot zaroori hoti hain.
Rahul- Kisne kahaa?
Muskaan- Mummy ne.
Rahul- Saasu maa ne kahaa hai toh theek hi kahaa hoga.
Muskaan- (hits him playfully on his arm) Baaz aaja. Pitega mujhse.
Rahul- (laughs lightly) Zindagi bhar ke liye toh phasaa liya hai. Jee bhar ke peet lena. Abhi toh chod de.
Muskaan- (smiles) Ab chalein? Agar Mummy yaan Papaji ne mere kamre mein jaake dekh liye, toh main phas jaoongi yaar.
Rahul- Theek hai chal. (holds her hand and kisses it then they walk back to the tractor hand in hand)
Muskaan- (outside her house) Ab tu jaa. Warna koi dekhlega. Waise bhi daadi iss time pe baahar walk pe nikalti hai. Agar hum doo ko saath mein dekh liya toh maar dalegi.
Rahul- Teri daadi se mereko badaa darr lagta hai yaar!
Muskaan- Issiliye toh keh rahi hoon. Jaa!
Rahul- Theek hai. Kal milne aoonga.
Muskaan- Oye! Paagal mat ban. Eik hafte mein shaadi hai naa.
Rahul- Eik hafta??? Eik hafta bohot hota hai!
Papaji- (from inside) Muskaan puttar!
Muskaan- Haan papaji???
Papaji- Oh puttar aithe ayeen zaraaa...
Muskaan- Ayee papaji.
Rahul- Jaa naa.
Muskaan- Tu jaa. Jaldi jaa! (he doesn't move. Just stands and smiles) Haiye rabba! (goes and hugs him) Bas? Ab jaa.
Rahul- (smiles) Bye. (leaves)
Muskaan- (breathes a sigh of relief) Thank you Rabba ji. Bachaa liya!
Random naa? Pata nahi aisi dreams kyun aati hain?😆 Whatever. It was cute until I woke up! Full night dream. Meri sabse badi achievement. Aage peeche 5-6 alag dreams aati hain.😆
Komz
part 1- pg 1
part 2- pg 3
part 3- pg 4
part 4- pg 7
part 5- pg 10
part 6- pg 15
part 7- pg 20
part 8- pg 24
part 9- pg 30
part 10- pg 36
part 11- pg 40
part 12- pg 42
part 13- pg 45
part 14- pg 47
part 15- pg 49
part 16- pg 54
part 17- pg 57
part 26- pg 77
part 31- pg 92
part 33- pg 103