PART 1
This starts the next morning after the night Ishqi meets with an accident with Savitri's kidnappers' car, that is, two days after she broke off her marriage with Mayank.
In the city hospital
Ishqi slowly gains her consciousness finding herself in an unknown environment.
Maasi- Ishqi beta tu uth gayi? Ab kaisi hai tu?
Ishqi-Maasi hum kahaan hai ? Aur Mera sar ese kyun dukh Raha hai jese wo machaar Marne Wala badminton bat se mujhe koi maar rahe ho?
Ishqi tries sitting up with the support of her hands but a severe pain shoots up her left hand.
Ishqi- Aaa..aah meri haath. Ye sab kya ho Raha hai Maasi. Mujhe AVM se baat karni thi.
Maasi- Beta aaram se. Tu hospital mai hai. Kal raat mujhe call aaya ki teri accident ho gayi hai. Teri ungliyoon mai chot aayi hai, pair mai v moch aayi hai. Tera accident kaise hua? Aur tu achaanak wahaan se vaag kyun gayi thi ?
Ishqi tries to remember what has exactly happened.
Ishqi- Haa mai resort k taraf hi jaa rahi thi ki achaanak dhappa karke ek gaari mere saamne aa gayi thi. Par mujhe bachane k liye koi hero to nahi aane wala, to mai apne aap ko bachaane kliye aakhri moment mai hat gayi thi, par mera paaun pata nahi kahi atak Gaya. Mai gir gayi aur Mera haath jaakar football jaisa bara patthar ko takar kha Gaya. Uske baad mujhe kuch yaad nahi hai.
Maasi- To wo gaari v ek pair se takra gayi thi. Waha front seat k do aadmi ka wahi dehant ho Gaya. Aur ek aurat v thi backseat par, wo v issi hospital mai admit hai. Aur haa Kartik ne bataya tha ki wo log subah hi wapaas chale jayenge, Sonu ki bidaayi apne Ghar se karenge.
Ishqi- Pata nahi AVM mere intezer karte karte chale Gaye honge. Gusse se wo to grenade bomb k tarah phat Gaye honge.
In the resort
Ahaan is still in the poolside, his legs immersed in the pool water, lost in the memories of the drunk night.
Ahaan(in his mind)- Ishqi puri raat intezar ki maine , phir v tum nahi aayi. Agar tumne mujhe reason bata d hoti aur agar tum sahi nikli to mai puri tarah tumhara saath deta Ishqi. Lekin tumhara yaahaan naa aana iss baat ko proof karta hai ki you are wrong Ishqi. I will always hate you.
Meri Shaadi aapse kyun nahi ho rahi hai AVM.
Lekin meri Shaadi to aapse nahi ho rahi na.( When Maasi was in hospital)
Ahaan-Shayad unknowingly mere actions ne v tumhe ummid de d thi ki haamre bich kuch ho sakte hai par maine to sirf mera best friend ka help Kar raha tha. Aaj uska family baarbaad hua hai only because of you Ishqi. You are a homebreaker Ishqi. Ahaan tu ese larki k liye thora v feel kaise Kar sakta hai. Yeh galat hai. Usse Shadi nahi karni thi to pehle bol sakti thi na. Par nahi isse to tamasha hi karni thi. Kya uss din Mehendi mai v jan bujh kar Mera naam likhi thi usne?
Nahi nahi esa hota to wo ajib react nahi karte, mujhe avoid nahi karte. Sab uske baad hua hai.
Chachi comes from back and calls Ahaan. He immediately wipes his tears to hide his pain.
Chachi- Ahaan beta, chal Kal humne decide kiya tha na k Sonu k bidaayi ghar se karenge. Delhi wapaas jaane ka time aa gaya hai.
(Here Sonu's bidaayi is from Malhotra house.)
Ahaan- Haa Chachi , aap jayiye, mai v jata hu.
Chachi- Tujhe ye baat phir se dohra rahi hu, ki dono pehlu jaane Bina koyi v faisla mat le.
Ahaan(in mind)- Isiliye hi to Puri night wait kiya, par kya faida.
In another locked room of the resort
Daadi was continuously trying some phone nos., but none of them were picking up. Finally, one of them picked up-
Person (with a painful voice)- Hello..
Daadi-Areh haraamzaado!! Phone kyun nahi uthate tum log.Agar uthana hi nahi hai to phone ko naale mai fek de. Kabse tum teeno ko phone kar rahi hu, ek ne v meri phone uthana zaroori nahi samjha? Savitri ko kahaan rakha ab?
Person- Areh Madamji, accident ho gaya hamare car ka.
Daadi- Kya? Savitri kaisi hai ab?
Person- Mere dono saathiyon aur uss aurat ka on-spot death ho Gaya hai. Mujhe v chot lagi hai bohot, lekin kisi tarah se mai waha se vaag gaya. Police k chakkar mai nahi parna mujhe.
Daadi-Kya wo mar gayi? Rab da shukar hai. Jo kaam itne dino se mai nahi Kar payi, iss accident ne kar diya.
Person- Kya accha hua? Mere do saathi mar gaye.
Daadi- Nahi nahi. Mai to sirf Savitri k marne se khush hu. Hum thori der mai Delhi wapas jaa rahe hai. Meri poti ki bidaayi aur reception hone wali hai. Isliye do-teen din Tak ek v phone nahi aana chahiye samjhe. Uske baad aakar apne paise le Jana.
Person- Thik hai madam.
In the hospital
Ishqi goes to meet the doctor. She limps due to her foot injury.
Dr.- Dekhiye aap log jyaada chinta mat kijiye. Ungliyon pe chot zor se lagi hai, haddi par hi lagi hai , par tuti nahi hai,toh ek-do weeks mai proper rest se thik ho jayenge. Raat ko jis aadmi me hospital laya tha aap logon ko, amir ghr k the aur usne initial treatment charges de diye hai. Par Baki medicines, etc. ka kharcha aapko khud karna parega.
Ishqi- Thank you doctor.
Dr.- Aur haa Kal raat aapko hospital laane k baad aapka phone check Kiya tha. Usme last message kisi AVM ka tha toh pehle usse hi call kiya par not reachable aa Raha tha. Isliye humne call log dekhkar, aapke Maasi ko call kar diye.
Ishqi(in mind)- AVM toh abtak jaa chuke honge. Mere na Jane se wo to gusse se Grenade bomb k tarah fat rahe honge.
Ishqi- Aur wo aunty, Mera matlab dusra patient jisse mere saath laya gaya?
Dr.-Uske paas kuch v nahi mila. Jis insaan ne laya tha usne kaha ki dekhkar lagta he shayad uski kidnapping kar k le Jaya Gaya tha. Kidnappers to on-spot mar Gaya. Isliye hum uske kisi rishtedaar se contact nahi Kar late.
Ishqi- Kidnappers ki toh esi ki tesi. Jesi karni wesi bharni. Rab ne use saza d hogi. Aunty ko jyada chot to nahi aayi.
Dr.- Uske sar pe chot lagi hai, aur knee mai v. Sirf hairline fracture hai knee pe to 3 mahine mai thik ho jayenge.
Ishqi- Kya? Hair mai fracture? Haddiyoon k saath baalon mai v fracture hota hai? Wahaan khoon v nikalta hai Kya doctor?
Dr.- No,no, no. Hair mai fracture nahi, hair line fracture. Wo hair jaise bohot thin hai na wese ek line k tarah thori si crack hua hai. 3 mahine k andar thik ho Jana chahiye. Wese toh hairline fractures isse jaldi thik ho jate hai lekin unki health condition itni fit nahi hai so she needs time.
Ishqi- Kya hum usse mil sakte hai?
Dr.- Abhi hosh nahi aayi hai, lekin aate hi mil lijiyegaa.
Next part- Savitri's past.
How was it? Criticism is welcomed.
Edited by Physics_girl - 4 years ago
3