Very well written as usual Pallavi! I'm also glad that Vir told her about the boys hostel thing.
Jaldi jaldi likho aage...tumhare FF ko padh kar pehle hi ro lenge...so that we are more prepared when Sakshi comes in the show😳
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
CRYING FAMILY 29.7
Gen 5 Storyline
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 July 2025 EDT
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
Kyunki Saas bhi kabhi Bahu thi 2 : EDT # 1
Will WAR 2 Surpass Saiyaara
Tanushree Dutta Requests People To Cooperate With PM Modi
Official Trailer - Andaaz 2
Who did it better?
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
TRIALS OF BOND 30.7
21 years of Mujhse Shaadi Karogi
Very well written as usual Pallavi! I'm also glad that Vir told her about the boys hostel thing.
Jaldi jaldi likho aage...tumhare FF ko padh kar pehle hi ro lenge...so that we are more prepared when Sakshi comes in the show😳
Originally posted by: Manasi_16
Very well written as usual Pallavi! I'm also glad that Vir told her about the boys hostel thing.
Jaldi jaldi likho aage...tumhare FF ko padh kar pehle hi ro lenge...so that we are more prepared when Sakshi comes in the show😳
Thanku yaar manasi. ❤️
Pallavi🤗
This is so heart wrenchingly beautiful. My heart breaks for Purvi when she runs away and talks to Kanhaji💔
socho kya kya dekhna padega mataji ke aane ke baad🤢
Waiting for your next update
Pallavi🤗
This is so heart wrenchingly beautiful. My heart breaks for Purvi when she runs away and talks to Kanhaji💔
socho kya kya dekhna padega mataji ke aane ke baad🤢
Waiting for your next update
Thanku shree. That u like. Thoda senti hai i know. Per
Abhi to bahut kuch hoga😊
Omg I just loved it 😢😭😭
Made me cry😭 waiting for update...
Part 2
Next morning
Mukhi purvi ko pure ghar me dhundhata hai. " Maa bawri kahin dikh na rahi. "
Tabhi purvi aati hai.
Vir: itni subah subah kahan se aa rahi hai?
Pur: hum kisi ko lene gaye the.
Vir: kise?
Purvi sakshi ko lekar aati hai. Sakshi ko dekh mukhi ke kadam ladkhada jate hai, wo apne aap ko sambhal nhi pata. Uski aankhon me aasu aa jate hai. Purvi mukhi ki haalat dekh rahi hai.
Vir sakshi ki taraf badhta hai. Purvi sakshi ko pakadkar use haweli k ander le aati hai.
Sakshi itni kamjor ho gai thi ki wo thik se chal bhi na pa rahi thi. Wo vir ki baahon me aa girti hai. Vir use sambhal leta hai aur uske aur sakshi k kamre me le aata hai.
Purvi wahin haweli ki chaukhat per apne pyar ko kisi aur k saath dekh bas ek bejaan shareer k jaise khadi rahti hai.
Haweli k sare log sakshi k kamre me hai. Wo bed per behosh padi hai aur vir uska haath pakde uske bagal me baitha hai. Purvi wahin piche khadi hai aur bacchon ne use pakad rakha hai.
Doctor sakshi ka checkup kar rahe hai.
Vir: doctor, sakshi kaisi hai. Sab thik to hai na?
Doctor: ji, mukhyain ji thik hai. Per kamjori bahut hai. Aur ek baat, inki haalat dekhkar lagta hai ki ye dimaagi taur pe kamjor ho chuki hai. kisi bhi tarah ka shock inke liye jaanlewa ho sakta hai. Inke liye accha wahi hoga ki inke aage sab waise rahe jaise 5 saal pahle ye chod kar gai thi. Mai samjhta hu mukhiya ji ki aap meri baat samjh gaye honge.
Mukhi apna sir 'haa' me hilata hai aur purvi ko dekhta hai.
Doctor: ab aaplog inhe aaram karne dijiye.
Sabhi wahan se chale jate hai.
Mukhi: ruk bawri. Wo purvi k haathon ko apne haathon me lekar use thanku bolta hai. Tujhe sakshi kahan aur kaise mili? Aur ye tune bahut accha kiya jo use haweli le aai. Tera ye ehsaan mai jeevan me kabhi nhi bhulunga.
Mukhi abhi bahut emotional hai per purvi is emotion ko vir ka sakshi k liye pyar samjhti hai.
Purvi: aap yahi rukiye. Sakshi ji ko aapki jaroorat hai.
Aur wahan se chali jati hai aur apne room me jakar bahut roti hai.
Purvi apne aap se baat karti hai: hum kyu itna pareshan ho rahe hai. Yahi to hum chahte the. Aur jab ye ho raha hai to hamen accha kyu nhi lag raha.
Kuch din tak aaram karne se sakshi ki tabiyat me sudhar hua. Per ab haweli k logo ki zindagi pahle jaise bilkul nhi rah gai thi. Jo bhi kuch hota wo sakshi ko dhyan me rakhkar. Bacche bhi udas rahte the. Kyunki unke sher aur haathi baat nhi karte the.
Manas: haathi, wo kaun hai?
Purvi: wo aapki maa hai.
Manas(gusse me) : nhi, hamari maa tum ho, aur gale lag jata hai.
Purvi bhi gale lagkar rone lagti hai.
Mukhi darwaje k baahar khada ye sab dekh raha tha.
Purvi: per manas, wo aapki asli maa hai. Humne aapko kanha ji ki kahani sunai thi na ki devki maa ne unhe janam diya aur yashoda maa ne unhe paala. To wo aapki devki maa hai.
Aur waise bhi Humsab to dost hai na
Purvi: accha ab tum dono hamari baat dhyan se suno. Tumhe unke saath acche se baat karni hai. Unka dhyan rakhna hai aur jyada se jyada time unke saath bitana hai.
Mukhi( sochta hua) : yo tu ke karna chah rahi hai bawri? Bacchon ko apne aap se dur kyu kar rahi hai? Wo tere bina na rah pawenge aur na hi mai.
Sakshi k aane k baad bhi teri jagah is ghar me mere dil me wahi rahegi jo hai aur koi bhi ise na badal sakta.
Ek din sab saath me drawing room me baithe the. Juhi aur manas apne haathi k saath khel rahe the.
Sakshi: ab is ghar me bahot kuch badal gaya hai. virendra! Ye ladki kaun hai? Jo mujhe yahan le kar aai.
Vir: ye wo baw......
Purvi mukhi ko dekhti hai.
Ye purvi hai. Ye......
Purvi mukhi ko bich me tok deti hai.
Purvi: hum bacchon ki aaya( nanny) hai.
Mukhi purvi ko hairani bhari nazron se dekhta hai aur man me bahut gussa karta hua sochta hai
"Ye bawri kya kah rahi hai? Kya jaroorat thi ise aisa kahne ki? Mai sambhal raha tha na! Bawri ye tune bahut galat baat kar di. Tu is ghar ki maalkin hai, mukhyani hai tu. Aur tune apna sthan(place) itna neeche kar diya sirf sakshi k liye.
Purvi mukhi ko dekhe ja rahi thi. Mukhi bahut gusse me tha.
Purvi sochti hai (flashback)
TU MUKHYANI HAI TO HAI. KE GALAT BAAT HAI ISME
sakshi: oh thanku, mere na rahne ke bawjood tumne mere dono bacchon ki acchi dekhbhal ki hai. Per tumhare kapde gahne dekhkar lagta nhi hai ki tum....
Purvi: are wo to hamare kaam se khus hokar mukhiya ji hamen dete hai. Mukhi ka gussa satve aasman per tha. Wo apni mutthi bandhta hai. Wo purvi se bahut naraz hota hai kyunki uski baaton ne mukhi k dil ko taar taar kar diya. Mukhi wahan se chala jata hai.
Ab her raat, her subah vir aur purvi k liye bechaini se bhari hui thi. Dono khulkar baat bhi nhi kar sakte the. Subah dining table per jo jagah purvi ki thi ab wahan sakshi thi.
Mukhi ko naasta parosna to dur wo mukhi ko ek nazar bharkar bhi nhi dekh pati thi. Jitni aasani se purvi ne socha tha ki wo apne aap ko mukhi se door kar legi, uske liye wo usse kahin jyada mushkil tha.
Dono ek dusre to bahut bure tarah se miss kar rahe the.
Sakshi ne bhi dheere dheere apna ghar sambhala.
Vir ki her choti baat ka dhyan rakhna sakshi ne sikh liya. Per vir ko bahut ajeeb lag raha tha. Sakshi k wapas aane se wo khus tha per apni bawri k bina apne aapko adhura mahsoos kar raha tha. Purvi k aas paas na rahne se wo bechain rahta tha, udas rahta tha, pareshan rahta tha.
Sakshi k aane k baad vir painting wale room me hi sota tha.
Ek raat
Sakshi: kya baat hai virendra, mai dekh rahi hu ki tum mujhse door rahte ho. Matlab, hum 5 saal baad mile hai per ek baar bhi tumne mere paas aane ki koshish nhi ki.
Vir: aisi baat na hai. Wo doctor ne tumhe aaram karne ko bola hai na isliye
Sakshi: haa, per tum mere paas to rah sakte ho na.
Vir chup rahta hai. Sakshi vir ka haath pakadkar apne room ki taraf aati hai.
Purvi sakshi k room ke bahar dusri taraf ke varanda me khadi hai. Wo ye sab dekh rahi hai. Ye dekh purvi ka dil bahut zor se dhadakne lagta hai.
Sakshi vir ko room ke ander le jati hai. Tabhi vir baahar dekhta hai, uski nazar purvi per padti hai, purvi bhi apne mukhi ko dekhti hai. Dono bebus chup khade bas ek dusre ko dekhte hai.
Tabhi sakshi apne kamre ka darwaaja ander se band kar leti hai.
Aisa kuch hoga par baad me hoga jab didiji theek ho jayegi..purvir longing for each other..Didiji trying to win vir back
Saba ki jagah hum apko bhejenge script likhne k liye😆
Sakshi itni kamjor ho gai thi ki wo thik se chal bhi na pa rahi thi. Wo vir ki baahon me aa girti hai.
Vir ki baho me
VIR KI BAHO ME
Ok ok I am fine
Oh Mahan devi kyu uthake laye use
Manas- ye kaun hai
Pur- ye apki maa
Manas gusse me- nai mere maa tum ho
Sakshi-
Mtlb pallavi ye padhke mujhe gussa araha hai show kaise dekhungi mai 😭😭😭😭😭😭
But this one is so good you are getting better and better 👌👌👌❤❤❤❤❤❤
God pls continue rakhna ap
Ek last aur
Saba after reading this
Sakshi itni kamjor ho gai thi ki wo thik se chal bhi na pa rahi thi. Wo vir ki baahon me aa girti hai.
Vir ki baho me
VIR KI BAHO ME
Ok ok I am fine
Oh Mahan devi kyu uthake laye use
Manas- ye kaun hai
Pur- ye apki maa
Manas gusse me- nai mere maa tum ho
Sakshi-
Mtlb pallavi ye padhke mujhe gussa araha hai show kaise dekhungi mai 😭😭😭😭😭😭
But this one is so good you are getting better and better 👌👌👌❤❤❤❤❤❤
God pls continue rakhna ap
Ek last aur
Saba after reading this
Nez🤣🤣
this is GOLD! TOTAL MOOD!
🤣
Sakshi itni kamjor ho gai thi ki wo thik se chal bhi na pa rahi thi. Wo vir ki baahon me aa girti hai.
Vir ki baho me
VIR KI BAHO ME
Ok ok I am fine
Oh Mahan devi kyu uthake laye use
Manas- ye kaun hai
Pur- ye apki maa
Manas gusse me- nai mere maa tum ho
Sakshi-
Mtlb pallavi ye padhke mujhe gussa araha hai show kaise dekhungi mai 😭😭😭😭😭😭
But this one is so good you are getting better and better 👌👌👌❤❤❤❤❤❤
God pls continue rakhna ap
Ek last aur
Saba after reading this
Itna bura likha kya maine🤣
Your 1st image 😆
2nd : yaar plz wo purvi nhi ho sakti😲
3rd funny. Find it interesting.
3rd part, jaldi likhungi. Sab pareshan ho gaye hai.