Hello. I've not watched the show since the writers showed Malhar/Shera as different persons and the abrupt exit of character without any resolution. So I'm watching old episodes. Here's a fanfiction I think of writing. Please let me know what you think of it.
A voice on Radio: Ting Tong! To ghadi ka kaanta nau baja raha hai and Roz ki tarah main aapse izazat maang raha hoon kya main apke dil me aa sakta hoon. Main hoon RJ Malhar aur aaj jo main kahaani sunane vala hoon vo hai Kalyani aur Malhar ki. Are Chaunkiye mat, ye kahaani 2021 ki nahi 1948 ki galiyon se Banaras ke savere ki dhoop ki tarah gunguni ye prem kahani."
Falgun ki gunguni dhoop me Kalyani ke baal aise lag rahe the jaise shyam jalprapat me kisi ne sone ke sikke chhitra diye hon. Ek haath se kitaaben aur ek haath se apni sari ka pallu sambhale Kalyani na jane kis dhun me apni dost Prabha ke saath chali ja rahi thi. Use lene motor aa chuki thi.
"Accha main chalti hoon Prabha," Kalyani chillai aur motor ke andar baith gayi.
"Driver. Baba itne dinon bad Poona se aaye aur mujhe college se lene bhi nahin aaye. Keh dena baba se unki Kallu gussa hai unse aur ab kabhi baat nahin karegi."
"Baba itne dino baad Poona se aye. Laye mere liye kucch vahan se."
"Khidki kyon band kar rakhi hai, falgun me thandi thandi hawaon ka mazaa na liya to kya kiya."
"Kabhi apne Alphonso aam khaye h Poona ke. Aha kya swad...vaise Banaras ke dashahri bhi kuch kam nahin hain."
Yoon Bolte bolte thandi havaon ke jhonkon ne jaane kon si Lori sunakar Kalyani ko sula diya.
"Kalyani, utho," jaise hi usne ye kaha, Kalyani ne uska haath tham liya.
"Are Doctor Sahab, ap Kalyani ko le aye," Atul Deshmukh verandah se bole. Atul Deshmukh BHU me Darshanshastra ke professor the aur Banaras ke buddhijeevi varg me unka bada ooncha sthan tha.
"Uth Kallu," unhone Kalyani ko thapthapate huye kaha.
"Sone do na Baba."
"Uth Badmash. Dekh main Poona se tere liye kya laya."
Kalyani turant uth gayi, "Kya laye ho Baba dikhao dikhao."
"Khud hi jakar dekh lo. Aur tumne doctor sahab ko pareshan to nahi kiya."
"Doctor sahab? Kon Doctor sahab?"
"Are ye. Dr. Malhar Rane. BHU se MS kar rahe hain aur jab tak vo poora nahin hota tab tak hamare oopar ke kamre me hi rahenge."
"To aap driver nahin ho?" Kalyani ne darte huye Malhar se poocha.
Malhar ne naa me sir hilaya.
"To fir apne mujhe bataya kyun nahin," Kalyani pair patakti hui ghar ke andar chali gayi.
"Pagal hai ye ladki bilkul," Atul ke chehre par muskan khel gayi.
"To doston, ye thi Kalyani aur Malhar ki kahaani ki shuruaat. Kal raat nau baje fir ham Banaras ki galiyon me khud ko kho denge aur ek din shayad vo paa lenge jo vakt ki raftaar me kahin gum ho gaya tha. Goodbye aur suniye ye khoobsurat gaana."
Sawaar Loon from Lootera starts playing.
Aur Dilli ki kisi chhat par, Kalyani naam ki ek ladki ek thandi aah bharkar radio band kar deti h.