Prem mein na toh gira jata hai na dooba jata hai aur na hi kisiko giraya ya uthaya jata hai!
Is sattwik bhawna mein hum sirf upar uthte hain, aur unke sath hamari bhi vridhi hoti hai jinse hum prem karte hain!
Toh devi Asfi, mere anuman se aap prem mein agey badhein, parantu kiske sath, iska vichar aap swayam karein! 😃
Dhanyavad Soma devi Aapki vishesh vichaar humare saamne pesh karne k liye😊🤗
Hume aapka sujhaav accha laga aur hum aasha karte hai ki jeevan mei jab bhi inn paristhiti humare samne aye toh hum ye sab dhyaan mein rakhte huye sahi rah pe chal sake👍🏼