PART 5
Ishita was looking around all confused when her eyes fell on ruhi,who was in her grandpa's arms ,looking at her confused and scared too.
Ishita smiled seeing her and said-ruhi,mere paas nahi aaogi??
Ruhi look at her and said-aap gussa ho rahi hai,aapne papa ko dhakka de diya.jabki papa aapse kitna pyaar karte hai,u know mumma,every night me and papa talks about u,he loves u alot,aapke liye papa kitna rote hai,phir aap unke saath aisa kyun kar rahin hai.she said making Ishita feel guilty.
Toshiji-haan puttar,tu nahi jaanti tere bina kaise jeeya hai mera puttar.bas saansein le raha tha,usse haste aaj dekha maine,pure teen saal baad.jab aaj tu mili use,tu kaise bhool sakti hai use,Raman toh teri jaan hai.uske liye kuch bhi kar sakti thi tu.uss par danger tha,tabhi toh uss mandir gayi thi tu, jahan se gir gayi thi.tujhe yaad nahi,yaad kar puttar ,she said trying to make her remember while she was just looking at them trying to remember everything but sadly ,she wasn't remembering anything.
Ishita hold her head and said-mujhe kuch yaad nahi hai,aur mera sar phata jaa raha hai.please aap log chale jaiye .she said and all went out.they settled in the corridor and start thinking what is wrong with her.
In doctor's cabin,
Raman-ishita ko kya hua hai ,doctor.usse kuch yaad kyun nahi??
Doc-she is suffering from amenesia.
Raman look at him all confused when he said-aam bhasha mein,unki yaaddasht chali gayi hai.jab woh uchayi se giri thi toh unke sar par chot lagi aur iski wajah se woh apna yaaddasht kho chuki hai.
Raman-iska koi ilaaj nahi hai?
Doc-ilaaj toh yeh hi hai,ki aap unhe ghar le jaaye,aur dheere dheere unhe sab yaad dilane ki koshish kare.
Raman-toh main usse ghar le jaun and tell her everything about us.
Doc-haan,but ek problem aur hai.
Raman-kya??
Doc-chot lagne ki wajah se unke dimaag mein ek clot ho gaya hai,bahut chota but it's dangerous.we have to operate it and make it fine,kyunki agar yeh burst hua,toh aapki biwi nahi bach jayegi .she will die.
Raman-kya,he said all shocked.
Doc-yes,Mr bhalla.ur wife is in acute danger.woh clot,it's like a bomb fit in her head,which can blast anytime.
Raman-toh usse operate kar dijiye.
Doc-its not that easy,we have to be very careful ,as it may lead to nervous breakdown ,or death.
Raman cried hearing it hiding his face in his palm-agar alag hi karna tha,toh mila kyun phir se.agar chinna hi tha,toh wapas hi kyun kiya,ek baar usse kho kar jee liya,har baar yeh nahi kar paaunga.
Doc-please Mr bhalla,aap aise niraash mat hoiye.
Raman-toh kya karun, doctor.usse kuch ho sakta hai,yeh soch hi mere liye itni suffocating hai ,ki main bardasht nahi kar paa raha.cant u do her operation now,aur usse bilkul thik kar dijiye.jitne paise lagenge,jis doctor ko bulana hai,aap bula lijiye.just make her fine.
Doc-its not about money or expert,unki khud ki body ready nahi hai .she is very weak,bahut kamzor hai woh,ek itna bada operation jhelne ki taakat nahi hai unme,naa physically naa mentally.we have to give her time,aapko unka khayal rakhna hoga,bahut jyada.we r starting her medication,uss clot ko bhi review karte rahenge,dekhenge ki uska kya affect hai Mrs bhalla par,woh grow kar raha hai yaa nahi .we have to observe it,usse pehle kuch bhi karna jaldi hoga and it's not good for her health.aap samajh rahen hai naa??
Raman-use hum dono ki past life ke baare mein bata sakta hoon??
Doc-yes,but take it slowly,very slowly.bahut saari information woh grasp nahi kar paayengi.u have to take very good care of her.
Raman-main sab kuch karunga,just make her fine.he said and went out slowly .he walked to her room and saw everyone sitting outside.
Raman-aap sab yahan??
Mr iyer-she told us to wait here.kya kaha doctor ne.
Raman didn't answered just went inside.ishita was sitting on the bed lost in her thoughts when she felt someone entering the room.she raised her head and saw Raman coming to her.
Ishita-see mr,mujhe nahi pata aapka kya naam hai,but I think u r getting it wrong,she was saying when he came very near to her and before she could understand anything,he hugged her tight and start crying .
Ishita didn't said anything hearing his crying while he cried for long hugging her tight.involuntarily her hands went to his hair and she start caressing it slowly trying to console him.feeling her warmth ,he cried louder and said-please mujhe chod kar mat jaana,main mar jaaunga.pichli baar nahi mar paaya tha,kyunki ruhi bahut choti thi,but this time,this time I will die if u went leaving me alone.please never leave me,main nahi jee paaunga.he was saying while Ishita felt tears in her eyes too.she didn't understand why she is crying,but the fact was she was crying with him,not able to bear her pain.
All were sitting outside the room worriedly when shagun came and said-sab yahin hai,how I am going to kill her.kahin usne inn logon ko sach toh nahi bata diya .agar aisa ho gaya hoga,toh main kya karungi,she thought and went to everyone.
Shagun-kya hua,aap log pareshan lag rahen hai,akka thik hai naa??
Amma-dont know,she is not recognising us,jaise usse kuch yaad hi nahi .jaise sab kuch bhool chuki ho,she said making shagun smile .she smiled instantly and next moment made a sad face and said-kya,yeh kya keh rahin hai.aisa kaise ho sakta hai,akka ko kuch yaad nahi.unhone Raman ko pehchana.
Amma nodded in no and shagun said-raman toh bahut dukhi honge,kahan hai woh abhi.khud ko kaise sambhal rahen honge,unhe meri zarurat hogi.kahan hai woh,she asked and amma told her that he is inside.
Shagun-main dekhti hoon unhe,she said and went happily to check on Raman.
Ishita-ishita ko kuch yaad nahi,iska matlab woh mera sach nahi bata payegi.usse Raman bhi yaad nahi,my poor baby,must be so sad.but not to worry,I will take care of him.she was thinking and was about to enter the room but stopped seeing them hugging.raman was crying while ishita was just consoling him.
Shagun fumed in anger seeing them so close and said-mujhe kabhi apne paas nahi aane diya and he is hugging her.no ways,main haar nahi manne wali .main Ishita ko jeetne nahi dungi,Raman mera hai,sirf mera.she said and went inside.
Shagun-thank god aap thik ho akka,I was so happy to hear about u.mujhse raha hi nahi gaya,toh main aa gayi.she said and ishra broke the hug .
Ishita composed herself and said-aap kaun hai??
Shagun-yeh kaisa sawaal hai ,akka.i am ur sister,baby sister.haan Raman ki wife bhi hoon ab,but pehle main aapki behan hoon.she said smirking while Raman glared her for telling this to ishita.
Shagun-kya hua ,Raman.aap batana nahi chahte the kya akka ko,sorry I don't know this .
Ishita-tum meri behan ho,aur aap uske pati.matlab aap meri behan ke pati hai ,toh aap mujhe apni biwi kyun keh rahen hai.
Raman-kyunki tum meri biwi ho,haan maine aur shagun ne shaadi ki hai,but woh sirf ek contract marriage hai.shagun ne tumhara bachcha, hamari bachchi ruhi ke paalne ke liye mujhse shaadi ki thi .hamare beech aur koi rishta nahi.aur shagun,main Ishita se kuch nahi chupata,naa kabhi chupaya hai aur naa aaj chupata.but lagta hai tumhe bahut jaldi thi apna rishta batane ki,toh meri bhi sunn lo.tumhari aur meri shaadi ki ab koi value nahi,kyunki meri pehli biwi zinda hai,meri legal wife zinda hai.toh hamari shaadi null and void ho gayi.so I will be grateful agar tum yeh baat ab accept kar logi .he said making shagun's face fall while ishita said-ruhi ko paalne ke liye aapse shaadi kar li,itna bada favour .u really love me alot naa.
Shagun-yes akka,main bahut pyaar karti hoon ruhi se,jiski maa thi kal tak,aaj se dobara maasi ho gayi .she said trying to emotionally blackmail Ishita.
Raman-i think we can talk about this in home,yeh sab baatein yahan karne ki koi zarurat nahi .
Ishita-main nahi jaa rahi aapke saath,how can I go.ek toh mujhe hamara rishta bhi yaad nahi ,aur aap meri behan ke pati hai .
Raman-listen Ishita,meri ek baat dhyaan se sunn lo .yeh shaadi koi shaadi nahi hai,kyunki Maine nahi kaha tha shagun ko mujhse shaadi karne ke liye.woh apni khushi se ruhi ki maa bani thi aur maine bahut saaf saaf usse kej diya tha,that I will never love her,maine sirf tumse pyaar kiya hai,aaj aur hamesha.toh usse hum dono ke beech mein mat lao.tum ghar chal rahi ho and I am not going to hear a word against it.
Ishita-aap mere saath jabardasti nahi kar sakte,main nahi jaa rahi aapke saath.she said making shagun smirk.
Shagun-i know ,u r too good,mera haq nahi le sakti.ek baar tum apne ghar jao,I will finish u .she was saying when she heard Raman saying-ok,mat jao.i am jumping off the window.main mar jaaunga,toh khush ho jaana tum apni yeh bakwaas le kar.he said going towards the window when she got up and pulled him to her.he came closer and hold her waist.he cupped her face and said-i can die for u,u want me to show it.
Ishita nodded in no closing her eyes feeling his touch.
Raman-toh please ghar chalo,main sab sort out kar dunga.shagun ka bhi dum ghutta hai iss loveless marriage mein,trust me,I will find a nice boy for her.but please tum ghar chalo.ab tumse dur nahi reh paaunga.he said to which she nodded ,can't see him in more pain.he smiled and kissed her temple while shagun went out fuming.
She went out and said-raman akka ko ghar laa rahen hai,main arrangement karne jaa rahi hoon .saying so she went faking tears.
Mr bhalla-mujhe baat karni padegi Raman se.he was saying when Raman came out and said-ishita ki tabiyat kharab hai,woh hum sab ko bhool chuki hai.usse sab kuch yaad dilane ke liye,I am taking her home.he said making toshiji aur ruhi happy while Mr bhalla wasnt happy.and iyers were partly happy,as their one daughter is going home,while other lost her home.
Mr bhalla-usse ghar le chaloge,shagun ko kya jawaab doge .I don't think it's a nice decision.shagun ke baare mein socho.
Raman-woh amma-appa ke ghar chali jaaye .waise bhi ab iss shaadi ke koi maayne nahi.
Mr bhalla-how can u be so selfish.
Mr iyer-i think we should take Ishita to our house.she will be safe with us.
Raman got angry hearing this and said-aap sab ko lagta hai ki main usse chodunga.even after knowing her condition ,I cant leave her.main usse akela nahi chodne wala,ek pal ke liye bhi nahi.ishita mere saath jayegi,mere ghar,woh mere saath rahegi.usse appa ke ghar mein rakhne ka toh sawaal hi nahi uthta.haan woh unki beti hai,but she is my wife,my life.main usse khud se dur nahi jaane dunga.aur ab toh bilkul nahi.
Mr bhalla-but Raman,think about shagun.itna selfish mat bano.
Raman-shagun ko kya problem hogi,aur kyun.woh jaanti hai maine kabhi usse pyaar nahi kiya.woh achchi tarah jaanti hai ki meri zindagi mein sirf ishita hai aur koi nahi.she always knew it and still she marry me for ruhi,aur ab toh uss shaadi ka koi matlab hi nahi.its null and void.meri aur shagun ki shaadi illegal hai,papa.shagun ko kyun bura lagega.
Mr bhalla-u r behaving like maniac,raman.sirf legal nahi hote rishte,humanity bhi hoti hai.
Raman-haan,toh main shagun ke liye sab kuch kar sakta hoon.usse apni property de sakta hoon,uski dusri shaadi karwa sakta hoon,uske liye sab kuch kar sakta hoon,but apni Ishita ko nahi chod sakta.aur ab toh bilkul nahi,yeh jaan kar ki woh kitni bimaar hai,I can't leave her.woh bole naa bole,I know she needs her Raman ,and I will be with her always.he said and took ruhi in his arms.
Raman-mumma ko ghar le chalein ,babu.he asked to which ruhi nodded.
Raman smiled and said-if u r with me,mujhe kisi aur ki permission nahi chahiye.ishita meri biwi hai aur mere saath jayegi.aur agar kisi ne problem create ki,toh anjaam bahut bura hoga.i can even kill myself,he said making everyone shocked and went to take ishita's discharge papers.
After an hour,ishraruh were going home.raman was driving while ishita was sitting silently and ruhi was talking to her happily.
That's all for now,enjoy.