Silent reader posting for first time...
Mai yaha kabhi post nahi ki kyonki jyadatar mere opinion same hi hote hai lekin pahli bar alag lag raha hai.
Sab log Vedika ko kyo blame kar rahe hai? Vedika ki arranged marriage hai, na ki love marriage agar Karthik Naira se pyar karta hai to usko koi step lena chahiye, Vedika kyo apna ghar chhodegi?
Mana uski shadi illegal hai to bhi Karthik ne Vedika se dusri shadi ki hai, isme Vedika nahi balki Karthik hi fasega, puri society ke samne usne pahli patni hote hue bhi dusri shadi ki hai, iske liye to Karthik ko jail bhi ho sakti hai agar Vedika case kare to.
Mai waise post nahi karti lekin precap me jab Naira ne kaha ki kismat ne Vedika aur naira dono ke sath khel khela hai, naira ki takleef jyada hai kyonki uska ek baby bhi hai to mera dimag kharab ho gaya.
Kismat ne kya khel khela? Merko Vedika pasand nahi hai, Kaira ke liye show dekhti thi mai bhi par abhi wo dono galat hai. Naira hi to ghar chhod kar gayi thi, usko pata tha ki wo pregnant hai fir bhi, Ye to uska decision tha, isme kismat ka kya lena dena? Fir jab wo wapas ayi to usne Vedika ki shadi Karthik se hone di, wo rok sakti thi.
Fir usne Vedika ko promise kiya ki wo chali jayegi, ab isme Vedika aur kismat ki kya galti? Ye sare decision to naira ne liye Vedika aur Karthik ke liye.
Vedika janti hai ki Karthik Naira se pyar karta hai lekin uski shadi ke waqt naira nahi thi, sabko laga ki naira Mar gayi hai, log dusri shadi karte hai, ye koi love marriage nahi thi. Karthik pyar karta hai naira se to usko shadi nahi karni chahiye thi.
Har kisi ko pyar ke liye shadi karne ko nahi milta, Vedika ke pas in logo ke alawa koi aur hai hi nahi, wo kaise chhod de? Koi apna ghar kaise tod dega? Naira ke jaisa sab kuchh chhod kar bhag Jane ka kaam to nahi kar sakte, aur naira ke pas 2 family hai, Vedika ke pas koi bhi nahi hai.
Kahna asaan hota hai ki sab chhod kar chale jao, karna bahut mushkil hai, jab age kuch dikhe hi na
15