Part 14:-
Sam:-thik he..tum phone karke dr.mehra ki appointment lelo..mein tumhare aur arjun ke sath chaluga..
Riya:-ok bhai..
Riya fir doctor ke hospital call karke next week ki appointment le leti he..
Riya ye baat ghar me sabko batati he..
Suryakant:-riya beta arjun ke liye ham bahot sare doctors se mil chuke he..lekin agar tum ek aur doctor se consult karna chahti ho toh muze koi problem nahi..
Smita:-lekin usake liye tumhe delhi jana padega..aur arjun ko leke delhi kaise jaogi..??
Riya:-bhai ne kaha he ke woh mere aur arjun ke sath chalege..
Suryakant n smita look each other worrily..
Smita:-riya beta lekin agar kuch problem hui toh arjun ko handle karna mushkil ho jayega..
Aayesha:-aai mein jati hu na riya ke sath..dont worry mein aur riya dono arjun bhai ka khayal rakh lenge..
Suryakant:-ha ye thik rahega..(looking to Ayesha)bas baki kuch gadbad mat karna..
Aayesha lower her head..
Next week sameer,Ayesha ,riya aur arjun delhi ke liye nikal jate he....
Woh log delhi me ek hotel me ruke hue he..sab sath me dinner kar rahe he..
Sam:-riya tum aur aayesha ek room share kar rahi ho..aur arjun aur mein ek room lenge..
Arjun:-no..mein tumhare sath nahi rahuga..
Sam:-thik he toh tumhare liye separate room dekh leta hu..
Arjun:-mein akele nahi rahuga raat ko..
Sam rolled his eyes..
Sam:-toh fir mere sath hi room share karna padega..
Arjun (mutter to riya):-tumhara bhai na bhaot khadoos he..
Riya give him fake glare..
Agle din sab dr.mehra se milne unke hospital pahoch jatehe..
Hospital dekh ke arjun conscious ho jata he..
Arjun:-ham yaha kyo aaye he riya..??tumne toh kaha tha ham ghumne ja rahe he..
Riya:-ha..ham ghumne hi toh aaye he arjun..woh bas ye doctor he na woh sameer bhai ke dost he..toh bas thodi der unse milke nikal jayege..
Arjun look suspiciously to samsha n riya..
Aayesha:-accha..agar aapko nahi milna he na doctor se..toh aap yahi baithiye arjun bhai..ham unse milke aate he ..thik he..
Arjun(smile):-ha..ye thik he..
Kehte hue arjun waha par ek bench par baith jata he..
Sameer aayesha aur riya teeno doctor se milne unke cabin me aate he..
Arjun ka case history file doctor read karte he aur fir teeno se baate karte he..
Dr.mehra:-ok..riya mein aapse kuch baat karna chahta hu..kyo ki aapne kaha ke aap ne arjun ki treatment ki full responsibility uthayi he..n u r his wife..
Riya softly nodded..sameer aur aayesha bahar jate he arjun ke pass..
Ab sirf dr.mehra aur riya hi he cabin me..
Dr.mehra:-riya..i know ye bahot hi personal he..par I need to know ke arjun agar khud ko 15 years ka samzata he..then how u n arjun ended up in marriage..
Riya unhe sara sach batati he..
Dr.mehra:-I see..(with pause)riya..i know ke ab aap aur arjun married he..may be aapko ye expectation hogi ke arjun thik ho jayega..aur then aapki married life normal hogi like other couples,but I don’t want to give u false hope..i cant give tell u that arjun will be alright ..i cant tell u anything confirm..its all game of mind..
Riya:-I know doctor..n jaise aap soch rahe he waise meri koi expectation nahi..hamari shadi ke future ke bare me mein aage nahi soch nahi chahti..aur rahi expectation ki baat toh meri bas ek hi expectation he ke arjun normal ho bas..
Dr.mehra(smile):-don’t worry..its difficult..but not impossible..
Riya(pleasantly shocked):-kya sach me..??kya sach me arjun thik ho sakhta he..??
Dr.mehra:-bilcul..kya mein arjun se baat kar sakhta hu..??
Riya(soch me padte hue):-ji..lekin..
Dr.mehra:-lekin kya..??
Riya:-lekin jaise ke meine aapko bataya tha ke arjun doctors se milne ke liye ready nahi hota..
Dr.mehra:-don’t worry..woh muzpar chod do..send him in my cabin..
Riya softly nodded..
N she come out n walked to arjun ..samsha look her with question..
Riya:-arjun..woh bhai ke dost he na ..tumse bhi milna chahate he..
Arjun(pareshan hote hue):-muzse kyo..??tum kuch zoot bol rahi ho na..muzse.??kya woh mera ilaz karege..??firse koi psycharists he na..??
Riya(hold his hand):-I know arjun ye sab tumhe accha nahi lagta..par ek bar unse mil lo..
Arjun:-tumne zoot bola..zoot kaha ke woh sameer bhai ke dost he..
Arjun ke aakho me gussa saf dikh raha he ..jisse aayesha pareshan ho jati he..aur sameer bhi tensed ho jata he..
Riya:-sorry..mein bas tumhe dukhi nahi dekhna chahati thi..i know jab bhi doctor ki bat hoti he toh tum kitne pareshan aur sad ho jateho..issliye meine zoot bola..
Arjun:-tum zoot bologi aur mein man jau..?
Riya:-sorry..age se nahi karugi..
Arjun:-promise..??
Riya:-promise..
Riya:-toh fir ab doctor se mil lo...plz..
Arjun aur jyada tensed ho jata he..
Riya:-mere liye..plz..??
Arjun:-ok..
Woh aise hi tension me doctor ke cabin me jata he..
After an hour..
Arjun doctor ke cabin se bahar aata he..aur chup chap bench par baith jata he.,.
Riya aur aayesha usake taraf worried hoke dekh rahi he..
Sam doctor ke cabin me jata he..fir kuch hi palo me wapas aata he..
Sam:-riya..doctor tumse baat karna chahte he..
Riya signal aayesha n sam too look after arjun..n walked to dr.mehra’s cabin..
Riya:-ji doctor..
Mr.mehra:-baitho riya..
Riya take sit..
Riya:-aapko kya lagta he doctor.??will he be alright..??
Dr mehra:-ha..hamare pass abhi bhi umeed he..
Riya smiles..
Dr.mehra:-par ye sab bahot hi mushkil hone wala he..
Riya:-mein har mushkil se ladugi doctor..
Dr:-I really like ur spirit riya..
Riya:-aapko sach me lagta he doctor ke arjun thik hojayega..aur baad me kisi normal ladke ki tarah apni life bita sakhta he..??
Dr.:-ha..muze aisa lagta he..kyo ki mein isse pehle hi ek aisa hi case handle kar chukka hu..
Riya:-kya..??
Dr.:-ha..uss case me woh ladka 25 years old tha..usaka ek bahot hi zabardast accident hua jisse woh 5 sal tak comma me tha..usake gharwalo aur doctors ne sare hope chod diye the tab ek din achanak woh coma se bahar aaya..usane apne life ke 5 years gava diye the..iss bich usaki family,usaki professional life ,personal life me bahot kuch badal chukka tha..lekin usaka dimag ye baat manane ko hi tayar nahi tha ke ab sab kuch badal chukka he..jisse usaki halat bhi kuch had tak arjun jaise ho gayi thi..woh unn 5 years ko apne life me consider hi nahi kar raha tha.woh waise hi life chahata tha jaise usake accident ke pehle thi..
Riya:-aur kya woh thik ho gaya..??
Dr.:-ha bilcul..usake liye ye mushkil tha..lekin finally he is alright..aur ab bilcul thik he..
Riya:-matlab arjun bhi thik ho sakhta he..
Dr.:-sach kahu toh arjun ke mamle me ye zara difficult he..mera woh patient 25 years ka tha jab usaka accicdent hua..mera matlab he ke usaki umar aise thi ke woh mature tha..woh apne aas pass ke changes samaz sakhta tha..unhe accept karne itni maturity thi usame..par arjun 15 years katha..usaki dimag ki maturity level waise hi he jaise 15 years old ki hoti he..issliye woh psycharists ke pass jane se katrata he..jab koi usse kuch galatkeh deta he toh woh usse jyada hyper ho jata he..baki sab ki bate woh maturity se handle nahi kar pata n that leads to his loneliness n depression..
Riya soflty nodded..
Dr.:-meine arjun se baat ki..aur jo bhi tumne aur baki sabne muze bataya uss hisab se arjun tum par bahot jyada dependant he..tumse bahot attached he..so I think arjun ke treatment me tumhara role important ho sakhta he..
Riya:-ji..(with little pause)actually woh muzse bahot jyada attached he..jo ke kabhi kabhi muze pareshan kar deta he..
Dr:-kya matlab..??
Riya:-matlab I know ke woh muze apni dost manta he..but woh muze apni girlfriend bhi manta he,.he asked me that..aur uss waqt mein sirf arjun ko thik karne ke bare me soch rahi thi toh meine bas ha bol diya jyada soche bina..n now he know we are married..i mean though he is not that much mature but he know what is marriage..
Dr.:-kya aapko lagta he woh psychically attracted he aapse..??
Riya:-I don’t know..but may be shayad kuch had tak..(emrassely)he asked me one day that we had not kissed yet n had not done the suhagraat thing they do in movie...
Dr.:-see riya..arjun ki mental situation bahot complicated he..woh kayi bar ek teengaeer ki tarah sochta he..toh kabhi waisa sochta he jo koi aur usse kahe ya usaki body usse kahe..woh bahle hi ek teenager he..but woh ye samaz raha he ke usake aas pass aur usake body me bahot se changes aaye he..usake liye tum woh dost ho jis par woh aakhe band karke bharosa kar sakhta he..usake parents aur usaki behen ke baad tum hi ho usake jyada kareeb..i know he may be don’t understand love n meaning of love..but I wont be suprized if he say he love u..
Riya looking to dr with shock..
Dr.:-aksar jo log hamare bure dino me sath dete he..unse hame motionally bahot jyada attached ho jate he..unhe pasand kiye bagair ham reh nahi pate..
Riya:-I don’t know doctor..par shayad arjun jab thik hojayega toh shayad woh aise feel nahi karega..kyo ki thik hone ke baad usse ye bhi pata chalega ke usaki aise halat ke liye mein hi zimmedar thi..
Dr(smile):-woh kya sochega kya nahi..ye uss par chod do..aur rahi arjun ki tumse attachment ki baat toh let it be..it will be useful in his treatment..u can handle him well ..
Riya softly nodded..
Riya:-ab hame kya karna chahiye doctor..?
Doctor:-arjun ko usake pehle dr Sharma ne jo medicines dithi taki usse gusse aur depression par kabu rakh sakhe..woh medicines ham continue karege..
Riya:-ok..
Doctor:-n next..i know ke bar bar aapko delhi aana utna flexible nahi hoga,so we can have talk on phone..
Riya:-thank u doctor..
Doctor:-n next..jaise ke aapne bataya tha ke aapne usse baki logo ke sath mix up karne aur padayi suru karne ki koshish ki thi...
Riya:-ji..lekin baki logo ki bato se woh bahot affected ho jata he..aur padayi ke liye woh school nahi jana chahata kyo ki usse lagta he ke baki students usse tease karege..
Doctor:-hmm..school jane ke liye usse force karna thik nhaihoga..usaki padayi other tarike se bhi zari rakhi ja sakhti he..
Riya:-ji..doctor kya arjun ko iss bat ka ehssas dilana zaruri nahi he ke usake sath exactly problem kya he..??
Doctor:-bilcul riya..aur ham usse ye ehsaas dilayege zarur..lekin usse pehle arjun ko iss baat ka ehsaas dilana ke woh pagal nahihe..warna psycharists ki treatment aur sabki bate inn sabse arjun me complex aa jayega..aur aaj jab meine arjun se baat ki toh muze laga ke kahi na kahi shayad woh bhi yahi sochta he ke woh pagal he..
Riya:-hmm..
Thodi der doctor se baat karke riya wapas aati he..
Sab hospital se bahar aate he aur hotel wapas jate he..
Arjun bas chup chap bed par baith jata he..jo dekh ke sameer riya ko signal karta he ke woh arjun se baat kare..aur sameer room se bahar jata he..
Sameer ko room ke bahar hi aayesha mil jati he..
Aayesha:-tumse kuch baat karni he sameer..room me chale..??
Both headed to riya n aayesha;’s room..
Here in arjun n sam’s room..
Arjun bed par baitha he..aur kuch baat nahi kar raha..
Riya usake pass baith jati he..
Riya:-tum naraz ho muzse..?
Arjun bas muh fer leta he..
Riya:-baat bhi nahi karoge muzse..??
Arjun kuch nahi kehta..
Riya:-agar aisa karoge toh mein ro dungi..
Arjun:-riya..
Riya(smrik):-ab kya..??baat toh karni nahi thi muzse..??
Arjun:-toh fir tumne zoot kyo bola..??woh mehra doctor bhi mera ilaz karege na ab..??
Riya:-tumhe muz par bharosa he na..??
Arjun:-ha he..?lekin tum zoot kyo bola..??bola tha ham delhi ghumne ja rahe he..bahot maza karege..aur dekho yaha aakar muze doctor ke pass le gayi..
Riya:-are ghumne toh ham jayege na..bas lunch kar lete he..fir jayege..
Arjun:-kaha..??yaha se agra jyada dur nahi he na..??muze waha ke pagal khane me dal dogi yahi nah..??
Riya stares him with shock..
Arjun:-bolo na..yahi karna he na ab..??
Riya:-tumhe sach me lagta he mein aisa karugi..??tumhare hisab se mein bahot buri hu ke tumhe pagalkhane me dal dungi..?
Ye sunke arjun ka gussa thoda kam hota he..
Arjun:-nahi..tum buri nahi ho..tum toh bahot acchi ho..bahot jyada..i know mere sath hi kuch problem he..issliye tum aai baba sab bar bar muze doctors ke pass le jatehe..medicines dete rehte he..
He move his fingers through his long n scattered hairs..
Riya:-aisa nahi he..koi problem nahi he..chalo tum fresh hojao..ham fir lunch karke bahar jayege..
Arjun softly nodded..n walked to washroom in his own thoughts..
Riya sigh..
Riya(in mind):-iss waqt arjun ko thoda distract karna hoga warna na jane kya kya sochta rahega..ha..bhai ko bolati hu kahi sightseeing ka programme banaye..
She walked out of room..n then walked to her room..she open door slightly of her n aayesha’s room when she hears sameer n aayesha’s talk..
Aayesha(aakho me aasuo ke sath):-sameer mein toh bas tumhe thanks bol rahi thi ke tum arjun ki itni help kar rahe ho..lekin tum ho ke muze itna kuch suna rahe ho..
Sameer:-u deserve this aayesha rawte..aur muze tumhara thanks nahi sunana..mein jo bhi kar raha hu na apni behen ke liye kar raha hu..
Aayesha:-tum sab kuch apni behen ke liye kar rahe ho..riya se itna pyar karte ho..toh kya mera mere bhai ke liye pyar nahi samaz sakhte..ye nahi samaz sakhte ke meine bhi jo kiya woh apne bhai ke wajah se kiya tha..
Sameer:-nahi..mein nahi samaz sakhta..aur ki tumne bhale hi apne bhai ke liye sab kiya ho,par jo bhi kiya galat kiya..aur khud ki comparision toh tum muzse aur mere behen ke pyar se karo hi mat..mein bhi apne behen se bahot pyar karta hu..lekin mein usake liye kuch galat rasta nahi le raha..agar koi aur hota mere jagah toh shayad bahot galat rasta chun liya hota..tumhare sath kuch galat kar baitha hota..tumhare khandan ka naamo nishan mita chukka hota..arjun ko hi mar chukka hota..par meine aisa nahi kiya..kyo ki mein tumhari tarah ghatiya inssan nahi hu..
Aayesha(cried ):-ha hu mein galat..ha..hu mein ghatiya ladki..issliye toh mein aai baba aur tumhari ye nafarat seh rahi hu..issi kabil hu mein.toh mar dalo na muze..(she hold his both hand n put on her neck)mar dalo..mar dalo muze..
Sameer remove his hands in anger..n hold her by her shoulder tightly that she winch in pain..
Sameer:-tumhe mar kar kuch thik nahi hoga..agar tumhe markar meri behen ki zindagi thik ho jaye toh mein woh bhi karta..
He push her n her back hit to wall..she fall on knees n started crying miserably..
Riya(rushing inside):-bhai..??ye sab kya he..??
Sameer:-iss ladki ko mein bardast kar raha hu sirf tumhare wajah se..sirf tumahre liye..
Sameer walked away in anger..riya sigh..n then turn to aayesha..she rush to her..make her stand n then took her to bed..she make aayesha sit on bed..n give her glass of water..aayesha drink a little bit..
Riya:-r u ok..?
Aayesha(wiping her tears):-sameer thik he kehta he I deserve this..
Kehte hue woh washroom me bhagti he..
Riya sigh in tension..
Thodi der baad lunch karke woh sab ek jagah ghumane jatehe..jisse arjun ka mood thoda accha hota he..
Next day woh sab pune wapas aate he..sam wapas Mumbai chala jata he..
Next day..rawte house me sab living me he except arjun..
Suryakant;-ye toh acchi baat he ke dr.mehra se hame koi hope mil rahi he..
Smita:-lekin riya beta ,arjun toh school jayega nahi..fir usaki padayi kaise hogi..??
Riya:-woh meine pata kar liya he aunty..jo students apni padayi bich me chod dete he ya kisi wajah se padh nahi pate..years ka gap lete he education me woh students directly 10th class ki board exams de sakhte he..
Suryakant:-ye toh bahot hi accha he beta..
Riya:-uss exams ke forms aate hi mein woh bhar dungi arjunke liye..aur tab tak arjun exams ke liye padayi bhi kar lega..
Suryakant:-good..par kya woh aise ghar par padayi ke liye ready hoga..
Riya:-ye aap muz par chod dijiye uncle..
Arjun’s parents nodded n smile..
Riya arjun ke pass aati he..
Arjun:-riya..??aao na..
Riya:-arjun..tum apni padayi complete kab kar rahe ho..
Arjun:-padayi??(sad hote hue)lekin mein school nahi jata toh kaise padayi..
Riya:-kyo tum ghar par bhi padayi kar sakhte ho..mein tumhari help karugi..??
Arjun:-sach me..??
Riya:-hmm..aur fir tum 10th ki exam bhi de sakhte ho..
Arjun:-really..??
Riya:-yes..
Arjun smiles happily..
Riya:-toh chalo..ham log shopping par chalate he..tumhare liye books,notebooks leke aayege..
Arjun:-ok done..
Riya aur arjun dono shop me jate he..arjun ke liye books aur notebooks karid late he..riya hi driving karti he..
Riya:-hey arjun panipuri khaye..??
Arjun :-ha..
Dono bhi panipuri khate he..aur happily wapas aate he..
Riya observe karti he ke arjun bahot khush he..ek toh usaki padayi suru hogi iss bat se aur second bahar ghumne ke wajah se..
Actually waise toh arjun ko bahar ghumna firna bahot pasand he lekin usaki halat ke wajah se usake parents usse ghar se bahar nahi nikalne dete..aur kayi bar woh bhi logo ki strange nazaro se bachne ke liye ghar me rehta he..
Lekin aaj arjun ki khushi dekh riya decide karti he ke woh aise hi arjun ko bich bich me kahi bahar le jaya karegi ..jisse usse accha lagega..
Days goes on aise hi ek mahina beet jata he..riya arjun ki padayi par full focused kar rahi he..usaki puri help kar rahi he..arjun jo basically ek accha student he aur padayi me pehle hi hoshiyar he acchese padayi par concentrate kar raha he..aayesha bhi isame arjun aur riya ki help kar rahi he..
Then one day..aayesha left to Mumbai as her second year ofcollege has started..
On the other hand riya pune me hi rehti he arjun ke sath..aur decide karti he ke woh yahi se apni padayi puri karegi..
637