Originally posted by: sanabmw
no idea about martial rape crime..
but in islaam women's k right bahot hai. agar aapko aapka partner pasand nahi hai to ap khula le sakte ho even on nikaah day
.. but dramas and movies main bahot negative way main show kiya jata hai.. even halala ko bhi negative way main bataya jata hai.. basically halala isliye hai k mard apni wife ko divorce dene se pehle 100 times soche.. ye nahi k aapne gusse main de diya than u want k wapas aa jao nikaah main.it's not a game k on off chalta rahe.
ek mard k liye ye nightmare hoga k apni wife ko divorce dekar wapas agar nikaah main Lana hai to pehle usko kisi aur k nikaah Main aana must hai.. and relations bhi banana padega.agar ye rule na hota to men har two minutes main divorce de rahe hote.
but is cheez ko understand na kar k isko negatively show kiya jata hai that's wrong. and kuch log iska fayda bhi uthate hain. jo k bahot disgusting hai.
show main bhi yahi bataya gaya hai k Ahmer k sudden faisle se uski and sadia dono ki life kharaab hui hai. hope in the end sadia ko khud choose karne ko mile k wo kya chahti hai?
pregnant hai iska matlab ye nahi k umair k saath rahe.. atlist last main to sadia ki marzi ho what she want umair ya Ahmer.
1k