Originally posted by: kavya1994
Akshan's MILLION DOLLAR smiles & their silent talks deserves a Special post *Infinite Amount of Kaala Teekas* for their Precious Muskurahat☯️
Indeed.

•>Let's first talk about the below ones-
Special mentions:
- I loved How Akshat THE FATHER bajofied his son & directly told he feels afsoos that his son carries his sirname & his son is not worthy of His Laxmi Bahu🥳👏
~Ek pita ne apne bete se, uske pita hone ka afsoos jataya,😒
Kaabil nahi woh iske, ho jaye usse khandaan ke naam ka bojh uthaya.🥱
- I loved How Akshat THE FATHER IN LAW stood strong for his bahu's respect & directly told his son if he dare to sign the divorce papers then he will make sure LAXMI BAHU WILL GIVE DIVORCE TO HIM instead of his son🥳👏
~SasurJi woh aise jo apni bahu ka samman kare👏
Sikhaye jo apne bete ko, ki patni ka maan kaise kare
- I loved How Akshat THE BETA politely made his Buaji understand the fact that her thought process is wrong & he voiced out his POV very strongly proving his point right before her w/o hurting her emotions🥳👏I loved how he stood up for equal aazadi for both men & women⭐️ HE IS PRECIOUS GEM❤️
~Beta woh aisa jo apna paksh rakhte hue bhi maryada na bhule,⭐️
Vinamrata aur samman ke saath apni baat badon se bole.👍🏼
- I loved How Akshat THE HUBBY fulfilled his promise to his Wifey by protecting his wife's & their bahu's respect before their family🥳👏
~Dil se vachan diye hain, waada har nibhayunga main❤️
Tumhe yunn hi kisi majhdaar mein, nahi chod jayunga main.
I just loved that slight head nod he did conveying "Tum Nahi sudhrogi Guddan" when she teased Buaji🤣That was cute😛
He loved her Guddanpana Antics.😛
•>Now comes about the main post-
~Kehne ke liye kuch baki hota toh hum kuch keh paate,
Aajkal toh aap har jagah, hamare Dil ki baat pehle se hi likh jaate.😆
~For you & your post:
Hamne har baar apke post par reply alag andaaz mein diya, apne jazbaaton ko kuch naya roop diya.
Kabhi sedhe sabdon mein apni baat likh dali, toh kabhi apke post ko quote kar keh diya.
Kabhi suktiyon ko yaad kar likh dala, toh kabhi apne jazbaaton ko kuch panktiyon mein badal dala.
Kabhi likhte-likhte woh kavitayain ban gayi, toh kabhi kisse-kahaniyon mein badal gayi.
Kabhi prakriti ki khoobsurati ko usme shamil kar dala, toh kabhi zindagii ke dard se uski tulna kar dala.
Yeh saare khaas post, khaas taareefon ke haqdaar hain, kyunki samaya jo isme Akshan ka pyaar hain.
Apke post ki kuch shabdon mein tareef karna, lagta thoda kam pyaar hain, Isliye iss post ke liye yeh wali creation hamari taiyaar hain.
Sending U lots of Love ❤️