Kanji re Kanji re ne cylinder laga diya toh N boli main bhi laga deti par mujhe aata gundhana tha. ( matlab aata gundhna aata hai, memory loss mein yeh loss nahi hua)
Sam bola jaise tumne diploma kiya hua ho cylinder lagane mein. ( N ne Diploma kiyanahi ho ya nahi but Ph.D zaroor kiya hai hamare CVs ne character trait change karne mein)
N said ki kitchen mein hum sirf chai ya coffee banane jaate the isliye nahi aata ( chai bhi kachchi banate the aur coffee kaise banate the yeh kai saalon baad pata chalega)
N ko lagta hai Sam ko cylinder lagane se darr lagta hai toh Sam bola main sher se bhi nahi darta. ( Sam Naina devi ko sher ka bata raha hai jo sher ki sawari karti hai)
Phir topper dimaag aur hero hone be banter aur end mein Sam imitated her ki mujhe toh sub kuchh aata hai jabki ajwain aur jeere ka farq pata nahi. ( woh toh beta use lagta hai uske haath lagate hi ajwain jeera ban jaayegi, overconfidence you know)
N ka agrawal khandan ka aakhri nuskha ( thappad, joote, belan aur kya)
Kanji re kanji re enjoy karte huye aur phir darr bhi gaya ( ki N kahin belan se mujhe hi na koot de)
N boli jhaadu pochha kar liya hai. ( itne bade ghar ka jhaadu pochha kiya aur Aah se Aahaaa tak na mila)
Idhar Agrawal khandan mein kundan ke haar pe TT ka tandav aur Beena ka jhoot, Naresh ki blachmailing, Bela ki kasmein aur Anand ke andar Hatim Tai ki aatma. Ab likha padhi karenge shaher ke sabse chhote wakeel aur Vandana behen ko gawah ( Meghaben ki maa ko nahi bulaya for a change)
Mr & Mrs Maheshwari ka aa dekhen zara kis mein kitna hai dam BG pe chidhane mein saath nibhana saathiya. ( waise N ne yeh kapde HM pe kyun nahi pehne? aivyin dressing sense pe lecture sun liya, shayad ghar mein kya trekking karne ka iraada hai N ka)
Sam ko kachchi chai ka pata hai, jeere aur ajwain mein farq pata hai par gas ki badbu ka nahi pata, Ne Waah!
N ne jaan bacha ke Sam ko Ooty ke liye return gift diya. ( ab jab inka jhagda hoga, jaan khatre mein padegi taaki patchup ho jaaye)
Agrawal khandan mein 2 Rs ke log 50 hazar ki baaten karte huye aur Anand ne 13/06/95 ki date likhi. ( hopefully yeh return karne ki date ho warna toh logic ki waat lagte dekh hi chuke hain, samandar mein bucket bhar paani ek baar phir sahi)
Door lock ho gaya.
( Samaina ke ghar ne unhen baahar nikaal diya ki pehle uski sign leke aao jiss ne tum donon bachchon ki shaadi karayi hai.)
Mamaji ke haan nahi jaana, chachaji ke haan nahi jaa sakte, hotel ke liye paise nahi hai. Phir inko yaad aaya subah se kuchh nahi khaya ( arrey woh angoor pade the wahi kha lete ya woh plastic ke the)
Phir kuchh sorry sorry yeh woh responsibility responsibility.
Ab pool side dinner karenge ( aur Ooty ka adhura sapna poora karenge trekking ke saath yeh bhi)
Title song BG pe dinner aur Cola sharing, Sam ka natak for lip kiss. ( Sam ka sapna sach ho raha hai, baal noodles hain toh kya hua, baaki sab toh ho raha hai)
Sam ko garden mein Tarzan wali feeling aa rahi hai ( Hmmm aakhir kehna kya chahte ho Sam babu)
Phir Mt.Abu ki yaad aur ek machchar ke bahane N ka thappad. ( kya milega 400th epi pe khule mein SR, jab khule mein kiss kar sakte hain toh SR kyun nahi? mungerilal ke haseen sapne)
Precap... Sam ki remote dhundhne ki koshish aur jhansi ki raani peeche khadi hai. ( lagta hai iss baar N Sam ko first division mein laa ke rahegi aur Sam poori koshish karega ki N iss mein kamyab na ho)
