Anand Bela ki mehmaanon ki mehmaan nawazi aur kisi ne Mai ni Mai song laga diya toh N ke andar Madhuri ka ghusna toh banta hai. ( aakhir HAHK aur 1994 ki shaadi ka sawal hai)
In sab ke beech Preeti aur baakiyon ko night dress pahanne ka time bhi diya CVs ne ( taaki zyada kharcha na hon SSP walon ka)
Idhar mama Kans ka bhonknewali Komolika pe mauka dekh ke chauka maarna aur mami ka mile sur mera tumhara. ( thankfully V ko duur rakha hua hai CVs ne iss sab se)
Sam in tension, MunDit in tension ( fandom in tension...Nah na), mami ne poore EK world wale expressions diye.
MunDit ne game start kar diya aur Ya se mami ka yaad aa rahi hai ( toh Sam ka meri Naina, meri Naina ke papa, meri Naina ke Arjun bhaiya ka lafda)
Ek Lalita Pawar ka doodh phatne se jiya jale jaan jale aur ab doodh ke saath badam bhi chahiye. ( isey kehte hain shaadi, jise ghar pe phati huyi bedsheet bhi naseeb nahi hoti unhen makhmal ke cover chahiye hote hain, how realistic lol)
Rakesh hota toh kisi cheez ki kami nahi hone deta bole ( jaise ki yeh Rakesh ko jaanti hi nahi hain. Auntyji, agar Rakesh hota toh wahi phata huya doodh munh pe phenk ke maarta aur tum hi manhoos ho isliye tumhari baari pe doodh phat gaya bolta)
Bela Anand ka Rakesh pe maatha pachchi. ( aur topper dimaag chhupke sunte huye aur khabar poori rakhe huye hai phirbhi CC ko lagega ki N kyun nahi puchh rahi R ke baare mein)
N VO ka kal mehndi thi aur R ka hona zaroori.
Idhar Beena ki been baja di mehmaanon ne ( aur bajao Naagin been Taiji)
Aur Ramu kaka apna kaam poori shiddat se karte huye.
Tauji ka kal tilak aur sangeet hai ladke walon ke ghar ( ya toh kal do do functions honge ya N and TT living in parallel universe )
Phir inka Anand aayega aur zaroor aayega ( in your dreams Tauji)
Sam called Bela aur N se baat karni hai bola toh Bela ko V ka FB aaya aur boli ki shaadi mein do hi din bache hain
( ek din pehle bhi do hi din bache the aur aaj bhi do hi din bache hain, lagta hai shaadi ho bhi jaayegi tab bhi do hi din bache rahenge shaadi mein)
Anand ki hadd thi aur Bela ki maryada ( farq hai you know)
Phir JuJun scene aur Juhi ko A ka bday celebrate karna hai ( aaj tak hero heroine ne aise raat ko wish karke bday celebrate na kiya, yeh tha CVs ka badla old ShefJun se)
Taiji ne dekh liya ( ab aaya oont pahad ke neeche, dekhna hai jo rule N aur Shef ke liye the kya woh apni bhanji ke liye bhi honge)
N VO ka hamesha ki tarah bomb phatne wala tha, zor ka dhamaka hone wala tha jise kitna seriously lena hai yeh hum par depend karta hai.
Next day,
N VO ka un dinon ke rishtedaar ka shaadi mein stay karna Vs aaj toh banta hai.
Ek phate doodh wale uncle ko har cheez mein problem hai ( how realistic!)
Ab mehndi lag rahi hai aur phir Samaina cute human chain wala phone convo.
Sam ko ek... bass itna hi, was fab. ( Human chain ko samajh nahi aaya)
N ka Agrawal khandaan wala reaction toh samajh hi sakte hain, thappad aur kya ( phir bhi human chain ko samajh na aaya, Pooja dumbo thi dumbo hai aur dumbo hi rahegi haini haini)
N VO... mobile phone ka invention hona hi nahi chahiye tha kyunki yeh sab na ho pata ( Elder Naina ne yeh baat uss waqt ki hai jab ki abhi abhi WA pe video call karke aayi hai, writer hai woh bhi ITV serials ki samjha karo)
Sam ko dil mein Hindi wala Sa chahiye. ( thankfully English wala S na bola warna Sharad ki yaad aati, CVs bahot pahonche huye hain you know)
Precap... Kamya Rinki ka didi tera dewar deewana ( hum ne kya kya sapne bune the ki PreeHan pe yeh gaana hoga *inserts crying baby emoji*
Ab dekhna hai Kamya ka koi didi ka dewar hota hai ya Rinki ka koi Jeethalal)
P. S... It's quite late but my meeting got postponed, now it'll be tomm. Isliye bana diya ki kahin aap log mujhe bhul hi na jao :D