This poem has come out in today's mid-day paper a gift for gaurihiten ....
Diwali dhamaka
Couch queen Maham's Diwali gift to Gauri-Hiten: "Mohabbat ki dastanein faeli hain har jagah, Par aap jaise pyaar ke parwane aur hain kahaan?
Jab bhi dekha hai hum ne aap dono ko,
Dil ne sirf yeh dua mangi hai, mohabbat ki shamma aap ko yun hi jagmagati rahey har jagah!
Suraj ki roshni se nikhar kar,
Chand ki chandni se sanwar kar,
Phoolon ki tarhan aur bhi khil kar,
Aap timtimate raho, mehkte raho, chehakte raho,
Aur gulsitan main char chand lagate raho sadah!
Chand ko garoor hai is baat ka,
Ki uski roshni se roshan hota hai yeh jahaan,
Par aap ki chahaat ki kya baat karein,
Jis ke noor se bane hai lakhoon deewane yahaan!
Chahe ho chhup-chhup ke pyaar ka iqraar karne wale Pratham-Gauri,
Ya phir nok-jhok hansi-mazak mein pyaar ka izhaar karne wale Karan-Nandini!
Har roop main, har rang main aap ne banaya hai hum saab ko apna deewana
Koi hai nahi, koi hoga nahi, pyaar ki mahfil main aur koi mastana!
Hai ghulab gulistan main sab se haseen phool
Par aap ke samne is ka rang bhi hai pheeka
Aur baki toh saab kuch hain dhool!
Yeh tamana hai hamari ki har mahfil jhagmagaye aap se
Hamari deewangi aur barhe aur bhi mohabbat hoti chali jayeh aap se."
WAH WAH!!!!